Poet
Bashar Nawaz
Poems
- آہٹ پہ کان در پہ نظر اس طرح نہ تھیایک ایک پل کی ہم کو خبر اس طرح نہ تھیāhaṭ pe kān dar pe nazar is tarah na thīek ek pal kī ham ko ḳhabar is tarah na thī
- بازار زندگی میں جمے کیسے اپنا رنگہیں مشتری کے طور نہ بیوپاریوں کے ڈھنگbāzār-e-zindagī meñ jame kaise apnā ranghaiñ mushtarī ke tūr na bīvpāriyoñ ke ḍhang
- بہت تھا خوف جس کا پھر وہی قصا نکل آیامرے دکھ سے کسی آواز کا رشتا نکل آیاbahut thā ḳhauf jis kā phir vahī qissā nikal āyāmire dukh se kisī āvāz kā rashtā nikal āyā
- بہ ہر عنواں محبت کو بہار زندگی کہئےقرین مصلحت ہے اس کے ہر غم کو خوشی کہیےba har unvāñ mohabbat ko bahār-e-zindagī kahiyeqarīn-e-maslahat hai us ke har ġham ko ḳhushī kahiye
- جانے کیا دیکھا تھا میں نے خواب میںپھنس گیا پھر جسم کے گرداب میںjāne kyā dekhā thā maiñ ne ḳhvāb meñphañs gayā phir jism ke girdāb meñ
- جب چھائی گھٹا لہرائی دھنک اک حسن مکمل یاد آیاان ہاتھوں کی مہندی یاد آئی ان آنکھوں کا کاجل یاد آیاjab chhā.ī ghaṭā lahrā.ī dhanak ik husn mukammal yād āyāin hāthoñ kī mehndī yād ā.ī in ānkhoñ kā kājal yād āyā
- جب کبھی ہوں گے تو ہم مائل غم ہی ہوں گےایسے دیوانے بھی اس دور میں کم ہی ہوں گےjab kabhī hoñge to ham mā.il-e-ġham hī hoñgeaise dīvāne bhī is daur meñ kam hī hoñge
- چپ چاپ سلگتا ہے دیا تم بھی تو دیکھوکس درد کو کہتے ہیں وفا تم بھی تو دیکھوchup chāp sulagtā hai diyā tum bhī to dekhokis dard ko kahte haiñ vafā tum bhī to dekho
- چھیڑا ذرا صبا نے تو گلنار ہو گئےغنچے بھی مہ جمالوں کے رخسار ہو گئےchheṛā zarā sabā ne to gulnār ho ga.eġhunche bhī mah jamāloñ ke ruḳhsār ho ga.e
- دل کے ہر درد نے اشعار میں ڈھلنا چاہااپنا پیراہن بے رنگ بدلنا چاہاdil ke har dard ne ash.ār meñ ḍhalnā chāhāapnā pairāhan-e-be rang badalnā chāhā
- ربط ہر بزم سے ٹوٹے تری محفل کے سوارنجشیں سب کی گوارا ہیں ترے دل کے سواrabt har bazm se ṭūṭe tirī mahfil ke sivāranjisheñ sab kī gavārā haiñ tire dil ke sivā
- روز کہاں سے کوئی نیاپن اپنے آپ میں لائیں گےتم بھی تنگ آ جاؤ گے اک دن ہم بھی اکتا جائیں گےroz kahāñ se koī nayāpan apne āp meñ lā.eñgetum bhī tang ā jā.oge ik din ham bhī uktā jā.eñge
- سارے منظر فسوں تماشا ہیںکل گھٹائیں تھیں آج دریا ہیںsāre manzar fusūñ tamāshā haiñkal ghaṭā.eñ thīñ āj dariyā haiñ
- عکس ہر روز کسی غم کا پڑا کرتا ہےدل وہ آئینہ کہ چپ چاپ تکا کرتا ہےaks har roz kisī ġham kā paṛā kartā haidil vo ā.īna ke chup chāp takā kartā hai
- کوئی صنم تو ہو کوئی اپنا خدا تو ہواس دشت بے کسی میں کوئی آسرا تو ہوkoī sanam to ho koī apnā ḳhudā to hois dasht-e-be kisī meñ koī āsrā to ho
- کیا کیا لوگ خوشی سے اپنی بکنے پر تیار ہوئےایک ہمیں دیوانے نکلے ہم ہی یہاں پر خوار ہوئےkyā kyā log ḳhushī se apnī bikne par tayyār hueek hameñ dīvāne nikle ham hī yahāñ par ḳhvār hue
- گھٹتی بڑھتی روشنیوں نے مجھے سمجھا نہیںمیں کسی پتھر کسی دیوار کا سایا نہیںghaṭṭī baṛhtī raushniyoñ ne mujhe samjhā nahīñmaiñ kisī patthar kisī dīvār kā sāyā nahīñ
- ہر نئی رت میں نیا ہوتا ہے منظر میراایک پیکر میں کہاں قید ہے پیکر میراhar na.ī rut meñ nayā hotā hai manzar merāek paikar meñ kahāñ qaid hai paikar merā
- یہ حسن ہے جھرنوں میں نہ ہے باد چمن میںجس حسن سے ہے چاند رواں نیل گگن میںye husn hai jharnoñ meñ na hai bād chaman meñjis husn se hai chānd ravāñ nīl gagan meñ