Poet
Hafeez Jaunpuri
حفیظ جونپوری1868–1959
Poems
- آپ ہی سے نہ جب رہا مطلبپھر رقیبوں سے مجھ کو کیا مطلبāp hī se na jab rahā matlabphir raqīboñ se mujh ko kyā matlab
- آغاز محبت میں برسوں یوں ضبط سے ہم نے کام لیاجب ہوک کلیجے میں اٹھی تو ہاتھوں سے دل تھام لیاāġhāz-e-mohabbat meñ barsoñ yūñ zabt se ham ne kām liyājab hūk kaleje meñ uṭhī to hāthoñ se dil thām liyā
- اب تو نہیں آسرا کسی کااللہ ہے اپنی بیکسی کاab to nahīñ āsrā kisī kāallāh hai apnī bekasī kā
- ادا پریوں کی صورت حور کی آنکھیں غزالوں کیغرض مانگے کی ہر اک چیز ہے ان حسن والوں کیadā pariyoñ kī sūrat hūr kī ānkheñ ġhazāloñ kīġharaz māñge kī har ik chīz hai un husn vāloñ kī
- ادھر ہوتے ہوتے ادھر ہوتے ہوتےہوئی دل کی دل کو خبر ہوتے ہوتےidhar hote hote idhar hote hotehuī dil kī dil ko ḳhabar hote hote
- اس کو آزادی نہ ملنے کا ہمیں مقدور ہےہم ادھر مجبور ہیں اور وہ ادھر مجبور ہےus ko āzādī na milne kā hameñ maqdūr haiham idhar majbūr haiñ aur vo idhar majbūr hai
- اسی خیال سے ترک ان کی چاہ کر نہ سکےکہیں گے لوگ کہ دو دن نباہ کر نہ سکےisī ḳhayāl se tark un kī chāh kar na sakekaheñge log ke do din nibāh kar na sake
- افسردگئ دل سے یہ رنگ ہے سخن میںیعنی خزاں رسیدہ کچھ پھول ہیں چمن میںafsurdagī-e-dil se ye rang hai suḳhan meñya.anī ḳhizāñ rasīda kuchh phūl haiñ chaman meñ
- ان کو دل دے کے پشیمانی ہےیہ بھی اک طرح کی نادانی ہےun ko dil de ke pashemānī haiye bhī ik tarah kī nādānī hai
- ان کی یہ ضد کہ مرے گھر میں نہ آئے کوئیاپنی ہی ہٹ کہ مجھے خود ہی بلائے کوئیun kī ye zid ke mire ghar meñ na ā.e koīapnī hī haṭ ke mujhe ḳhud hī bulā.e koī
- بتاؤں کیا کسی کو میں کہ تم کیا چیز ہو کیا ہومری حسرت مرے ارمان ہو میری تمنا ہوbatā.ūñ kyā kisī ko maiñ ke tum kyā chīz ho kyā homirī hasrat mire armān ho merī tamannā ho
- بت کدہ نزدیک کعبہ دور تھامیں ادھر ہی رہ گیا مجبور تھاbut kada nazdīk ka.aba dūr thāmaiñ idhar hī rah gayā majbūr thā
- بگڑ جاتے تھے سن کر یاد ہے کچھ وہ زمانہ بھیکوئی کرتا تھا جب میری شکایت غائبانہ بھیbigaṛ jāte the sun kar yād hai kuchh vo zamāna bhīkoī kartā thā jab merī shikāyat ġhā.ibāna bhī
- بیٹھ جاتا ہوں جہاں چھاؤں گھنی ہوتی ہےہائے کیا چیز غریب الوطنی ہوتی ہےbaiṭh jātā hūñ jahāñ chhā.oñ ghanī hotī haihā.e kyā chīz ġharīb alvatanī hotī hai
- پتھر سے نہ مارو مجھے دیوانہ سمجھ کرآیا ہوں ادھر کوچۂ جانانہ سمجھ کرpatthar se na māro mujhe dīvāna samajh karāyā hūñ idhar kūcha-e-jānāna samajh kar
- پی ہم نے بہت شراب توبہاے گرمیٔ آفتاب توبہpī ham ne bahut sharāb taubaai garmī-e-āftāb tauba
- جان ہی جائے تو جائے درد دلاک یہی ہے اب دوائے درد دلjān hī jā.e to jā.e dard-e-dilik yahī hai ab davā-e-dard-e-dil
