سخن میں سہل نہیں جاں نکال کر رکھنا
Obaidullah Aleem (1939–1998)سخن میں سہل نہیں جاں نکال کر رکھنا
یہ زندگی ہے ہماری سنبھال کر رکھنا
کھلا کہ عشق نہیں ہے کچھ اور اس کے سوا
رضائے یار جو ہو اپنا حال کر رکھنا
اسی کا کام ہے فرش زمیں بچھا دینا
اسی کا کام ستارے اچھال کر رکھنا
اسی کا کام ہے اس دکھ بھرے زمانے میں
محبتوں سے مجھے مالا مال کر رکھنا
بس ایک کیفیت دل میں بولتے رہنا
بس ایک نشے میں خود کو نہال کر رکھنا
بس ایک قامت زیبا کے خواب میں رہنا
بسا ایک شخص کو حد مثال کر رکھنا
گزرنا حسن کی نظارگی سے پل بھر کو
پھر اس کو ذائقۂ لا زوال کر رکھنا
کسی کے بس میں نہیں تھا کسی کے بس میں نہیں
بلندیوں کو سدا پائمال کر رکھنا
sukhan mein sahl nahin jan nikal kar rakhna
ye zindagi hai hamari sambhal kar rakhna
khula ke ishq nahin hai kuchh aur us ke siwa
raza-e-yar jo ho apna hal kar rakhna
usi ka kam hai farsh-e-zamin bichha dena
usi ka kam sitare uchhal kar rakhna
usi ka kam hai is dukh bhare zamane mein
mohabbaton se mujhe mala mal kar rakhna
bas ek kaifiyat dil mein bolte rahna
bas ek nashe mein khud ko nihal kar rakhna
bas ek qamat-e-zeba ke khwab mein rahna
basa ek shakhs ko had misal kar rakhna
guzarna husn ki nazaragi se pal bhar ko
phir us ko zaiqa-e-la zawal kar rakhna
kisi ke bas mein nahin tha kisi ke bas mein nahin
bulandiyon ko sada paimal kar rakhna