Poet
Naseem Dehlvi
نسیم دہلوی1794–1864
Poems
- آباد غم و درد سے ویرانہ ہے اس کاٹوٹا ہوا جو دل ہے وہ کاشانہ ہے اس کاābād-e-ġham-o-dard se vīrāna hai us kāṭūṭā huā jo dil hai vo kāshāna hai us kā
- آیا ہے خیال بے وفائیکیوں جی وہی گفتگو پھر آئیāyā hai ḳhayāl-e-be vafā.īkyūñ jī vahī guftugū phir ā.ī
- اب آئے ہو صدا سن کر گجر کیکہو جی شب کہاں تم نے بسر کیab ā.e ho sadā sun kar gajar kīkaho jī shab kahāñ tum ne basar kī
- اب وہ گلی جائے خطر ہو گئیحال سے لوگوں کو خبر ہو گئیab vo galī jā.e ḳhatar ho ga.īhāl se logoñ ko ḳhabar ho ga.ī
- الفاظ و معانی کی کروٹ جو بدلتے ہیںپہلو مرے مطلب کے پہلو سے نکلتے ہیںalfāz-o-ma.ānī kī karvaṭ jo badalte haiñpahlū mire matlab ke pahlū se nikalte haiñ
- باہم بلند و پست ہیں کیف شراب کےآنکھوں میں ہیں طلوع و غروب آفتاب کےbāham buland-o-past haiñ kaif-e-sharāb keānkhoñ meñ haiñ tulū-o-ġhurūb-e-āftāb ke
- برہم ہیں وہ غیر بے حیا سےمانگیں کچھ اور بھی خدا سےbar.ham haiñ vo ġhair be hayā semāñgeñ kuchh aur bhī ḳhudā se
- بگڑے وہ لاکھ طرح مگر گل نہ ہو سکامیں اپنے صدقے یاں بھی تامل نہ ہو سکاbigṛe vo lākh tarah magar gul na ho sakāmaiñ apne sadqe yāñ bhī taammul na ho sakā
- بہ لب چوسے ہوئے کیوں کر نہیں ہیںکہ ہیں گلبرگ لیکن تر نہیں ہیںba lab chūse hue kyūñ kar nahīñ haiñke haiñ gulbarg lekin tar nahīñ haiñ
- بھولوں تمہیں وہ بشر نہیں ہوںاتنا بھی بے خبر نہیں ہوںbhūlūñ tumheñ vo bashar nahīñ hūñitnā bhī be ḳhabar nahīñ hūñ
- پاک ہے لذت عشرت سے زبان واعظجو بلا آئے الٰہی سو بہ جان واعظpāk hai lazzat-e-ishrat se zabān-e-vā.izjo balā ā.e ilāhī so ba jān-e-vā.iz
- پھر اس کے پھندے میں جا رہے ہیں کہ جس کے پھندے میں جا چکے تھےوہی مصیبت اٹھا رہے ہیں کہ جو مصیبت اٹھا چکے تھےphir us ke phande meñ jā rahe haiñ ke jis ke phande meñ jā chuke thevahī musībat uṭhā rahe haiñ ke jo musībat uṭhā chuke the
- پیتے ہیں مے گناہ بہ قصد ثواب ہےمستی کے ولولے ہیں زمان شباب ہےpīte haiñ mai gunāh ba qasd-e-savāb haimastī ke valvale haiñ zamān-e-shabāb hai
- حقیقت سے زباں آگاہ کر لےیہ اسم اللہ بسم اللہ کر لےhaqīqat se zabāñ āgāh kar leye ism allāh bisam allāh kar le
- دیتے ہو بوسہ تو کہیں لاؤ بھیخیر کسی طرح سے شرماؤ بھیdete ho bosa to kahīñ lā.o bhīḳhair kisī tarah se sharmā.o bhī
- دیکھ او قاتل بسر کرتے ہیں کس مشکل سے ہمچارہ گر سے درد نالاں درد سے دل دل سے ہمdekh o qātil basar karte haiñ kis mushkil se hamchāra gar se dard-e-nālāñ dard se dil dil se ham
- دیکھی دل دے کے قدر دانیبس بندہ نواز مہربانیdekhī dil de ke qadr dānības banda navāz mehrbānī
