Poet
Shad Azimabadi
شاد عظیم آبادی1846–1927
Poems
- اب انتہا کا ترے ذکر میں اثر آیاکہ منہ سے نام لیا دل میں تو اتر آیاab intihā kā tire zikr meñ asar āyāke muñh se nām liyā dil meñ to utar āyā
- اب بھی اک عمر پہ جینے کا نہ انداز آیازندگی چھوڑ دے پیچھا مرا میں باز آیاab bhī ik umr pe jīne kā na andāz āyāzindagī chhoṛ de pīchhā mirā meñ bāz āyā
- اگر مرتے ہوئے لب پر نہ تیرا نام آئے گاتو میں مرنے سے در گزرا مرے کس کام آئے گاagar marte hue lab par na terā nām ā.egāto maiñ marne se dar guzrā mire kis kām ā.egā
- ایک ستم اور لاکھ ادائیں اف ری جوانی ہائے زمانےترچھی نگاہیں تنگ قبائیں اف ری جوانی ہائے زمانےek sitam aur lākh adā.eñ uf rī javānī hā.e zamānetirchhī nigāheñ tang qabā.eñ uf rī javānī hā.e zamāne
- اے بت جفا سے اپنی لیا کر وفا کا کامبندوں کے کام آ کہ یہی ہے خدا کا کامai but jafā se apnī liyā kar vafā kā kāmbandoñ ke kām ā ke yahī hai ḳhudā kā kām
- بہت کچھ بھول ہو گئی بھولنے کا شادؔ سن آیامری جاں غم عبث ہے جھڑکیاں سننے کا دن آیاbahut kuchh bhūl ho ga.ī bhūlne kā shād sun āyāmirī jāñ ġham abas hai jhiṛkiyāñ sunne kā din āyā
- بھاگا تو بہت تھا موت سے میں کم بخت نے لیکن آن لیاان لاکھوں ہی مرنے والوں میں کیا جلد مجھے پہچان لیاbhāgā to bahut thā maut se maiñ kam baḳht ne lekin ān liyāin lākhoñ hī marne vāloñ meñ kyā jald mujhe pahchān liyā
- بھول نہ اس کو دھن ہے جدھر کی چونک مسافر رات نہیں ہےشکل نمایاں ہوگی سحر کی چونک مسافر رات نہیں ہےbhūl na us ko dhun hai jidhar kī chauñk musāfir rāt nahīñ haishakl-e-numāyāñ hogī sahar kī chauñk musāfir rāt nahīñ hai
- تا عمر آشنا نہ ہوا دل گناہ کاخالق بھلا کرے تری ترچھی نگاہ کاtā umr āshnā na huā dil gunāh kāḳhāliq bhalā kare tirī tirchhī nigāh kā
- تمام عمر نمک خوار تھے زمیں کے ہموفا سرشت میں تھی ہو رہے یہیں کے ہمtamām umr namak ḳhvār the zamīñ ke hamvafā sarisht meñ thī ho rahe yahīñ ke ham
- تمناؤں میں الجھایا گیا ہوںکھلونے دے کے بہلایا گیا ہوںtamannā.oñ meñ uljhāyā gayā hūñkhilaune de ke bahlāyā gayā hūñ
- تھا اجل کا میں اجل کا ہو گیابیچ میں چونکا تو تھا پھر سو گیاthā ajal kā maiñ ajal kā ho gayābīch meñ chauñkā to thā phir so gayā
- تیری زلفیں غیر اگر سلجھائے گاآنکھ والوں سے نہ دیکھا جائے گاterī zulfeñ ġhair agar suljhā-e-gāānkh vāloñ se na dekhā jā.egā
- جب کسی نے حال پوچھا رو دیاچشم تر تو نے تو مجھ کو کھو دیاjab kisī ne hāl pūchhā ro diyāchashm-e-tar tū ne to mujh ko kho diyā
- جسے پالا تھا اک مدت تک آغوش تمنا میںوہی بانی ہوا میرے غم و درد و اذیت کاjise pālā thā ik muddat tak āġhosh-e-tamannā meñvahī bānī huā mere ġham-o-dard-o-aziyyat kā
- جو تنگ آ کر کسی دن دل پہ ہم کچھ ٹھان لیتے ہیںستم دیکھو کہ وہ بھی چھوٹتے پہچان لیتے ہیںjo tang ā kar kisī din dil pe ham kuchh ṭhān lete haiñsitam dekho ke vo bhī chhūṭṭe pahchān lete haiñ
- جہاں ہے مکتب ہستی سبق ہے چپ رہنابڑا گناہ یہاں ہے الف سے بے کہناjahāñ hai maktab-e-hastī sabaq hai chup rahnābaṛā gunāh yahāñ hai alif se be kahnā
