Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Mustafa Khan Shefta

مصطفیٰ خان شیفتہ

1809–1869

Poems

  1. kyā ġhair thā ke shab ko na thā jalva gar charāġhrahtā hai varna ghar meñ tire tā sahar charāġh
  2. kyā lā.iq-e-zakvāt koī be navā na thāanfās-e-bād meñ nafas-e-āshnā na thā
  3. kyūñ na uṛ jā.e mirā ḳhvāb tire kūche meñfarsh hai maḳhmal-o-kamḳhvāb tire kūche meñ
  4. gor meñ yād-e-qad-e-yār ne sone na diyāfitna-e-hashr ko raftār ne sone na diyā
  5. gah ham se ḳhafā vo haiñ gahe un se ḳhafā hammuddat se isī tarah nibhī jātī hai bāham
  6. lāzim hai be vafā tujhe ahl-e-vafā se rabtkaisā hai dekh aks-e-adā ko adā se rabt
  7. mānā sahar ko yār use jalva gar kareñtāqat hameñ kahāñ ke shab-e-ġham sahar kareñ
  8. mahv hūñ maiñ jo us sitamgar kāhai gila apne hāl-e-abtar kā
  9. mar ga.e haiñ jo hijr-e-yār meñ hamsaḳht be tāb haiñ mazār meñ ham
  10. matbū yār ko hai jafā aur jafā ko hamkahtī hai bad adū ko vafā aur vafā ko ham
  11. maiñ pareshāñ gard aur mahfil nashīñ to kab na thāhar kahīñ kis din na thā maiñ, har kahīñ to kab na thā
  12. maiñ vasl meñ bhī shefta hasrat talab rahāgustāḳhiyoñ meñ bhī mujhe pās-e-adab rahā
  13. nāseh tapāñ hai, shefta-e-nīm jāñ kī tarahkyā dil meñ chubh ga.ī nigah-e-jāñ sitāñ kī tarah?
  14. na is zamāne meñ charchā hai dānish-o-dīñ kāna shauq-e-sher-e-tar-o-bazla hā-e-rangīñ kā
  15. na kar fāsh rāz-e-gulistāñ abasna ho bulbul-e-zār nālāñ abas
  16. vasl ke lutf uṭhā.ūñ kyūñ kartāb is jalve kī lā.ūñ kyūñ kar
  17. vo parī vash ishq ke afsūñ se mā.il ho gayāmuft meñ mashhūr meñ logoñ meñ āmil ho gayā
  18. ham be nishān aur vafā kā nishāñ hanozhai ḳhāk-e-tan huā-o-havā ḳhūñ fishāñ hanoz
  19. ham par hai iltifāt hamāre habīb kāgīrā magar nahīñ hai nafas andalīb kā
  20. hind kī vo zamīñ hai ishrat ḳhezke na zāhid kareñ jahāñ parhez
  21. hai bad balā kisī ko ġham-e-jāvedāñ na hoyā ham na hūñ jahāñ meñ ḳhudā yā jahāñ na ho
  22. hai dil ko yūñ tire dam-e-ejāz asar se faizġhunche ko jaise mauja-e-bād-e-sahar se faiz
  23. yār ko mahrūm-e-tamāshā kiyāmarg-e-mufājāt ne ye kyā kiyā
  24. yāñ ke āne meñ nahīñ un ko jo tamkīñ kā ḳhayālġhāliban kuchh to huā hai mirī taskīñ kā ḳhayāl
  25. ye pech-o-tāb meñ shab-e-ġham-e-be havāsiyāñai dil! ḳhayāl-e-turra tābīda mū nahīñ
  26. ye faiz-e-ām sheva kahāñ thā nasīm kāāḳhir ġhulām hūñ maiñ tumhārā qadīm kā
  27. یہ بات تو غلط ہے کہ دیوانِ شیفتہہے نسخہء معارف و مجموعۂ کمال
  28. uṭh sub.h huī murġh-e-chaman naġhma-e-sarā dekhnūr-e-sahar-o-husn-e-gul-o-lutf huā dekh
  29. is jumbish-e-abrū kā gila ho nahīñ saktādil gosht hai nāḳhun se judā ho nahīñ saktā
  30. bachte haiñ is qadar jo idhar kī havā se hamvāqif haiñ sheva-e-dil-e-shorish adā se ham
  31. pābandī-e-vahshat meñ zanjīr ke mushtāqbe rahm nahīñ jurm-e-vafā qābil-e-baḳhshish
  32. taqlīd-e-adū se hameñ ibrām na hogāham ḳhās nahīñ aur karam ām na hā gā
  33. jafā-o-jaur kā us se gila kyājo pūchhe mehrbānī kyā, vafā kyā
  34. ḳhurshīd ko agarche na pahuñche ziyā-e-sham.aparvāne ko pasand nahīñ par sivā.e sham.a
  35. dushman se hai mere dil-e-muztar kī shikāyatkyūñ kar na karūñ shoḳhī-e-dilbar kī shikāyat
  36. dūr rahnā ham se kab tak aur be gāne ke pāshaiñ qarīb-e-marg, kyā ab bhī nahīñ āne ke pās?
  37. shefta āyā hūñ maiñ kis kā tamāshā dekh karrah ga.e hairān mujh ko sab ḳhud ārā dekh kar
  38. tāle-e-ḳhufta-e-dushman na jagānā shab-e-vasldekh ai murġh-e-sahar ġhul na machānā shab-e-vasl
  39. ġham ġhalat karne ko ahbāb hameñ jānib-e-bāġhle ga.e kal to ajab rang-e-gulistāñ dekhā
  40. qabr par vo but-e-gul fām āyābāre marnā to mire kām āyā
  41. kahā kal maiñ ne ai sarmāya-e-nāztalavvun se hai tum ko mudda.ā kyā
  42. kyā thā nūr jab allāh ne paidā mohammad kāusī din se huā hai āshiq-e-shaidā mohammad kā
  43. kyā fā.ida nasīhat-e-nā sūd mand kākyā ḳhūb pand go bhī hai mohtāj pand kā
  44. vāñ huā parda uṭhānā mauqūfyāñ huā rāz chhupānā mauqūf
  45. hā.e is barq-e-jahāñ soz par ānā dil kāsamjhe jo garmī-e-hangāma jalānā dil kā
  46. yūñ bazm-e-gul ruḳhāñ meñ hai is dil ko iztirābjaise bahār meñ ho anādil ko iztirāb
  47. yūñ pās bavālhos raheñ chashm-e-ġhazab se dūrye bāt hai baṛī dil-e-āshiq talab se dūr