Poet
مبارک عظیم آبادی
Poems
- آب و دانہ ترا اے بلبل زار اٹھتا ہےفصل گل جاتی ہے سامان بہار اٹھتا ہےāb-o-dāna tirā ai bulbul-e-zār uṭhtā haifasl-e-gul jātī hai sāmān-e-bahār uṭhtā hai
- اب کون بات رہ گئی یہ بات بھی گئییعنی کبھی کبھی کی ملاقات بھی گئیab kaun bāt rah ga.ī ye bāt bhī ga.īya.anī kabhī kabhī kī mulāqāt bhī ga.ī
- بدظن ہیں اہل کعبہ مجھ دیر آشنا سےکہتے ہیں مجھ کو کافر فریاد ہے خدا سےbadzan haiñ ahl-e-ka.aba mujh der āshnā sekahte haiñ mujh ko kāfir fariyād hai ḳhudā se
- بغل میں ہم نے رات اک غیرت مہتاب دیکھا ہےتمہیں اس خواب کی تعبیر ہو کیا خواب دیکھا ہےbaġhal meñ ham ne rāt ik ġhairat-e-mahtāb dekhā haitumheñ is ḳhvāb kī ta.abīr ho kyā ḳhvāb dekhā hai
- بکھری ہوئی ہے یوں مری وحشت کی داستاںدامن کدھر کدھر ہے گریباں کہاں کہاںbikhrī huī hai yūñ mirī vahshat kī dāstāñdāman kidhar kidhar hai garebāñ kahāñ kahāñ
- پردے پردے میں بہت مجھ پہ ترے وار چلےصاف اب حلق پہ خنجر چلے تلوار چلےparde parde meñ bahut mujh pe tire vār chalesāf ab halq pe ḳhanjar chale talvār chale
- پوچھی تقصیر تو بولے کوئی تقصیر نہیںہاتھ جوڑے تو کہا یہ کوئی تعزیر نہیںpūchhī taqsīr to bole koī taqsīr nahīñhāth joṛe to kahā ye koī ta.azīr nahīñ
- پھر ملے ہم ان سے پھر یاری بڑھیاور الجھا دل گرفتاری بڑھیphir mile ham un se phir yārī baṛhīaur uljhā dil giraftārī baṛhī
- تازہ آزار کا ارمان کہاں جاتا ہےپھر ستا لے ترے قربان کہاں جاتا ہےtāza āzār kā armān kahāñ jātā haiphir satā le tire qurbān kahāñ jātā hai
- تم وقت پہ کر جاتے ہو پیمان فراموشیہ بھول نہیں ہوتی مری جان فراموشtum vaqt pe kar jāte ho paimān-e-farāmoshye bhūl nahīñ hotī mirī jān farāmosh
- تمہاری شرط محبت کبھی وفا نہ ہوئییہ کیا ہوئی تمہیں کہہ دو اگر جفا نہ ہوئیtumhārī shart-e-mohabbat kabhī vafā na huīye kyā huī tumheñ kah do agar jafā na huī
- جبیں پر خاک ہے یہ کس کے در کیبلائیں لے رہا ہوں اپنے سر کیjabīñ par ḳhāk hai ye kis ke dar kībalā.eñ le rahā hūñ apne sar kī
- جو پانچ وقت مصلے پہ قبلہ رو نکلےانہیں بزرگوں کے زیر بغل سبو نکلےjo pānch vaqt-e-musalle pe qibla ro nikleunheñ buzurgoñ ke zer-e-baġhal subū nikle
- جو نگاہ ناز کا بسمل نہیںدل نہیں وہ دل نہیں وہ دل نہیںjo nigāh-e-nāz kā bismil nahīñdil nahīñ vo dil nahīñ vo dil nahīñ
- چتون جو قہر کی ہے تو تیور جلال کےمطلب یہ ہے کہ رکھ دے کلیجہ نکال کےchitvan jo qahr kī hai to tevar jalāl kematlab ye hai ke rakh de kaleja nikāl ke
- درد دل یار رہا درد سے یاری نہ گئیزندگی ہم سے تو بے لطف گزاری نہ گئیdard-e-dil yār rahā dard se yārī na ga.īzindagī ham se to be lutf guzārī na ga.ī
- دیکھے اسے ہر آنکھ کا یہ کام نہیں ہےکچھ کھیل تماشائے لب بام نہیں ہےdekhe use har ānkh kā ye kām nahīñ haikuchh khel tamāshā-e-lab-e-bām nahīñ hai
- ستم کرو نہ کرو اختیار باقی ہےجو ہم نہیں تو ہمارا مزار باقی ہےsitam karo na karo iḳhtiyār bāqī haijo ham nahīñ to hamārā mazār bāqī hai
