وہ شخص کہ میں جس سے محبت نہیں کرتا
Qateel Shifai (1919–2001)وہ شخص کہ میں جس سے محبت نہیں کرتا
ہنستا ہے مجھے دیکھ کے نفرت نہیں کرتا
پکڑا ہی گیا ہوں تو مجھے دار پہ کھینچو
سچا ہوں مگر اپنی وکالت نہیں کرتا
کیوں بخش دیا مجھ سے گنہ گار کو مولا
منصف تو کسی سے بھی رعایت نہیں کرتا
گھر والوں کو غفلت پہ سبھی کوس رہے ہیں
چوروں کو مگر کوئی ملامت نہیں کرتا
کس قوم کے دل میں نہیں جذبات براہیم
کس ملک پہ نمرود حکومت نہیں کرتا
دیتے ہیں اجالے مرے سجدوں کی گواہی
میں چھپ کے اندھیرے میں عبادت نہیں کرتا
بھولا نہیں میں آج بھی آداب جوانی
میں آج بھی اوروں کو نصیحت نہیں کرتا
انسان یہ سمجھیں کہ یہاں دفن خدا ہے
میں ایسے مزاروں کی زیارت نہیں کرتا
دنیا میں قتیلؔ اس سا منافق نہیں کوئی
جو ظلم تو سہتا ہے بغاوت نہیں کرتا
wo shakhs ke main jis se mohabbat nahin karta
hansta hai mujhe dekh ke nafrat nahin karta
pakra hi gaya hun to mujhe dar pe khincho
sachcha hun magar apni wakalat nahin karta
kyun bakhsh diya mujh se gunah gar ko maula
munsif to kisi se bhi riayat nahin karta
ghar walon ko ghaflat pe sabhi kos rahe hain
choron ko magar koi malamat nahin karta
kis qaum ke dil mein nahin jazbat barahim
kis mulk pe namrud hukumat nahin karta
dete hain ujale mire sajdon ki gawahi
main chhup ke andhere mein ibadat nahin karta
bhula nahin main aj bhi adab-e-jawani
main aj bhi auron ko nasihat nahin karta
insan ye samjhen ke yahan dafn khuda hai
main aise mazaron ki ziyarat nahin karta
duniya mein qatil is sa munafiq nahin koi
jo zulm to sahta hai baghawat nahin karta