عجیب تھی وہ عجب طرح چاہتا تھا میں
Obaidullah Aleem (1939–1998)عجیب تھی وہ عجب طرح چاہتا تھا میں
وہ بات کرتی تھی اور خواب دیکھتا تھا میں
وصال کا ہو کہ اس کے فراق کا موسم
وہ لذتیں تھیں کہ اندر سے ٹوٹتا تھا میں
چڑھا ہوا تھا وہ نشہ کہ کم نہ ہوتا تھا
ہزار بار ابھرتا تھا ڈوبتا تھا میں
بدن کا کھیل تھیں اس کی محبتیں لیکن
جو بھید جسم کے تھے جاں سے کھولتا تھا میں
پھر اس طرح کبھی سویا نہ اس طرح جاگا
کہ روح نیند میں تھی اور جاگتا تھا میں
کہاں شکست ہوئی اور کہاں صلہ پایا
کسی کا عشق کسی سے نباہتا تھا میں
میں اہل زر کے مقابل میں تھا فقط شاعر
مگر میں جیت گیا لفظ ہارتا تھا میں
ajib thi wo ajab tarah chahta tha main
wo bat karti thi aur khwab dekhta tha main
wisal ka ho ke us ke firaq ka mausam
wo lazzaten thin ke andar se tutta tha main
charha hua tha wo nasha ke kam na hota tha
hazar bar ubharta tha dubta tha main
badan ka khel thin us ki mohabbaten lekin
jo bhed jism ke the jan se kholta tha main
phir is tarah kabhi soya na is tarah jaga
ke ruh nind mein thi aur jagta tha main
kahan shikast hui aur kahan sila paya
kisi ka ishq kisi se nibahta tha main
main ahl-e-zar ke muqabil mein tha faqat shayar
magar main jit gaya lafz harta tha main