شکوا ہے نہ غصہ ہے کہ میں کچھ نہیں کہتا
Naseem Dehlvi (1794–1864)شکوا ہے نہ غصہ ہے کہ میں کچھ نہیں کہتا
کیوں آپ کو دھڑکا ہے کہ میں کچھ نہیں کہتا
چپ رہنے دو دم بھر مجھے للہ نہ چھیڑو
اب اس سے تمہیں کیا ہے کہ میں کچھ نہیں کہتا
اس لطف زبانی کو ذرا سوچیے دل میں
یہ عذر تو بے جا ہے کہ میں کچھ نہیں کہتا
اس لطف زبانی کو ذرا سوچیے دل میں
یہ عذر تو بے جا ہے کہ میں کچھ نہیں کہتا
منہ میرا نہ کھلواؤ کہ ہو جائیں گے لب بند
دیکھو یہی اچھا ہے کہ میں کچھ نہیں کہتا
ڈرتا نہیں جو دل میں ہو دشمن کے لگائے
ان پر یہ ہویدا ہے کہ میں کچھ نہیں کہتا
کیوں رکتے ہو عادت سے ہوں مجبور وگرنہ
کچھ آپ سے پردا ہے کہ میں کچھ نہیں کہتا
اب وہ بھی یہ سمجھا کہ یہ سمجھا میری گھاتیں
اس بات سے ڈرتا ہے کہ میں کچھ نہیں کہتا
ہر روز نئے ڈھنگ ہیں خاطر کے نسیمؔ آہ
کل سے یہی سودا ہے کہ میں کچھ نہیں کہتا
shakwa hai na ghussa hai ke main kuchh nahin kahta
kyun ap ko dharka hai ke main kuchh nahin kahta
chup rahne do dam bhar mujhe lillah na chhero
ab us se tumhen kya hai ke main kuchh nahin kahta
is lutf zabani ko zara sochiye dil mein
ye uzr to be ja hai ke main kuchh nahin kahta
is lutf zabani ko zara sochiye dil mein
ye uzr to be ja hai ke main kuchh nahin kahta
munh mera na khulwao ke ho jaenge lab band
dekho yahi achchha hai ke main kuchh nahin kahta
darta nahin jo dil mein ho dushman ke lagae
un par ye huwaida hai ke main kuchh nahin kahta
kyun rukte ho adat se hun majbur wagarna
kuchh ap se parda hai ke main kuchh nahin kahta
ab wo bhi ye samjha ke ye samjha meri ghaten
is bat se darta hai ke main kuchh nahin kahta
har roz nae dhang hain khatir ke nasim ah
kal se yahi sauda hai ke main kuchh nahin kahta