- جاؤ بھی جگر کیا ہے جو بیداد کرو گےنالے مرے سن لو گے تو فریاد کرو گےjā.o bhī jigar kyā hai jo bedād karogenāle mire sun loge to fariyād karoge
- جب تک کہ طبیعت سے طبیعت نہیں ملتیہوں پیار کی باتیں بھی تو لذت نہیں ملتیjab tak ke tabī.at se tabī.at nahīñ miltīhūñ pyār kī bāteñ bhī to lazzat nahīñ miltī
- جنوں کے جوش میں پھرتے ہیں مارے مارے اباجل لگا دے کہیں گور کے کنارے ابjunūñ ke josh meñ phirte haiñ māre māre abajal lagā de kahīñ gor ke kināre ab
- چاک داماں نہ رہا چاک گریباں نہ رہاپھر بھی پوشیدہ مرا حال پریشاں نہ رہاchāk dāmāñ na rahā chāk-e-garebāñ na rahāphir bhī poshīda mirā hāl-e-pareshāñ na rahā
- حسینوں سے فقط صاحب سلامت دور کی اچھینہ ان کی دوستی اچھی نہ ان کی دشمنی اچھیhasīnoñ se faqat sāhab salāmat dūr kī achchhīna un kī dostī achchhī na un kī dushmanī achchhī
- حفیظؔ وصل میں کچھ ہجر کا خیال نہ تھاوفور عیش میں اندیشۂ مآل نہ تھاhafīz vasl meñ kuchh hijr kā ḳhayāl na thāvafūr-e-aish meñ andesha-e-maāl na thā
- خراب و خستہ ہوئے خاک میں شباب ملاہمیں یہ دل نہ ملا جان کا عذاب ملاḳharāb-o-ḳhasta hue ḳhāk meñ shabāb milāhameñ ye dil na milā jān kā azāb milā
- خود بخود آنکھ بدل کر یہ سوال اچھا ہےروز کب تک کوئی پوچھا کرے حال اچھا ہےḳhud baḳhud ānkh badal kar ye savāl achchhā hairoz kab tak koī pūchhā kare hāl achchhā hai
- دل اس لئے ہے دوست کہ دل میں ہے جائے دوستجب یہ نہ ہو بغل میں ہے دشمن بجائے دوستdil is liye hai dost ke dil meñ hai jā.e dostjab ye na ho baġhal meñ hai dushman bajā.e dost
- دل پر لگا رہی ہے وہ نیچی نگاہ چوٹپھر چوٹ بھی وہ چوٹ جو ہے بے پناہ چوٹdil par lagā rahī hai vo nīchī nigāh choṭphir choṭ bhī vo choṭ jo hai be panāh choṭ
- دل کو اسی سبب سے ہے اضطراب شایدقاصد پھرا ہے لے کر خط کا جواب شایدdil ko isī sabab se hai iztirāb shāyadqāsid phirā hai le kar ḳhat kā javāb shāyad
- دل میں ہیں وصل کے ارمان بہتجمع اس گھر میں ہیں مہمان بہتdil meñ haiñ vasl ke armān bahutjam.a is ghar meñ haiñ mehmān bahut
- دل ہے تو ترے وصل کے ارمان بہت ہیںیہ گھر جو سلامت ہے تو مہمان بہت ہےdil hai to tire vasl ke armān bahut haiñye ghar jo salāmat hai to mehmān bahut hai
- دنیا میں یوں تو ہر کوئی اپنی سی کر گیازندہ ہے اس کا نام کسی پر جو مر گیاduniyā meñ yūñ to har koī apnī sī kar gayāzinda hai us kā nām kisī par jo mar gayā
- دیا جب جام مے ساقی نے بھر کےتو پچھتائے بہت ہم توبہ کر کےdiyā jab jām-e-mai sāqī ne bhar ketū pachhtā.e bahut ham tauba kar ke
- ساتھ رہتے اتنی مدت ہو گئیدرد کو دل سے محبت ہو گئیsāth rahte itnī muddat ho ga.īdard ko dil se mohabbat ho ga.ī
