Poet
Shad Azimabadi
شاد عظیم آبادی1846–1927
Poems
- ہماری آنکھوں میں اشکوں کا آ کے رہ جاناجھکا کے سر کو ترا مسکرا کے رہ جاناhamārī ānkhoñ meñ ashkoñ kā ā ke rah jānājhukā ke sar ko tirā muskurā ke rah jānā
- ہو کے خوش ناز ہم ایسوں کے اٹھانے والاکوئی باقی نہ رہا اگلے زمانے والاho ke ḳhush nāz ham aisoñ ke uṭhāne vālākoī bāqī na rahā agle zamāne vālā
- یہ دلجمعی جئے جب تک جئے جینا اسی کا ہےپئے جو سیر ہو کے رات دن پینا اسی کا ہےye diljamī jiye jab tak jiye jīnā usī kā haipiye jo sair ho ke rāt din pīnā usī kā hai
- یہ رات بھیانک ہجر کی ہے کاٹیں گے بڑے آلام سے ہمٹلنے کی نہیں یہ کالی بلا سمجھے ہوئے تھے شام سے ہمye rāt bhayānak hijr kī hai kāṭeñge baṛe ālām se hamṭalne kī nahīñ ye kālī balā samjhe hue the shām se ham
- یہی موقع ہے زمانے سے گزر جانے کاکیوں اجل کیا کیا ساماں مرے مر جانے کاyahī mauqa.a hai zamāne se guzar jāne kākyūñ ajal kyā kiyā sāmāñ mire mar jāne kā
- جس وقت کا ڈر تھا وہ شباب آ پہنچاہنگام رحیل و پا تراب آ پہنچاjis vaqt kā ḍar thā vo shabāb ā pahuñchāhangām-e-rahīl-o-pā turāb ā pahuñchā
- ساقی کے کرم سے فیض یہ جاری ہےیا پیر خر کی غم خواری ہےsāqī ke karam se faiz ye jārī haiyā pīr ḳhar kī ġham ḳhvārī hai
- شہروں میں پھرے نہ سوئے صحرا نکلےفیاض جو ہو وطن کے وہ کیا نکلےshahroñ meñ phire na sū-e-sahrā niklefayyāz jo ho vatan ke vo kyā nikle
- کیا مفت زاہدوں نے الزام لیاتسبیح کے دانوں سے عبث کام لیاkyā muft zāhidoñ ne ilzām liyātasbīh ke dānoñ se abas kām liyā
- ہادی ہوں میں کام ہے ہدایت میرادم بھرتے ہیں ارباب بلاغت میراhādī hūñ maiñ kām hai hidāyat merādam bharte haiñ arbāb-e-balāġhat merā
- اخلاق سے جہل علم و فن سے غافلمضموں جو دیکھیں تو مثل خط باطلaḳhlāq se jahl ilm-o-fan se ġhāfilmazmūñ jo dekheñ to misl-e-ḳhat bātil
- ارباب قیود تجھ کو کیا دیکھیں گےخواہان نمود تجھ کو کیا دیکھیں گےarbāb-e-quyūd tujh ko kyā dekheñgeḳhvāhān numūd tujh ko kyā dekheñge
- اس سلسلۂ شہود کو توڑ دیاگھبرا کے عدم کی سمت منہ موڑ دیاis silsila-e-shuhūd ko toṛ diyāghabrā ke adam kī samt muñh moṛ diyā
- بدلے نہ صداقت کا نشاں ایک رہےہر حال میں پنہاں و نہاں ایک رہےbadle na sadāqat kā nishāñ ek rahehar hāl meñ pinhāñ-o-nihāñ ek rahe
- بعض اہل وطن سے اب بھی دکھ پاتا ہوںتحصیل کمال کر کے پچھتاتا ہوںba.az ahl-e-vatan se ab bhī dukh pātā hūñtahsīl kamāl kar ke pachhtātā hūñ
