Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Zafar Gorakhpuri

1935–2017

Poems

  1. irāda ho aṭal to mojiza aisā bhī hotā haidiye ko zinda rakhtī hai havā aisā bhī hotā hai
  2. ashk-e-ġham ānkh se bāhar bhī nahīñ āne kāabr chhuṭ jā.eñ vo manzar bhī nahīñ āne kā
  3. ek muṭṭhī ek sahrā bhej dekoī āndhī merā hissa bhej de
  4. badan kajlā gayā to dil kī tābānī se niklūñgāmaiñ sūraj ban ke ik din apnī peshānī se niklūñgā
  5. bulandī se utāre jā chuke haiñzamīñ par lā ke māre jā chuke haiñ
  6. bīch manjdhār diyā baṛh ke sahārā kis neham to tanhā the hameñ pār utārā kis ne
  7. pukāre jā rahe ho ajnabī se chāhte kyā hoḳhud apne shor meñ gum ādmī se chāhte kyā ho
  8. pal pal jīne kī ḳhvāhish meñ karb-e-shām-o-sahar māñgāsab the nishāt naf.a ke pīchhe ham ne ranj zarar māñgā
  9. to phir maiñ kyā agar anfās ke sab tār gum is meñmire hone na hone ke sabhī āsār gum is meñ
  10. thī alag rāh magar tark-e-mohabbat nahīñ kīus ne bhī sochā bahut ham ne bhī ujlat nahīñ kī
  11. jab itnī jāñ se mohabbat baṛhā ke rakhī thīto kyūñ qarīb huā sham.a lā ke rakhī thī
  12. jo ā.e vo hisāb-e-āb-o-dāna karne vāle thega.e vo log jo kār-e-zamāna karne vāle the
  13. jo apnī hai vo ḳhāk dil nashīñ hī kām ā.egīgiroge āsmāñ se jab zamīñ hī kām ā.egī
  14. chehra lāla rang huā hai mausam ranj-o-malāl ke ba.adham ne jīne kā gar jānā zahr ke istemāl ke ba.ad
  15. din ko bhī itnā andherā hai mire kamre meñsāya āte hue ḍartā hai mire kamre meñ
  16. dhūp hai kyā aur sāyā kyā hai ab ma.alūm huāye sab khel tamāshā kyā hai ab ma.alūm huā
  17. dekheñ qarīb se bhī to achchhā dikhā.ī deik ādmī to shahr meñ aisā dikhā.ī de
  18. raushnī parchhā.īñ paikar āḳhirīdekh lūñ jī bhar ke manzar āḳhirī
  19. rahe na ghar ke hue ḳhvār ye to honā thātirī talāsh meñ ai yār ye to honā thā
  20. zamīñ phir dard kā ye sā.ibāñ koī nahīñ degātujhe aisā kushāda āsmāñ koī nahīñ degā
  21. silsile ke ba.ad koī silsila raushan kareñik diyā jab sāth chhoṛe dūsrā raushan kareñ
  22. tarīq-e-girya ab is se behtar nahīñ milegāke ek ānsū bhī koī bāhar nahīñ milegā
  23. ishq meñ kyā kyā mere junūñ kī kī na burā.ī logo nekuchh tum ne badnām kiyā kuchh āg lagā.eñ logo ne
  24. kaun yād āyā ye mahkāreñ kahāñ se ā ga.īñdasht meñ ḳhushbū kī bauchhāreñ kahāñ se ā ga.īñ
  25. mirā qalam mire jazbāt māñgne vālemujhe na māñg mirā hāth māñgne vāle
  26. merī ik chhoṭī sī koshish tujh ko pāne ke liyeban ga.ī hai masala sāre zamāne ke liye
  27. na bhūl pā.e tumheñ hādisa hī aisā thāna bhar sakā koī us ko ḳhalā hī aisā thā
  28. yaqīn ko sīnchnā hai ḳhvāboñ ko pālnā haibachā hai thoṛā sā jo asāsa sambhālnā hai
  29. ab to alam kī parvāzeñaur hī qisse kahtī haiñ
  30. mire azīz vatan ke azīz farzandomire vatan kī na.ī sub.h ke naqīb ho tum
  31. tanhā.ī ko ghar se ruḳhsat kar to dosocho kis ke ghar jā.egī tanhā.ī
  32. ḳhat likh ke kabhī aur kabhī ḳhat ko jalā kartanhā.ī ko rangīn banā kyūñ nahīñ lete
  33. zehnoñ kī kahīñ jang kahīñ zāt kā ṭakrā.oun sab kā sabab ek mafādāt kā ṭakrā.o
  34. shajar ke qatl meñ us kā bhī hāth hai shāyadbatā rahā hai ye bād-e-sabā kā chup rahnā
  35. kitnī āsānī se mashhūr kyā hai ḳhud komaiñ ne apne se baṛe shaḳhs ko gālī de kar