جس جگہ جمع ترے خاک نشیں ہوتے ہیں
Seemab Akbarabadi (1882–1951)جس جگہ جمع ترے خاک نشیں ہوتے ہیں
غالباً سب میں نمودار ہمیں ہوتے ہیں
درد سر ان کے لئے کیوں ہے مرا عجز و نیاز
میرے سجدوں سے وہ کیوں چیں بہ جبیں ہوتے ہیں
ان کی محفل سے تصور کا تعلق ہے ہمیں
آنکھ کر لیتے ہیں جب بند وہیں ہوتے ہیں
تیرے جلووں نے مجھے گھیر لیا ہے اے دوست
اب تو تنہائی کے لمحے بھی حسیں ہوتے ہیں
اعتکاف ان دنوں ہے فرض سنا ہے سیمابؔ
رمضاں آ گئے مے خانہ نشیں ہوتے ہیں
jis jagah jama tire khak nashin hote hain
ghaliban sab mein numudar hamen hote hain
dard-e-sar un ke liye kyun hai mira ijz-o-niyaz
mere sajdon se wo kyun chin ba jabin hote hain
un ki mahfil se tasawwur ka taalluq hai hamen
ankh kar lete hain jab band wahin hote hain
tere jalwon ne mujhe gher liya hai ai dost
ab to tanhai ke lamhe bhi hasin hote hain
etikaf in dinon hai farz suna hai simab
ramzan a gae mai khana nashin hote hain