- سن کے میرے عشق کی روداد کولوگ بھولے قیس کو فرہاد کوsun ke mere ishq kī rūdād kolog bhūle qais ko farhād ko
- شب وصال لگایا جو ان کو سینے سےتو ہنس کے بولے الگ بیٹھیے قرینے سےshab-e-visāl lagāyā jo un ko sīne setū hañs ke bole alag baiṭhiye qarīne se
- شب وصال یہ کہتے ہیں وہ سنا کے مجھےکسی نے لوٹ لیا اپنے گھر بلا کے مجھےshab-e-visāl ye kahte haiñ vo sunā ke mujhekisī ne lauṭ liyā apne ghar balā ke mujhe
- شب وصل ہے بحث حجت عبثیہ شکوے عبث یہ شکایت عبثshab-e-vasl hai bahs-e-hujjat abasye shikve abas ye shikāyat abas
- شکوہ کرتے ہیں زباں سے نہ گلا کرتے ہیںتم سلامت رہو ہم تو یہ دعا کرتے ہیںshikva karte haiñ zabāñ se na gilā karte haiñtum salāmat raho ham to ye duā karte haiñ
- صبح کو آئے ہو نکلے شام کےجاؤ بھی اب تم مرے کس کام کےsub.h ko ā.e ho nikle shām kejā.o bhī ab tum mire kis kām ke
- صدمے جو کچھ ہوں دل پہ سہیےپوچھے بھی کوئی تو چپ ہی رہیےsadme jo kuchh hūñ dil pe sahiyepūchhe bhī koī to chup hī rahiye
- قاصد خلاف خط کہیں تیرا بیاں نہ ہوکرنا سنبھل کے بات کہ وہ بد گماں نہ ہوqāsid ḳhilāf-e-ḳhat kahīñ terā bayāñ na hokarnā sambhal ke bāt ke vo bad gumāñ na ho
- کرنا جو محبت کا اقرار سمجھ لینااک بار نہیں اس کو سو بار سمجھ لیناkarnā jo mohabbat kā iqrār samajh lenāik bār nahīñ us ko sau bār samajh lenā
- کسی کو دیکھ کر بے خود دل کام ہو جانااسی کو لوگ کہتے ہیں خیال خام ہو جاناkisī ko dekh kar be ḳhud dil kām ho jānāusī ko log kahte haiñ ḳhayāl-e-ḳhām ho jānā
- کوئی جہاں میں نہ یا رب ہو مبتلائے فراقکسی کی جان کی دشمن نہ ہو بلائے فراقkoī jahāñ meñ na yā rab ho mubtalā-e-firāqkisī kī jān kī dushman na ho balā-e-firāq
- کہا یہ کس نے کہ وعدے کا اعتبار نہ تھاوہ اور بات تھی جس سے مجھے قرار نہ تھاkahā ye kis ne ke va.ade kā etibār na thāvo aur bāt thī jis se mujhe qarār na thā
- کہیں مرنے والے کہا مانتے ہیںوہی کر گزرتے ہیں جو ٹھانتے ہیںkahīñ marne vāle kahā mānte haiñvahī kar guzarte haiñ jo ṭhānte haiñ
- گو یہ رکھتی نہیں انسان کی حالت اچھیپھر بھی سو کام سے دنیا کے محبت اچھیgo ye rakhtī nahīñ insān kī hālat achchhīphir bhī so kām se duniyā ke mohabbat achchhī
- لکھ دے عامل کوئی ایسا تعویذیار ہو جائے گلے کا تعویذlikh de āmil koī aisā ta.avīzyār ho jā.e gale kā ta.avīz
- محبت کیا بڑھی ہے وہم باہم بڑھتے جاتے ہیںہم ان کو آزماتے ہیں وہ ہم کو آزماتے ہیںmohabbat kyā baṛhī hai vahm bāham baṛhte jāte haiñham un ko āzmāte haiñ vo ham ko āzmāte haiñ
- مرے عیبوں کی اصلاحیں ہوا کیں بحث دشمن سےلیا ہے راہبر کا کام اکثر میں نے دشمن سےmire aiboñ kī islāheñ huā kīñ bahs dushman seliyā hai rāhbar kā kām aksar maiñ ne dushman se