دل پکارا پھنس کے کوئے یار میں
Parveen Umm-e-Mushtaq (b. 1866)دل پکارا پھنس کے کوئے یار میں
روک رکھا ہے مجھے گل زار میں
فرق کیا مقتل میں اور گل زار میں
ڈھال میں ہیں پھول پھل تلوار میں
لطف دنیا میں نہیں تکرار میں
لیکن ان کے بوسۂ رخسار میں
تھا جو شب کو سایۂ رخسار میں
تازگی کتنی ہے باسی ہار میں
فرط مایوسی نے مردہ حسرتیں
دفن کر دی ہیں دل بیمار میں
شاد ہو جاتی ہے دنیا اے روپے
کیا کرامت ہے تری جھنکار میں
آتش الفت کی دھڑکن بڑھ گئی
گر پڑا دل شعلۂ رخسار میں
آہ کے قبضہ میں ہے تاثیر یا
تیغ ہے دست علمبردار میں
نشتر مژگاں کی تیزی کے سبب
ایک کانٹا ہے دل پر خار میں
آب پیکاں پاس ہے لیکن نصیب
پھر بھی خشکی ہے لب سوفار میں
خیر ہو پرویںؔ دل مضطر مرا
لے چلا پھر کوچۂ دل دار میں
dil pukara phans ke ku-e-yar mein
rok rakha hai mujhe gul zar mein
farq kya maqtal mein aur gul zar mein
dhal mein hain phul phal talwar mein
lutf-e-duniya mein nahin takrar mein
lekin un ke bosa-e-rukhsar mein
tha jo shab ko saya-e-rukhsar mein
tazgi kitni hai basi har mein
fart-e-mayusi ne murda hasraten
dafn kar di hain dil-e-bimar mein
shad ho jati hai duniya ai rope
kya karamat hai tiri jhankar mein
atish-e-ulfat ki dharkan barh gai
gir para dil shola-e-rukhsar mein
ah ke qabza mein hai tasir ya
tegh hai dast-e-alambardar mein
nashtar-e-mizhgan ki tezi ke sabab
ek kanta hai dil pur khar mein
ab paikan pas hai lekin nasib
phir bhi khushki hai lab-e-sofar mein
khair ho parwin dil-e-muztar mira
le chala phir kucha-e-dil dar mein