Poet
Seemab Akbarabadi
سیماب اکبرآبادی1882–1951
Poems
- آ کہ ہستی بے لب و بے گوش ہے تیرے بغیرکائنات اک محشر خاموش ہے تیرے بغیرā ke hastī be lab-o-be gosh hai tere baġhairkā.ināt ik mahshar-e-ḳhāmosh hai tere baġhair
- آنکھ سے ٹپکا جو آنسو وہ ستارا ہو گیامیرا دامن آج دامان ثریا ہو گیاānkh se ṭapkā jo ānsū vo sitārā ho gayāmerā dāman āj dāmān-e-surayyā ho gayā
- آؤ پھر گرمی دیار عشق میں پیدا کریںطور کی مٹی سے تخلیق ید بیضا کریںā.o phir garmī dayār-e-ishq meñ paidā kareñtūr kī miṭṭī se taḳhlīq-e-yad-e-baizā kareñ
- اب اے بے درد کیا اس کے لئے ارشاد ہوتا ہےپھر اپنی خاک سے پیدا دل برباد ہوتا ہےab ai be dard kyā us ke liye irshād hotā haiphir apnī ḳhāk se paidā dil-e-barbād hotā hai
- اجازت دے کہ اپنی داستان غم بیاں کر لیںترے احساس اور اپنی زباں کا امتحاں کر لیںijāzat de ke apnī dāstān-e-ġham bayāñ kar leñtire ehsās aur apnī zabāñ kā imtihāñ kar leñ
- ادراک خود آشنا نہیں ہےورنہ انساں میں کیا نہیں ہےidrāk ḳhud āshnā nahīñ haivarna insāñ meñ kyā nahīñ hai
- افسوس گزر گئی جوانیوہ لمحۂ کیف و شادمانیafsos guzar ga.ī javānīvo lamha-e-kaif-o-shādmānī
- بدن سے روح رخصت ہو رہی ہےمکمل قید غربت ہو رہی ہےbadan se rūh ruḳhsat ho rahī haimukammal qaid-e-ġhurbat ho rahī hai
- بڑی دلچسپیوں سے صبح شام زندگی ہوگیمیں دیکھوں گا انہیں اور ساری دنیا دیکھتی ہوگیbaṛī dilchaspiyoñ se sub.h-e-shām-e-zindagī hogīmaiñ dekhūñgā unheñ aur sārī duniyā dekhtī hogī
- بقدر شوق اقرار وفا کیاہمارے شوق کی ہے انتہا کیاbaqadr-e-shauq iqrār-e-vafā kyāhamāre shauq kī hai intihā kyā
- جاگ اور دیکھ ذرا عالم ویراں میراصبح کے بھیس میں نکلا ہے گریباں میراjāg aur dekh zarā ālam vīrāñ merāsub.h ke bhes meñ niklā hai garebāñ merā
- جب تک غم الفت کا عنصر نہ ملا ہوگاانسان کے پہلو میں دل بن نہ سکا ہوگاjab tak ġham ulfat kā unsar na milā hogāinsān ke pahlū meñ dil ban na sakā hogā
- جرس ہے کاروان اہل عالم میں فغاں میریجگا دیتی ہے دنیا کو صدائے الاماں میریjaras hai kārvān-e-ahl-e-ālam meñ fuġhāñ merījagā detī hai duniyā ko sadā-e-alamāñ merī
- جس جگہ جمع ترے خاک نشیں ہوتے ہیںغالباً سب میں نمودار ہمیں ہوتے ہیںjis jagah jam.a tire ḳhāk nashīñ hote haiñġhāliban sab meñ numūdār hameñ hote haiñ
- جو انساں باریاب پردۂ اسرار ہو جائےتو اس باطل کدے میں زندگی دشوار ہو جائےjo insāñ bāryāb-e-parda-e-asrār ho jā.eto is bātil kade meñ zindagī dushvār ho jā.e
- جو سالک ہے تو اپنے نفس کا عرفان پیدا کرحقیقت تیری کیا ہے پہلے یہ پہچان پیدا کرjo sālik hai to apne nafas kā irfān paidā karhaqīqat terī kyā hai pahle ye pahchān paidā kar
- جو عمر تیری طلب میں گنوائے جاتے ہیںکچھ ایسے لوگ بھی دنیا میں پائے جاتے ہیںjo umr terī talab meñ gañvā.e jāte haiñkuchh aise log bhī duniyā meñ pā.e jāte haiñ