- جیے جائیں گے ہم بھی لب پہ دم جب تک نہیں آتاہمیں بھی دیکھنا ہے نامہ بر کب تک نہیں آتاjiye jā.eñge ham bhī lab pe dam jab tak nahīñ ātāhameñ bhī dekhnā hai nāma bar kab tak nahīñ ātā
- چست کمر کا کیا سبب تنگ قبا کی وجہ کیاہم تو ہیں آپ سر بکف ہم سے ادا کی وجہ کیاchust kamar kā kyā sabab tang qabā kī vaj.h kyāham to haiñ āp sar bakaf ham se adā kī vaj.h kyā
- خضر کیا ہم تو اس جینے میں بازی سب سے جیتے ہیںدم اب اکتا گیا اللہ اکبر کب سے جیتے ہیںḳhizar kyā ham to is jīne meñ bāzī sab se jīte haiñdam ab uktā gayā allāh akbar kab se jīte haiñ
- دل اپنی طلب میں صادق تھا گھبرا کے سوئے مطلوب گیادریا سے یہ موتی نکلا تھا دریا ہی میں جا کر ڈوب گیاdil apnī talab meñ sādiq thā ghabrā ke sū-e-matlūb gayādariyā se ye motī niklā thā dariyā hī meñ jā kar ḍūb gayā
- ڈھونڈوگے اگر ملکوں ملکوں ملنے کے نہیں نایاب ہیں ہمجو یاد نہ آئے بھول کے پھر اے ہم نفسو وہ خواب ہیں ہمḍhūñḍoge agar mulkoñ mulkoñ milne ke nahīñ nāyāb haiñ hamjo yād na ā.e bhūl ke phir ai ham nafaso vo ḳhvāb haiñ ham
- سیاہ کار سیہ رو خطا شعار آیاتری جناب میں تیرا گناہ گار آیاsiyāh kār siyah rū ḳhatā shi.ār āyātirī janāb meñ terā gunāh gār āyā
- شب کو مری چشم حسرت کا سب درد دل ان سے کہہ جانادانتوں میں دبا کر ہونٹ اپنا کچھ سوچ کے اس کا رہ جاناshab ko mirī chashm-e-hasrat kā sab dard-e-dil un se kah jānādāntoñ meñ dabā kar honṭ apnā kuchh soch ke us kā rah jānā
- غفلت میں ہوئی اوقات بسر اے عمر گریزاں کچھ نہ کیاسب چلنے کے تھے سامان بہم چلنے ہی کا ساماں کچھ نہ کیاġhaflat meñ huī auqāt basar ai umr-e-gurezāñ kuchh na kiyāsab chalne ke the sāmān baham chalne hī kā sāmāñ kuchh na kiyā
- غم فراق مے و جام کا خیال آیاسفید بال لیے سر پہ اک وبال آیاġham-e-firāq-e-mai-o-jām kā ḳhayāl āyāsafed bāl liye sar pe ik vabāl āyā
- فقط شور دل پر آرزو تھانہ اپنے جسم میں ہم تھے نہ تو تھاfaqat shor-e-dil par ārzū thāna apne jism meñ ham the na to thā
- کچھ کہے جاتا تھا غرق اپنے ہی افسانے میں تھامرتے مرتے ہوش باقی تیرے دیوانے میں تھاkuchh kahe jātā thā ġharq apne hī afsāne meñ thāmarte marte hosh bāqī tere dīvāne meñ thā
- کس بری ساعت سے خط لے کر گیانامہ بر اب تک نہ آیا مر گیاkis burī sā.at se ḳhat le kar gayānāma bar ab tak na āyā mar gayā
- کس پہ قابو جو تجھی پہ نہیں قابو اپناکس سے امید ہمیں جب نہ ہوا تو اپناkis pe qābū jo tujhī pe nahīñ qābū apnākis se ummīd hameñ jab na huā to apnā
- کسی کو کیا خبر اے صبح وقت شام کیا ہوگاخدا جانے ترے آغاز کا انجام کیا ہوگاkisī ko kyā ḳhabar ai sub.h vaqt-e-shām kyā hogāḳhudā jāne tire āġhāz kā anjām kyā hogā
- کعبہ بھی ہے ٹوٹا ہوا بت خانہ ہمارایا رب رہے آباد یہ ویرانہ ہماراka.aba bhī hai ṭūṭā huā but ḳhāna hamārāyā rab rahe ābād ye vīrāna hamārā
- کعبہ و دیر میں جلوہ نہیں یکساں ان کاجو یہ کہتے ہیں ٹٹولے کوئی ایماں ان کاka.aba-o-dair meñ jalva nahīñ yaksāñ un kājo ye kahte haiñ ṭaṭole koī īmāñ un kā
- کہاں یہ تاب کہ چکھ چکھ کے یا گرا کے پیوںملے بھرا ہوا ساغر تو ڈگڈگا کے پیوںkahāñ ye tāb ke chakh chakh ke yā girā ke piyūñmile bharā huā sāġhar to ḍagḍagā ke piyūñ