- تعریف بتاؤں شعر کی کیا کیا ہےنغموں کی صداقت اس سے خود پیدا ہےta.arīf batā.ūñ sher kī kyā kyā hainaġhmoñ kī sadāqat us se ḳhud paidā hai
- تنہا ہے چراغ دور پروانے ہیںاپنے تھے جو کل آج وہ بیگانے ہیںtanhā hai charāġh dūr parvāne haiñapne the jo kal āj vo begāne haiñ
- جس دل میں غبار ہو وہ دل صاف کہاںپھر خلق کہاں وقار الطاف کہاںjis dil meñ ġhubār ho vo dil sāf kahāñphir ḳhalq kahāñ vaqār altāf kahāñ
- جو چاہئے دیکھنا نہ دیکھا میں نےہر شے پہ کیا ہے غور کیا کیا میں نےjo chāhiye dekhnā na dekhā maiñ nehar shai pe kyā hai ġhaur kyā kyā maiñ ne
- چالاک ہیں سب کے سب بڑھتے جاتے ہیںافلاک ترقی پہ چڑھتے جاتے ہیںchālāk haiñ sab ke sab baṛhte jāte haiñaflāk taraqqī pe chaṛhte jāte haiñ
- حقا کہ وہ جادۂ وفا سے بھی پھرااحباب و عزیز و اقربا سے بھی پھراhaqqā ke vo jāda-e-vafā se bhī phirāahbāb-o-azīz-o-aqribā se bhī phirā
- دل مورد ایزا و بلا ہوتا ہےپاداش عمل میں سب بجا ہوتا ہےdil morid īzā-o-balā hotā haipādāsh-e-amal meñ sab bajā hotā hai
- روشن ہے کہ شاد سخن آرا میں ہوںسمجھو نہ مجھے غیر تمہارا میں ہوںraushan hai ke shād suḳhan ārā meñ hūñsamjho na mujhe ġhair tumhārā meñ hūñ
- سو طرح کا میرے لیے سامان کیاپورا اک عمر کا ارمان کیاsau tarah kā mere liye sāmān kiyāpūrā ik umr kā armān kyā
- کیوں بات چھپاؤں رند مے نوش ہوں میںدنیا کہتی کہ دین فراموش ہوں میںkyūñ bāt chhupā.ūñ rind-e-mai nosh hūñ maiñduniyā kahtī ke dīn farāmosh hūñ maiñ
- کیوں کر نہ رہے غم نہانی تیرادنیا میں بتا کون ہے ثانی تیراkyūñ kar na rahe ġham-e-nihānī terāduniyā meñ batā kaun hai sānī terā
- مضموں میرے دل میں بے طلب آتے ہیںقدسی طبق نور میں دبے جاتے ہیںmazmūñ mere dil meñ be talab āte haiñqudsī tabaq nūr meñ dabe jāte haiñ
- ہر حال میں آبروئے فن لازم ہےتقلید فصیحان وطن لازم ہےhar hāl meñ ābrū-e-fan lāzim haitaqlīd fasīhān vatan lāzim hai
- ہر طرح کی دل میں چاہ کر کے چھوڑےمشغول فغاں و آہ کر کے چھوڑےhar tarah kī dil meñ chāh kar ke chhoṛemashġhūl-e-fuġhāñ-o-āh kar ke chhoṛe
- گہری نیند سے سونے والووقت کو اپنے کھونے والوgahrī nīnd se sone vālovaqt ko apne khone vālo
- اظہار مدعا کا ارادہ تھا آج کچھتیور تمہارے دیکھ کے خاموش ہو گیاiz.hār-e-mudda.ā kā irāda thā āj kuchhtevar tumhāre dekh ke ḳhāmosh ho gayā
- بھرے ہوں آنکھ میں آنسو خمیدہ گردن ہوتو خامشی کو بھی اظہار مدعا کہیےbhare hūñ ānkh meñ ānsū ḳhamīda gardan hotū ḳhāmushī ko bhī iz.hār-e-mudda.ā kahiye