- رشک عدو میں دیکھو جاں تک گنوا ہی دیں گےلو جھوٹ جانتے ہو اک دن دکھا ہی دیں گےrashk-e-adū meñ dekho jāñ tak gañvā hī deñgelo jhūṭ jānte ho ik din dikhā hī deñge
- زرگر و حداد خوش ہوں وہ کریں تدبیر ہمطوق زر تم پہنو پہنیں آہنی زنجیر ہمzargar-o-haddād ḳhush hūñ vo kareñ tadbīr hamtauq-e-zar tum pahno pahneñ āhanī zanjīr ham
- سفر ہے دشوار خواب کب تک بہت پڑی منزل عدم ہےنسیمؔ جاگو کمر کو باندھو اٹھاؤ بستر کہ رات کم ہےsafar hai dushvār ḳhvāb kab tak bahut paṛī manzil-e-adam hainasīm jāgo kamar ko bāñdho uṭhā.o bistar ke rāt kam hai
- سن لے یہ التماس مرا دوستانہ ہےہشیار ہو کہ تیر اجل کا نشانہ ہےsun le ye iltimās mirā dostāna haihushyār ho ke tīr ajal kā nishāna hai
- شکایت سے غرض کیا مدعا کیانہیں تو دوست دشمن کا گلا کیاshikāyat se ġharaz kyā mudda.ā kyānahīñ to dost dushman kā gilā kyā
- شکایت کے عوض ہم شکر کرتے ہیں صنم تیرےمزا دینے لگے کچھ سہتے سہتے اب ستم تیرےshikāyat ke evaz ham shukr karte haiñ sanam teremazā dene lage kuchh sahte sahte ab sitam tere
- غنچے نے تاج گل نے کیا پیرہن درستشادی بہار کی ہے ہوا ہے چمن درستġhunche ne tāj-e-gul ne kiyā pairahan durustshādī bahār kī hai havā hai chaman durust
- فصل گل آئی ہے کل اور ہی ساماں ہوں گےمیرے دامن میں ترے دست و گریباں ہوں گےfasl-e-gul ā.ī hai kal aur hī sāmāñ hoñgemere dāman meñ tire dast-o-garebāñ hoñge
- قربان ہو رہی ہے مری جاں ادھر ادھرواں رہ پہ ہے جو زلف پریشاں ادھر ادھرqurbān ho rahī hai mirī jāñ idhar idharvāñ rah pe hai jo zulf-e-pareshāñ idhar idhar
- کب اس زمیں پہ مجھے آرمیدہ ہونا تھاہوا سے خاک کو برسوں پریدہ ہونا تھاkab is zamīñ pe mujhe ārmīda honā thāhavā se ḳhāk ko barsoñ parīda honā thā
- کبھی ہوتا ہوں ظاہر جلوۂ حسن نکو ہو کرکبھی خاطر میں چھپ جاتا ہوں تیری آرزو ہو کرkabhī hotā hūñ zāhir jalva-e-husn-e-nako ho karkabhī ḳhātir meñ chhup jātā hūñ terī ārzū ho kar
- کسی صورت تو دل کو شاد کرناہمیں دشمن سمجھ کر یاد کرناkisī sūrat to dil ko shād karnāhameñ dushman samajh kar yād karnā
- کہتے ہیں سن کے تذکرے مجھ غم رسیدہ کےافسانے کون سنتا ہے حال شنیدہ کےkahte haiñ sun ke tazkire mujh ġham rasīda keafsāne kaun suntā hai hāl-e-shunīda ke
- کھلی ہے آنکھ جوش انتظار یار جانی ہےبہ مشکل دیدۂ زنجیر خواب پاسبانی ہےkhulī hai ānkh josh-e-intizār-e-yār jānī haiba mushkil dīda-e-zanjīr ḳhvāb-e-pāsbānī hai
- کیے سجدے ہوئے کافر نہ کچھ دل میں ذرا سمجھےہمیں بندہ بنایا اے بتو تم سے خدا سمجھےkiye sajde hue kāfir na kuchh dil meñ zarā samjhehameñ banda banāyā ai buto tum se ḳhudā samjhe