- کیا فقط طالب دیدار تھا موسیٰ تیراوہی شیدا تھا ترا میں نہیں شیدا تیراkyā faqat tālib-e-dīdār thā mūsā terāvahī shaidā thā tirā meñ nahīñ shaidā terā
- کیوں ہو بہانہ جو نہ قضا سر سے پاؤں تکظالم ہیں آپ کی ہے ادا سر سے پاؤں تکkyūñ ho bahāna jo na qazā sar se pā.oñ takzālim haiñ āp kī hai adā sar se pā.oñ tak
- لپٹ وہ زلف کی جاں بخش اور وہ پیاری راتبسر ہوئی کبھی ایسی بھی ساری ساری راتlipaṭ vo zulf kī jāñ baḳhsh aur vo pyārī rātbasar huī kabhī aisī bhī sārī sārī rāt
- لطف کیا ہے بے خودی کا جب مزا جاتا رہایوں نہ مانوں میں مگر ساغر تو سمجھاتا رہاlutf kyā hai be ḳhudī kā jab mazā jātā rahāyūñ na mānoñ meñ magar sāġhar to samjhātā rahā
- لے کے خود پیر مغاں ہاتھ میں مینا آیامے کشو شرم کہ اس پر بھی نہ پینا آیاle ke ḳhud pīr-e-muġhāñ hāth meñ mīnā āyāmai kasho sharm ke us par bhī na pīnā āyā
- مرے دانتوں کی عمر اے آرزو مجھ سے بھی چھوٹی تھیاسی نے ساتھ چھوڑا دانت کاٹی جن سے روٹی تھیmire dāntoñ kī umr ai ārzū mujh se bhī chhoṭī thīusī ne sāth chhoṛā dānt kāṭī jin se roṭī thī
- مصیبت جس سے زائل ہو رہی سامان کر دے گانہ گھبرانا خدا سب مشکلیں آسان کر دے گاmusībat jis se zā.il ho rahī sāmān kar degāna ghabrānā ḳhudā sab mushkileñ āsān kar degā
- میں جو حاصل ترے کوچے کی گدائی کرتابندگی کہتے ہیں کس شے کو خدائی کرتاmaiñ jo hāsil tire kūche kī gadā.ī kartābandagī kahte haiñ kis shai ko ḳhudā.ī kartā
- میں شادؔ تنہا اک طرف دنیا کی دنیا اک طرفسارا سمندر اک طرف آنسو کا قطرہ اک طرفmaiñ shād tanhā ik taraf duniyā kī duniyā ik tarafsārā samundar ik taraf ānsū kā qatra ik taraf
- نالوں کی کشاکش سہہ نہ سکا خود تار نفس بھی ٹوٹ گیااک عمر سے تھی تکلیف جسے کل شب کو وہ قیدی چھوٹ گیاnāloñ kī kashākash sah na sakā ḳhud tār-e-nafas bhī ṭūṭ gayāik umr se thī taklīf jise kal shab ko vo qaidī chhūṭ gayā
- نہ جاں بازوں کا مجمع تھا نہ مشتاقوں کا میلا تھاخدا جانے کہاں مرتا تھا میں جب تو اکیلا تھاna jāñ bāzoñ kā majma.a thā na mushtāqoñ kā mailā thāḳhudā jāne kahāñ martā thā maiñ jab to akelā thā
- نہ دل اپنا نہ غم اپنا نہ کوئی غم گسار اپناہم اپنا جانتے ہر چیز کو ہوتا جو یار اپناna dil apnā na ġham apnā na koī ġham gusār apnāham apnā jānte har chīz ko hotā jo yār apnā
- وہ عالمگیر جلوہ اور حسن مشترک تیراخدا جانے ان آنکھوں کو ہوا کس کس پہ شک تیراvo ālamgīr jalva aur husn mushtarak terāḳhudā jāne in ānkhoñ ko huā kis kis pe shak terā
- ہرگز کبھی کسی سے نہ رکھنا دلا غرضجب کچھ غرض نہیں تو زمانے سے کیا غرضhargiz kabhī kisī se na rakhnā dilā ġharazjab kuchh ġharaz nahīñ to zamāne se kyā ġharaz
- ہزار حیف چھٹا ساتھ ہم نشینوں کامکاں تو ہے پہ ٹھکانا نہیں مکینوں کاhazār haif chhuṭā sāth ham nashīnoñ kāmakāñ to hai pe ṭhikānā nahīñ makīnoñ kā
- ہزاروں آرزوئیں ساتھ ہیں اس پر اکیلی ہےہماری روح بے بوجھی ہوئی اب تک پہیلی ہےhazāroñ ārzūeñ sāth haiñ us par akelī haihamārī rūh be būjhī huī ab tak pahelī hai