Poet
Shad Azimabadi
شاد عظیم آبادی1846–1927
Poems
- اظہار مدعا کا ارادہ تھا آج کچھتیور تمہارے دیکھ کے خاموش ہو گیاiz.hār-e-mudda.ā kā irāda thā āj kuchhtevar tumhāre dekh ke ḳhāmosh ho gayā
- بھرے ہوں آنکھ میں آنسو خمیدہ گردن ہوتو خامشی کو بھی اظہار مدعا کہیےbhare hūñ ānkh meñ ānsū ḳhamīda gardan hotū ḳhāmushī ko bhī iz.hār-e-mudda.ā kahiye
- پروانوں کا تو حشر جو ہونا تھا ہو چکاگزری ہے رات شمع پہ کیا دیکھتے چلیںparvānoñ kā to hashr jo honā thā ho chukāguzrī hai rāt sham.a pe kyā dekhte chaleñ
- ترا آستاں جو نہ مل سکا تری رہ گزر کی زمیں سہیہمیں سجدہ کرنے سے کام ہے جو وہاں نہیں تو کہیں سہیtirā āstāñ jo na mil sakā tirī rah guzar kī zamīñ sahīhameñ sajda karne se kām hai jo vahāñ nahīñ to kahīñ sahī
- تسکین تو ہوتی تھی تسکین نہ ہونے ثرونا بھی نہیں آتا ہر وقت کے رونے سے
- جیتے جی ہم تو غم فردا کی دھن میں مر گئےکچھ وہی اچھے ہیں جو واقف نہیں انجام سےjīte jī ham to ġham-e-fardā kī dhun meñ mar ga.ekuchh vahī achchhe haiñ jo vāqif nahīñ anjām se
- جیسے مری نگاہ نے دیکھا نہ ہو کبھیمحسوس یہ ہوا تجھے ہر بار دیکھ کرjaise mirī nigāh ne dekhā na ho kabhīmahsūs ye huā tujhe har bār dekh kar
- چمن میں جا کے ہم نے غور سے اوراق گل دیکھےتمہارے حسن کی شرحیں لکھی ہیں ان رسالوں میںchaman meñ jā ke ham ne ġhaur se aurāq-e-gul dekhetumhāre husn kī sharheñ likhī haiñ in risāloñ meñ
- خموشی سے مصیبت اور بھی سنگین ہوتی ہےتڑپ اے دل تڑپنے سے ذرا تسکین ہوتی ہےḳhamoshī se musībat aur bhī sangīn hotī haitaṛap ai dil taṛapne se zarā taskīn hotī hai
- دیکھنے والے کو تیرے دیکھنے آتے ہیں لوگجو کشش تجھ میں تھی اب وو تیرے دیوانہ میں ہےdekhne vāle ko tere dekhne āte haiñ logjo kashish tujh meñ thī ab vo tere dīvāna meñ hai
- سنی حکایت ہستی تو درمیاں سے سنینہ ابتدا کی خبر ہے نہ انتہا معلومsunī hikāyat hastī to darmiyāñ se sunīna ibtidā kī ḳhabar hai na intihā ma.alūm
- طلب کریں بھی تو کیا شے طلب کریں اے شادؔہمیں تو آپ نہیں اپنا مدعا معلومtalab kareñ bhī to kyā shai talab kareñ ai shādhameñ to āp nahīñ apnā mudda.ā ma.alūm
- عید میں عید ہوئی عیش کا ساماں دیکھادیکھ کر چاند جو منہ آپ کا اے جاں دیکھاe.id meñ e.id huī aish kā sāmāñ dekhādekh kar chānd jo muñh āp kā ai jāñ dekhā
- غنچوں کے مسکرانے پہ کہتے ہیں ہنس کے پھولاپنا کرو خیال ہماری تو کٹ گئیġhunchoñ ke muskurāne pe kahte haiñ hañs ke phūlapnā karo ḳhayāl hamārī to kaṭ ga.ī
- کون سی بات نئی اے دل ناکام ہوئیشام سے صبح ہوئی صبح سے پھر شام ہوئیkaun sī bāt na.ī ai dil-e-nākām huīshām se sub.h huī sub.h se phir shām huī
- کہتے ہیں اہل ہوش جب افسانہ آپ کاہنستا ہے دیکھ دیکھ کے دیوانہ آپ کاkahte haiñ ahl-e-hosh jab afsāna āp kāhañstā hai dekh dekh ke dīvāna āp kā
- ہزار شکر میں تیرے سوا کسی کا نہیںہزار حیف کہ اب تک ہوا نہ تو میراhazār shakar meñ tere sivā kisī kā nahīñhazār haif ke ab tak huā na to merā