Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Qateel Shifai

قتیل شفائی

1919–2001Born in HaripurDied in Lahore

Muhammad Aurangzeb took the pen name Qateel Shifai in 1938, the second part in honour of his teacher Hakim Yahya Shifa. He moved to Lahore in 1946 as assistant editor of the monthly Adab-e-Latif and from 1948 wrote songs for Pakistani and Indian films. The ghazal was his main form, and he published more than twenty collections, including Hariyali and Jaltarang. He received the Pride of Performance in 1994.

Writes about

  • Love
  • People's feelings
  • Social awareness

Poems

  1. vo dil hī kyā tire milne kī jo duā na karemaiñ tujh ko bhūl ke zinda rahūñ ḳhudā na kare
  2. vo shaḳhs ke maiñ jis se mohabbat nahīñ kartāhañstā hai mujhe dekh ke nafrat nahīñ kartā
  3. vahī gesūoñ kī uṛān hai vahī ārizoñ kā nikhār haiye kisī kī shān varod hai ke mirī nazar kā vaqār hai
  4. hāth diyā us ne mire hāth meñmaiñ to valī ban gayā ik rāt meñ
  5. har be zabāñ ko shola navā kah liyā karoyāro sukūt hī ko sadā kah liyā karo
  6. har taraf satvat-e-arzhang dikhā.ī degīrang barseñge zamīñ dang dikhā.ī degī
  7. ham ko to intizār-e-sahar bhī qubūl hailekin shab-e-firāq tirā kyā usūl hai
  8. ho chukā intizār sone deai dil-e-be qarār sone de
  9. yār kyūñ gurezāñ hai sīdhī rāh chalne semanzileñ nahīñ miltīñ rāste badalne se
  10. yāro kisī qātil se kabhī pyār na māñgoapne hī gale ke liye talvār na māñgo
  11. yāro kahāñ tak aur mohabbat nibhā.ūñ maiñdo mujh ko bad duā ke use bhūl jā.ūñ maiñ
  12. ye kis ne kahā tum kūch karo bāteñ na banā.o inshā jīye shahr tumhārā apnā hai use chhoṛ na jā.o inshā jī
  13. ye mirā bujhtā sulagtā sun ye mere rāt dinkis tarah kaṭṭe bhalā tujh bin ye mere rāt din
  14. ye mojiza bhī mohabbat kabhī dikhā.e mujheke sang tujh pe gire aur zaḳhm ā.e mujhe
  15. ek thā rāja mahdī alī ḳhāñ ek thī us kī rānīrānī kī ik māñ thī ya.anī bachcha log kī nānī
  16. ai kisī gulshan-e-zarrīñ kī girāñ qadr kalīapnī ujṛī huī mahkār chhupā le mujh se
  17. phir vahī baṛhte hue rukte hue qadmoñ kī chāpphir vahī sahmī huī simṭī huī sargoshiyāñ
  18. toṛ ke ghuñghrūchhoṛ ke mahfil
  19. thartharātī rahī charāġh kī lauashk palkoñ pe kāñp kāñp ga.e
  20. tere ḳhatoñ kī ḳhushbūhāthoñ meñ bas ga.ī hai sānsoñ meñ rach rahī hai
  21. ٹوانکل ٹوانکل لٹل اسٹارہم سے ہے امی کو پیار
  22. jab bhī tanhā mujhe pāte haiñ guzarte lamheterī tasvīr sī rāhoñ meñ bichhā jāte haiñ
  23. jab chhalakte haiñ zar-o-sīm ke gāte hue jāmek zahrāb sā māhaul meñ ghul jātā hai
  24. dar-o-dīvār par chhā.ī hai udāsī ġham kīmahv-e-hairat hai ḳhushī dīda-e-hairāñ kī tarah
  25. rāt ga.e tak ghāyal naġhme karte haiñ elān yahāñye duniyā hai sang diloñ kī koī nahīñ insān yahāñ
  26. raushnī ḍūb ga.ī chānd ne muñh ḍhānp liyāab koī rāh dikhā.ī nahīñ detī mujh ko
  27. raushnī nahīñ hai dūr dūr takjā.o mujh ko chhoṛ do
  28. sānvale jism kī har qaus meñ lahrātā haimuskurātī huī shāmoñ kā salonā jādū
  29. sandaleñ jism kī ḳhushbū se mahaktī huī rātmujh se kahtī hai yahīñ āj baserā kar le
  30. kahā māsṭar jī ne mane se ik dinkaro kām pūrā jo ham ne kahā hai
  31. mutma.in koī nahīñ hai us sekoī bar.ham hai to ḳhā.if koī
  32. mere ḳhvāboñ ke shabistāñ meñ ujālā na karoke bahut dūr saverā nazar ātā hai mujhe
  33. meñh barastā hai to dhartī kī nazar jhūmtī haiphūl khulte haiñ to gulshan pe nikhār ātā hai
  34. maiñ ne pūchhāmane! tum kyūñ apnī ammī jān ko bājī kahte ho
  35. maiñ ne jo zulm kabhī tujh se ravā rakhā thāāj isī zulm ke phande meñ giraftār hūñ maiñ
  36. maiñ ne chāhā thā use rūh kī rāhat ke liyeāj vo jān kā āzār banī baiṭhī hai
  37. ai mire dushman-e-jāñmaiñ tujhe aur to kuchh kah nahīñ saktā lekin
  38. ahbāb se chhup chhup ke bhī royā hūñ maiñ aksarpar āj bharī bazm meñ
  39. ek patangātanhā tanhā!
  40. ḍūbe hue gulāb meñ vo jism ke ḳhutūtjab yād ā.e haiñ
  41. lākh pardoñ meñ rahūñ bhed mire kholtī haishāyarī sach boltī hai
  42. naujavān kaun hai tūāyā hai kis nagrī se
  43. ye merī ġhazleñ ye merī nazmeñjo maiñ ne tujh se bichhaṛ ke likheñ
  44. ab jis ke jī meñ ā.e vahī pā.e raushnīham ne to dil jalā ke sar ām rakh diyā
  45. abhī to bāt karo ham se dostoñ kī tarahphir iḳhtilāf ke pahlū nikālte rahnā
  46. achchhā yaqīñ nahīñ hai to kashtī ḍabbā ke dekhik tū hī nāḳhudā nahīñ zālim ḳhudā bhī hai
  47. jīt le jā.e koī mujh ko nasīboñ vālāzindagī ne mujhe dā.oñ pe lagā rakhā hai
  48. kuchh kah rahī haiñ āp ke sīne kī dhaṛkaneñmerā nahīñ to dil kā kahā mān jā.iye
  49. kyā maslahat shanās thā vo ādmī qatīlmajbūriyoñ kā jis ne vafā nām rakh diyā
  50. gungunātī huī ātī haiñ falak se būndeñkoī badlī tirī pāzeb se ṭakrā.ī hai