- گشت نہ کر ادھر ادھر بے خبری جہاں میں ہےاپنے ہی دل میں غور کر دیکھ مکیں مکاں میں ہےgasht na kar idhar idhar be ḳhabarī jahāñ meñ haiapne hī dil meñ ġhaur kar dekh makīñ makāñ meñ hai
- لڑکپن میں یہ ضد ہے جانی تمہاریابھی دیکھنی ہے جوانی تمہاریlaṛakpan meñ ye zid hai jānī tumhārīabhī dekhnī hai javānī tumhārī
- لو ضعف سے اب یہ حال تن ہےسایہ متجسس بدن ہےlo zof se ab ye hāl tan haisāya mutajassis badan hai
- ماتم بہت رہا مجھے اشک چکیدہ کاآخر کو پاس آ ہی گیا نور دیدہ کاmātam bahut rahā mujhe ashk-e-chukīda kāāḳhir ko pās ā hī gayā nūr-e-dīda kā
- مرگ اغیار لب پہ لا نہ سکاوہ قسم ہوں جو یار کھا نہ سکاmarg aġhyār lab pe lā na sakāvo qasam hūñ jo yār khā na sakā
- ملنے کے نہیں نشاں ہمارےکیا پوچھتے ہو مکاں ہمارےmilne ke nahīñ nishāñ hamārekyā pūchhte ho makāñ hamāre
- منظور ہے ناپنا کمر کاپیمانہ بنائیے نظر کاmanzūr hai nāpnā kamar kāpaimāna banā.iye nazar kā
- ناصح مشفق یہ مشق تازہ فرمانے لگےدن تو تھا اب رات کو بھی آ کے سمجھانے لگےnāseh-e-mushfiq ye mashq-e-tāza farmāne lagedin to thā ab rāt ko bhī ā ke samjhāne lage
- نکل آیا وہ گھبرا کر دل اس کا اس قدر دھڑکاصدا بجلی کی دی نالے نے جب منہ سے مرے کڑکاnikal āyā vo ghabrā kar dil us kā is qadar dhaṛkāsadā bijlī kī dī nāle ne jab muñh se mire kaṛkā
- وصل کی رات ہے آخر کبھی عریاں ہوں گےمیں پشیماں ہوں تو کیا وہ نہ پشیماں ہوں گےvasl kī rāt hai āḳhir kabhī uryāñ hoñgemaiñ pashemāñ hūñ to kyā vo na pashemāñ hoñge
- ہاتھوں میں آج کی شب مہندی لگایئے گاسمجھے یہ رنگ ہم بھی کچھ رنگ لائیے گاhāthoñ meñ āj kī shab mehndī lagā.iyegāsamjhe ye rang ham bhī kuchh rang lā.iyegā
- ہوس یہ رہ گئی دل میں کہ مدعا نہ ملابہت جہان میں ڈھونڈھا پر آشنا نہ ملاhavas ye rah ga.ī dil meñ ke mudda.ā na milābahut jahān meñ ḍhūñḍhā par āshnā na milā
- ہے کہے دیتے ہیں زحمت خوردہ ہےدل تو حاضر ہے مگر پژمردہ ہےhai kahe dete haiñ zahmat ḳhurda haidil to hāzir hai magar pazhmurda hai
- یہ وہ نالے ہیں جو لب تک آئیں گےتم تو کیا ہو آسماں ہل جائیں گےye vo nāle haiñ jo lab tak ā.eñgetum to kyā ho āsmāñ hal jā.eñge
- اشک آنکھوں میں ڈر سے لا نہ سکےدل کی بھڑکی ہوئی بجھا نہ سکےashk ānkhoñ meñ ḍar se lā na sakedil kī bhaṛkī huī bujhā na sake
- دل کسی مشتاق کا ٹھنڈا کیاخوب کیا آپ نے اچھا کیاdil kisī mushtāq kā ṭhanḍā kiyāḳhūb kiyā āp ne achchhā kiyā
- دل کے آتے ہی یہ نقشہ ہو گیاکیا بتاؤں دوستو کیا ہو گیاdil ke āte hī ye naqsha ho gayākyā batā.ūñ dosto kyā ho gayā
- شکوا ہے نہ غصہ ہے کہ میں کچھ نہیں کہتاکیوں آپ کو دھڑکا ہے کہ میں کچھ نہیں کہتاshakvā hai na ġhussa hai ke maiñ kuchh nahīñ kahtākyūñ āp ko dhaṛkā hai ke maiñ kuchh nahīñ kahtā