- سمجھائیں کس طرح دل ناکردہ کار کویہ دوستی سمجھتا ہے دشمن کے پیار کوsamjhā.eñ kis tarah dil-e-nākarda kār koye dostī samajhtā hai dushman ke pyār ko
- عجب رنگ کی مے پرستی رہیکہ بے مے پیے مے کی مستی رہیajab rang kī mai parastī rahīke be mai piye mai kī mastī rahī
- عشق کی چوسر کس نے کھیلی یہ تو کھیل ہمارے ہیںدل کی بازی مات ہوئی تو جان کی بازی ہارے ہیںishq kī chausar kis ne khelī ye to khel hamāre haiñdil kī bāzī māt huī to jān kī bāzī hāre haiñ
- کہتے ہیں کہ دے میری بلا داد کسی کیکانوں کو مزہ دیتی ہے فریاد کسی کیkahte haiñ ke de merī balā dād kisī kīkānoñ ko maza detī hai fariyād kisī kī
- کیوں کیا کرتے ہیں آہیں کوئی ہم سے پوچھےکر گئیں کیا وہ نگاہیں کوئی ہم سے پوچھےkyūñ kiyā karte haiñ āheñ koī ham se pūchhekar ga.īñ kyā vo nigāheñ koī ham se pūchhe
- گھٹا اٹھی ہے کالی اور کالی ہوتی جاتی ہےصراحی جو بھری جاتی ہے خالی ہوتی جاتی ہےghaṭā uṭhī hai kālī aur kālī hotī jātī haisurāhī jo bharī jātī hai ḳhālī hotī jātī hai
- لگا دے سوز محبت پھر آگ سینے میںمزہ پھر آنے لگے دل جلوں کو جینے میںlagā de soz-e-mohabbat phir āg sīne meñmaza phir āne lage dil jaloñ ko jīne meñ
- لے چلا پھر مجھے دل یار دل آزار کے پاساب کے چھوڑ آؤں گا ظالم کو ستم گار کے پاسle chalā phir mujhe dil yār-e-dil āzār ke pāsab ke chhoṛ ā.ūñgā zālim ko sitam gār ke pās
- محبت میں ٹھنی اکثر یہاں تککہ پہنچے معرکے تیر و کماں تکmohabbat meñ ṭhanī aksar yahāñ takke pahuñche mārke tīr-o-kamāñ tak
- میرے سر سے کیا غرض سرکار کودیکھیے اپنے در و دیوار کوmere sar se kyā ġharaz sarkār kodekhiye apne dar-o-dīvār ko
- ناوک کہیں سناں کہیں تلوار کیا کہیںتو ہی بتا تجھے نگۂ یار کیا کہیںnāvak kahīñ sināñ kahīñ talvār kyā kaheñtū hī batā tujhe nigah-e-yār kyā kaheñ
- نہ لائے تاب دید اوسان والےترے جلوے بھی ہیں کیا شان والےna lā.e tāb dīd ausān vāletire jalve bhī haiñ kyā shān vāle
- یا دور مرا حجاب کر دےیا اپنے کو بے نقاب کر دےyā dūr mirā hijāb kar deyā apne ko be naqāb kar de
- یوں یہ بدلی کالی کالی جائے گیپاک بازوں میں بھی ڈھالی جائے گیyūñ ye badlī kālī kālī jā.egīpāk bāzoñ meñ bhī ḍhālī jā.egī
- یہاں کیا ہے وہاں کیا ہے ادھر کیا ہے ادھر کیا ہےکوئی سمجھے تو کیا سمجھے وہ نیرنگ نظر کیا ہےyahāñ kyā hai vahāñ kyā hai idhar kyā hai idhar kyā haikoī samjhe to kyā samjhe vo nairang-e-nazar kyā hai
- اسے سودا اسے سودا یہ دیوانہ وہ دیوانہہوا کیا موسم گل کی جنوں انگیز ہوتی ہےuse saudā use saudā ye dīvāna vo dīvānahuā kyā mausam-e-gul kī junūñ angez hotī hai
- بیگانۂ وفا ترا شیوہ ہی اور ہےاہل وفا کا طور طریقہ ہی اور ہےbegāna-e-vafā tirā sheva hī aur haiahl-e-vafā kā tūr tarīqa hī aur hai
- تماشائی تو ہیں تماشا نہیں ہےگرا ہے وہ پردہ کہ اٹھتا نہیں ہےtamāshā.ī to haiñ tamāshā nahīñ haigirā hai vo parda ke uṭhtā nahīñ hai