Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Obaidullah Aleem

عبید اللہ علیم

1939–1998

Poems

  1. ab to firāq sub.h meñ bujhne lagī hayātbār ala kitne pahar rah ga.ī hai rāt
  2. ab to ho kisī rang meñ zāhir to mujhe kyāṭhahre tire ghar koī musāfir to mujhe kyā
  3. aisī tez huā aur aisī rāt nahīñ dekhīlekin ham ne maulā jaisī zāt nahīñ dekhī
  4. ek maiñ bhī hūñ kulah dāroñ ke bīchmīr sāhab ke parastāroñ ke bīch
  5. bāhar kā dhun ātā jātā asl-e-ḳhazāna ghar meñ haihar dhūp meñ jo mujhe sāyā de vo sachchā sāyā ghar meñ hai
  6. banā gulāb to kānṭe chubhā gayā ik shaḳhshavā charāġh to ghar hī jalā gayā ik shaḳhs
  7. pā ba zanjīr sahī zamzama ḳhvāñ haiñ ham logmahfil-e-vaqt tirī rūh-e-ravāñ haiñ ham log
  8. tū apnī āvāz meñ gum hai maiñ apnī āvāz meñ chupdonoñ bīch khaṛī hai duniyā ā.īna-e-alfāz meñ chup
  9. tere pyār meñ rusvā ho kar jā.eñ kahāñ dīvāne logjāne kyā kyā pūchh rahe haiñ ye jāne pahchāne log
  10. jo us ne kiyā use sila demaulā mujhe sabr kī jazā de
  11. chehra havā meñ aur mirī tasvīr hue sabmaiñ lafz huā mujh meñ hī zanjīr hue sab
  12. ḳhvāb hī ḳhvāb kab talak dekhūñkāsh tujh ko bhī ik jhalak dekhūñ
  13. ḳhayāl-o-ḳhvāb huī haiñ mohabbateñ kaisīlahū meñ nāch rahī haiñ ye vahshateñ kaisī
  14. dikhe hue haiñ hameñ aur ab dikhā.o matjo ho ga.e ho fasāna to yād ā.o mat
  15. dil hī the ham dikhe hue tum ne dikhā liyā to kyātum bhī to be amāñ hue ham ko satā liyā to kyā
  16. zamīn jab bhī huī karbalā hamāre liyetū āsmān se utrā ḳhudā hamāre liye
  17. suḳhan meñ sahl nahīñ jāñ nikāl kar rakhnāye zindagī hai hamārī sambhāl kar rakhnā
  18. shikast-e-jāñ se sivā bhī hai kār fan kyā kiyāazāb khīñch rahā hai mirā badan kyā kiyā
  19. shikasta hāl sā be āsrā sā lagtā haiye shahr-e-dil se ziyāda dikhā sā lagtā hai
  20. sāhab-e-mehr-o-vafā arz-o-samā kyūñ chup haiham pe to vaqt ke pahre haiñ ḳhudā kyūñ chup hai
  21. ajīb thī vo ajab tarah chāhtā thā maiñvo bāt kartī thī aur ḳhvāb dekhtā thā maiñ
  22. kuchh to batā.o shāyar-e-bedār kyā huākis kī talāsh hai tumheñ aur kaun kho gayā
  23. kuchh ishq thā kuchh majbūrī thī so maiñ ne jīvan vār diyāmaiñ kaisā zinda ādmī thā ik shaḳhs ne mujh ko mār diyā
  24. kamāl-e-ādmī kī intihā haivo ā.inda meñ bhī sab se baṛā hai
  25. kūcha-e-ishq se kuchh ḳhvāb uṭhā kar le ā.ethe gadā tohfa-e-nāyāb uṭhā kar le ā.e
  26. guzro na is tarah ke tamāshā nahīñ hūñ maiñsamjho ke ab hūñ aur dobāra nahīñ hūñ maiñ
  27. mire ḳhudā mujhe vo tāb ne navā.ī demaiñ chup rahūñ bhī to naġhma mirā sunā.ī de
  28. maiñ jis meñ kho gayā hūñ mirā ḳhvāb hī to haiyak do nafas numūd sahī zindagī to hai
  29. maiñ kaise jyūñ gar ye duniyā har ān na.ī tasvīr na hoye āte jāte rang na hūñ aur lafzoñ kī tanvīr na ho
  30. maiñ ye kis ke nām likhūñ jo alam guzar rahe haiñmire shahr jal rahe haiñ mire log mar rahe haiñ
  31. nigār-e-sub.h kī ummīd meñ pighalte huecharāġh ḳhud ko nahīñ dekhtā hai jalte hue
  32. vahshateñ kaisī haiñ ḳhvāboñ se ulajhtā kyā haiek duniyā hai akelī tū hī tanhā kyā hai
  33. vo ḳhvāb ḳhvāb fazā-e-tarab nahīñ ā.īajīb hī thī vo shab phir vo shab nahīñ ā.ī
  34. vo rāt be panāh thī aur maiñ ġharīb thāvo jis ne ye charāġh jalāyā ajīb thā
  35. vīrān sarā.e kā diyā haijo kaun-o-makāñ meñ jal rahā hai
  36. hijr karte yā koī vasl guzārā karteham bahrhāl basar ḳhvāb tumhārā karte
  37. har āvāz zimistānī hai har jazba zindānī haikūcha-e-yār se dār-o-rasan tak ek sī hī vīrānī hai
  38. ham ne khulne na diyā be sar-o-sāmānī kokahāñ le jā.eñ magar shahr kī vīrānī ko
  39. hañso to rang hūñ chehre kā roo to chashm-e-nam meñ hūñtum mujh ko mahsūs karo to har mausam meñ hūñ
  40. ye aur bāt ke is ahd kī nazar meñ hūñabhī maiñ kyā ke abhī manzil-e-safar meñ hūñ
  41. udās yādoñ kī muzmahil rāt bīt bhī jāke merī ānkhoñ meñ ab lahū hai na ḳhvāb koī
  42. duā duā vo chehrahayā hayā vo ānkheñ
  43. sab bārisheñ ho ke tham chukī thīñrūhoñ meñ dhanak utar rahī thī
  44. kabhī kabhī koī yādkoī bahut purānī yād
  45. mujhe ḳhabar haitumhārī ānkhoñ meñ jo chhupā hai
  46. mire ḳhudāyā meñ zindagī ke azāb likhūñ ke ḳhvāb likhūñye merā chehra ye merī ānkheñ
  47. maiñ bhī jhūṭā tum bhī jhūṭeā.o chalo tanhā ho jā.eñ
  48. āḳhirī rāt thī vomaiñ ne dil se ye kahā
  49. maiñ ḳhud hī apnī bahār se rūṭhne lagūñ garto tum mujhe rūṭhne na denā
  50. pākistān ke sāre shahro zinda raho pā.inda rahoraushniyoñ rangoñ kī lahro zinda raho pā.inda raho