- پروانوں کا تو حشر جو ہونا تھا ہو چکاگزری ہے رات شمع پہ کیا دیکھتے چلیںparvānoñ kā to hashr jo honā thā ho chukāguzrī hai rāt sham.a pe kyā dekhte chaleñ
- ترا آستاں جو نہ مل سکا تری رہ گزر کی زمیں سہیہمیں سجدہ کرنے سے کام ہے جو وہاں نہیں تو کہیں سہیtirā āstāñ jo na mil sakā tirī rah guzar kī zamīñ sahīhameñ sajda karne se kām hai jo vahāñ nahīñ to kahīñ sahī
- تسکین تو ہوتی تھی تسکین نہ ہونے ثرونا بھی نہیں آتا ہر وقت کے رونے سے
- جیتے جی ہم تو غم فردا کی دھن میں مر گئےکچھ وہی اچھے ہیں جو واقف نہیں انجام سےjīte jī ham to ġham-e-fardā kī dhun meñ mar ga.ekuchh vahī achchhe haiñ jo vāqif nahīñ anjām se
- جیسے مری نگاہ نے دیکھا نہ ہو کبھیمحسوس یہ ہوا تجھے ہر بار دیکھ کرjaise mirī nigāh ne dekhā na ho kabhīmahsūs ye huā tujhe har bār dekh kar
- چمن میں جا کے ہم نے غور سے اوراق گل دیکھےتمہارے حسن کی شرحیں لکھی ہیں ان رسالوں میںchaman meñ jā ke ham ne ġhaur se aurāq-e-gul dekhetumhāre husn kī sharheñ likhī haiñ in risāloñ meñ
- خموشی سے مصیبت اور بھی سنگین ہوتی ہےتڑپ اے دل تڑپنے سے ذرا تسکین ہوتی ہےḳhamoshī se musībat aur bhī sangīn hotī haitaṛap ai dil taṛapne se zarā taskīn hotī hai
- دیکھنے والے کو تیرے دیکھنے آتے ہیں لوگجو کشش تجھ میں تھی اب وو تیرے دیوانہ میں ہےdekhne vāle ko tere dekhne āte haiñ logjo kashish tujh meñ thī ab vo tere dīvāna meñ hai
- سنی حکایت ہستی تو درمیاں سے سنینہ ابتدا کی خبر ہے نہ انتہا معلومsunī hikāyat hastī to darmiyāñ se sunīna ibtidā kī ḳhabar hai na intihā ma.alūm
- طلب کریں بھی تو کیا شے طلب کریں اے شادؔہمیں تو آپ نہیں اپنا مدعا معلومtalab kareñ bhī to kyā shai talab kareñ ai shādhameñ to āp nahīñ apnā mudda.ā ma.alūm
- عید میں عید ہوئی عیش کا ساماں دیکھادیکھ کر چاند جو منہ آپ کا اے جاں دیکھاe.id meñ e.id huī aish kā sāmāñ dekhādekh kar chānd jo muñh āp kā ai jāñ dekhā
- غنچوں کے مسکرانے پہ کہتے ہیں ہنس کے پھولاپنا کرو خیال ہماری تو کٹ گئیġhunchoñ ke muskurāne pe kahte haiñ hañs ke phūlapnā karo ḳhayāl hamārī to kaṭ ga.ī
- کون سی بات نئی اے دل ناکام ہوئیشام سے صبح ہوئی صبح سے پھر شام ہوئیkaun sī bāt na.ī ai dil-e-nākām huīshām se sub.h huī sub.h se phir shām huī
- کہتے ہیں اہل ہوش جب افسانہ آپ کاہنستا ہے دیکھ دیکھ کے دیوانہ آپ کاkahte haiñ ahl-e-hosh jab afsāna āp kāhañstā hai dekh dekh ke dīvāna āp kā
- ہزار شکر میں تیرے سوا کسی کا نہیںہزار حیف کہ اب تک ہوا نہ تو میراhazār shakar meñ tere sivā kisī kā nahīñhazār haif ke ab tak huā na to merā