- جو میرے تنگنائے دل میں تجھ کو جلوہ گر دیکھامری نظروں نے حیرت سے مجھی کو عمر بھر دیکھاjo mere tangnā.e dil meñ tujh ko jalva gar dekhāmirī nazroñ ne hairat se mujhī ko umr bhar dekhā
- جہان رنگ و بو میں مستقل تخلیق مستی ہےچمن میں رات بھر بنتی ہے اور دن بھر برستی ہےjahān-e-rang-o-bū meñ mustaqil taḳhlīq mastī haichaman meñ rāt bhar bantī hai aur din bhar barastī hai
- چمک جگنو کی برق بے اماں معلوم ہوتی ہےقفس میں رہ کے قدر آشیاں معلوم ہوتی ہےchamak jugnū kī barq-e-be amāñ ma.alūm hotī haiqafas meñ rah ke qadar āshiyāñ ma.alūm hotī hai
- چھپاتا ہوں مگر چھپتا نہیں درد نہاں پھر بھینگاہ یاس ہو جاتی ہے دل کی ترجماں پھر بھیchhupātā hūñ magar chhuptā nahīñ dard-e-nihāñ phir bhīnigāh-e-yās ho jātī hai dil kī tarjumāñ phir bhī
- حد ہو کوئی تو صبر ترے ہجر پر کریںآخر ہم ایک حال میں کب تک بسر کریںhad ho koī to sabr tire hijr par kareñāḳhir ham ek hāl meñ kab tak basar kareñ
- حسن کے دل میں جگہ پاتے ہی دیوانہ بنےہم ابھی راز بنے ہی تھے کہ افسانہ بنےhusn ke dil meñ jagah pāte hī dīvāna baneham abhī rāz bane hī the ke afsāna bane
- ختم اس طرح نزاع حق و باطل ہو جائےاک طرف دونوں جہاں ایک طرف دل ہو جائےḳhatm is tarah nizā-e-haq-o-bātil ho jā.eik taraf donoñ jahāñ ek taraf dil ho jā.e
- خود اٹھ کے ہاتھ میرے گریباں میں آ گئےشاید قدم جنوں کے گلستاں میں آ گئےḳhud uṭh ke hāth mere garebāñ meñ ā ga.eshāyad qadam junūñ ke gulistāñ meñ ā ga.e
- دل تیرے تغافل سے خبردار نہ ہو جائےیہ فتنہ کہیں خواب سے بیدار نہ ہو جائےdil tere taġhāful se ḳhabardār na ho jā.eye fitna kahīñ ḳhvāb se bedār na ho jā.e
- دل کی بساط کیا تھی نگاہ جمال میںاک آئینہ تھا ٹوٹ گیا دیکھ بھال میںdil kī bisāt kyā thī nigāh-e-jamāl meñik ā.īna thā ṭūṭ gayā dekh bhāl meñ
- رسماً ہی ان کو نالۂ دل کی خبر تو ہویعنی اثر نہ ہو تو فریب اثر تو ہوrasmā hī un ko nāla-e-dil kī ḳhabar to hoya.anī asar na ho to fareb-e-asar to ho
- روز فراق ہر طرف اک انتشار تھامیں بے قرار تھا تو جہاں بیقرار تھاroz-e-firāq har taraf ik intishār thāmaiñ be qarār thā to jahāñ beqarār thā
- زندان کائنات میں محصور کر دیامحفل سے اپنی تم نے بہت دور کر دیاzindān-e-kā.ināt meñ mahsūr kar diyāmahfil se apnī tum ne bahut dūr kar diyā
- سبو پر جام پر شیشے پہ پیمانے پہ کیا گزرینہ جانے میں نے توبہ کی تو مے خانے پہ کیا گزریsubū par jām par shīshe pe paimāne pe kyā guzrīna jāne maiñ ne tauba kī to mai ḳhāne pe kyā guzrī
- سکوں پذیر جنون شباب ہو نہ سکاشگفت موسم گل کامیاب ہو نہ سکاsukūñ pazīr junūn-e-shabāb ho na sakāshagfat mausam-e-gul kāmyāb ho na sakā
- شام فرقت انتہائے گردش ایام ہےجتنی صبحیں ہو چکی ہیں آج سب کی شام ہےshām-e-furqat intihā-e-gardish-e-ayyām haijitnī sub.heñ ho chukī haiñ āj sab kī shām hai
- شاید جگہ نصیب ہو اس گل کے ہار میںمیں پھول بن کے آؤں گا اب کی بہار میںshāyad jagah nasīb ho us gul ke hār meñmaiñ phūl ban ke ā.ūñgā ab kī bahār meñ
- ضبط سے نا آشنا ہم صبر سے بیگانہ ہمکیوں کسی سے مانگتے جائیں چراغ خانہ ہمzabt se nā āshnā ham sabr se begāna hamkyūñ kisī se māñgte jā.eñ charāġh-e-ḳhāna ham
- عزم فریاد! انہیں اے دل ناشاد نہیںمسلک اہل وفا ضبط ہے فریاد نہیںazm-e-fariyād! unheñ ai dil-e-nāshād nahīñmaslak-e-ahl-e-vafā zabt hai fariyād nahīñ
- عشق خود مائل حجاب ہے آجحسن مجبور اضطراب ہے آجishq ḳhud mā.il-e-hijāb hai ājhusn majbūr-e-iztirāb hai āj
- کمال علم و تحقیق مکمل کا یہ حاصل ہےترا ادراک مشکل تھا ترا ادراک مشکل ہےkamāl-e-ilm-o-tahqīq-e-mukammal kā ye hāsil haitirā idrāk mushkil thā tirā idrāk mushkil hai
- کھو کر تری گلی میں دل بے خبر کو میںفکر خودی سے چھوٹ گیا عمر بھر کو میںkho kar tirī galī meñ dil-e-be ḳhabar ko maiñfikr-e-ḳhudī se chhūṭ gayā umr bhar ko maiñ
- مجھے فکر و سر وفا ہے ہنوزبادۂ عشق نارسا ہے ہنوزmujhe fikr-o-sar vafā hai hanozbāda-e-ishq nārasā hai hanoz
- محفل عشق میں جب نام ترا لیتے ہیںپہلے ہم ہوش کو دیوانہ بنا لیتے ہیںmahfil-e-ishq meñ jab nām tirā lete haiñpahle ham hosh ko dīvāna banā lete haiñ
- مرتب ہو کے اک محشر غبار دل سے نکلے گانیا اک کارواں گرد رہ منزل سے نکلے گاmurattib ho ke ik mahshar ġhubār-e-dil se niklegānayā ik kārvāñ gard-e-rah-e-manzil se niklegā
- میری رفعت پر جو حیراں ہے تو حیرانی نہیںتو ابھی انسان کی عظمت کا عرفانی نہیںmerī rifat par jo hairāñ hai to hairānī nahīñtū abhī insān kī azmat kā irfānī nahīñ
- ناحق شکایت غم دنیا کرے کوئیغم ہے بڑی خوشی جو گوارا کرے کوئیnāhaq shikāyat-e-ġham-e-duniyā kare koīġham hai baṛī ḳhushī jo gavārā kare koī
- نسیم صبح گلشن میں گلوں سے کھیلتی ہوگیکسی کی آخری ہچکی کسی کی دل لگی ہوگیnasīm-e-sub.h gulshan meñ guloñ se kheltī hogīkisī kī āḳhirī hichkī kisī kī dil lagī hogī
- نہ وہ فریاد کا مطلب نہ منشائے فغاں سمجھےہم آج اپنی شب غم کی غلط سامانیاں سمجھےna vo fariyād kā matlab na manshā-e-fuġhāñ samjheham āj apnī shab-e-ġham kī ġhalat sāmāniyāñ samjhe
- وسعتیں محدود ہیں ادراک انساں کے لئےورنہ ہر ذرہ ہے دنیا چشم عرفاں کے لئےvusateñ mahdūd haiñ idrāk-e-insāñ ke liyevarna har zarra hai duniyā chashm-e-irfāñ ke liye
- وہ جب رنگ پریشانی کو خلوت گیر دیکھیں گےتو اپنے ہر تصور میں مری تصویر دیکھیں گےvo jab rang-e-pareshānī ko ḳhalvat gīr dekheñgetū apne har tasavvur meñ mirī tasvīr dekheñge
- یہ کس نے شاخ گل لا کر قریب آشیاں رکھ دیکہ میں نے شوق گل بوسی میں کانٹوں پر زباں رکھ دیye kis ne shāḳh-e-gul lā kar qarīb-e-āshiyāñ rakh dīke maiñ ne shauq-e-gul bosī meñ kānṭoñ par zabāñ rakh dī
- آ اپنے دل میں میری تمنا لیے ہوئےشوق کلام و ذوق تماشا لیے ہوئےā apne dil meñ merī tamannā liye hueshauq-e-kalām-o-zauq-e-tamāshā liye hue