Poet
Mir Hasan
میر حسن دہلوی1727–1786
Poems
- کہیں جو دل نہ لگاویں تو پھر اداس پھریںوگر لگاویں تو مشکل کہ بے حواس پھریںkahīñ jo dil na lagāveñ to phir udās phireñvagar lagāveñ to mushkil ke be havās phireñ
- کیا کہیں پوچھ مت کہیں ہیں ہمتو جہاں ہے غرض وہیں ہیں ہمkyā kaheñ pūchh mat kahīñ haiñ hamtū jahāñ hai ġharaz vahīñ haiñ ham
- کیوں رنگ سرخ تیرا اب زرد ہو گیا ہےتو ہی مگر ہمارا ہمدرد ہو گیا ہےkyūñ rang surḳh terā ab zard ho gayā haitū hī magar hamārā hamdard ho gayā hai
- کیوں کر بھلا لگے نہ وہ دل دار دور سےدونی بہار دیوے ہے گلزار دور سےkyūñ kar bhalā lage na vo dil dār-e-dūr sedūnī bahār deve hai gulzār dūr se
- گل ہے زخمی بہار کے ہاتھوںدل ہے صد چاک یار کے ہاتھوںgul hai zaḳhmī bahār ke hāthoñdil hai sad chāk yār ke hāthoñ
- مجنوں کو اپنی لیلیٰ کا محمل عزیز ہےتو دل میں ہے ہمارے ہمیں دل عزیز ہےmajnūñ ko apnī lailā kā mahmil azīz haito dil meñ hai hamāre hameñ dil azīz hai
- مجھ کو عاشق کہہ کے اس کے روبرو مت کیجیودوستاں گر دوست ہو تو یہ کبھو مت کیجیوmujh ko āshiq kah ke us ke rūbarū mat kījiyodostāñ gar dost ho to ye kabhū mat kījiyo
- محبت میں تری جب مجھ کو عالم نے ملامت کیدل و جاں نے تب آپس میں مبارک اور سلامت کیmohabbat meñ tirī jab mujh ko ālam ne malāmat kīdil-o-jāñ ne tab āpas meñ mubārak aur salāmat kī
- مزا بے ہوشیٔ الفت کا ہوشیاروں سے مت پوچھوعزیزاں خواب کی لذت کو بے داروں سے مت پوچھوmazā be hoshī-e-ulfat kā hoshyāroñ se mat pūchhoazīzāñ ḳhvāb kī lazzat ko be dāroñ se mat pūchho
- مل گئے اپنے یار سے اب کیحظ اٹھایا بہار سے اب کیmil ga.e apne yār se ab kīhaz uṭhāyā bahār se ab kī
- منہ اپنا خشک ہے اور چشم تر ہےترے غم میں یہ سیر بحر و بر ہےmuñh apnā ḳhushk hai aur chashm-e-tar haitire ġham meñ ye sair-e-bahr-o-bar hai
- منہ کہاں یہ کہ کہوں جائیے اور سو رہئےخوب گر نیند ہے تو آئیے اور سو رہئےmuñh kahāñ ye ke kahūñ jā.iye aur so rahiyeḳhūb gar nīnd hai to ā.iye aur so rahiye
- میں کہا تھا کبھی سے یہ کچھ ہےجس کا عالم ابھی سے یہ کچھ ہےmaiñ kahā thā kabhī se ye kuchh haijis kā ālam abhī se ye kuchh hai
- نغمہ و عشق سے ہیں سبحہ و زنار ملےایک آواز پہ دو ساز کے ہیں تار ملےnaġhma-o-ishq se haiñ sub.ha-o-zunnār mileek āvāz pe do sāz ke haiñ tār mile
- نگہ سے چشم سے ناز و ادا سےخدا محفوظ رکھے ہر بلا سےnigah se chashm se nāz-o-adā seḳhudā mahfūz rakhe har balā se
- نوجوانی کی دید کر لیجےاپنے موسم کی عید کر لیجےnaujavānī kī dīd kar lījeapne mausam kī e.id kar līje
- نہ باغ سے غرض ہے نہ گل زار سے غرضہے بھی جو کچھ غرض تو ہمیں یار سے غرضna bāġh se ġharaz hai na gul zār se ġharazhai bhī jo kuchh ġharaz to hameñ yār se ġharaz
- نہ برگ ہوں میں گل کا نہ لالے کا شجر ہوںمیں لخت دل ریش ہوں اور داغ جگر ہوںna barg hūñ maiñ gul kā na lāle kā shajar hūñmaiñ laḳht-e-dil rīsh hūñ aur dāġh-e-jigar hūñ
- نہ رہا گل نہ خار ہی آخراک رہا حسن یار ہی آخرna rahā gul na ḳhār hī āḳhirik rahā husn-e-yār hī āḳhir
- نہ ملا وہ نفاق کے مارےکیا کریں ہم وفاق کے مارےna milā vo nifāq ke mārekyā kareñ ham vifāq ke māre
- نہ ہم دعا سے اب نہ وفا سے طلب کریںعشق بتاں میں صبر خدا سے طلب کریںna ham duā se ab na vafā se talab kareñishq-e-butāñ meñ sabr ḳhudā se talab kareñ
- وصل بھی ہوگا حسنؔ تو ٹک تو استقلال کرحال اپنا ہم سے کہہ کہہ ہم کو مت بے حال کرvasl bhī hogā husn to ṭuk to istiqlāl karhāl apnā ham se kah kah ham ko mat be hāl kar
- وصل کا عیش کہاں پر غم ہجراں تو ہےلب خنداں تو نہیں دیدۂ گریاں تو ہےvasl kā aish kahāñ par ġham-e-hijrāñ to hailab-e-ḳhandāñ to nahīñ dīda-e-giryāñ to hai
- وفادار ہو یا جفا کار تم ہوجو کچھ ہو سو ہو پر مرے یار تم ہوvafādār ho yā jafā kār tum hojo kuchh ho so ho par mire yār tum ho
- وہ دلبری کا اس کی جو کچھ حال ہے سو ہےاور اپنی دل دہی کا جو احوال ہے سو ہےvo dilbarī kā us kī jo kuchh hāl hai so haiaur apnī dil dahī kā jo ahvāl hai so hai
- وہ نہیں ہم جو ڈر ہی جاویں گےدل میں جو ہے سو کر ہی جاویں گےvo nahīñ ham jo ḍar hī jāveñgedil meñ jo hai so kar hī jāveñge
- ہم سے تو کسی کام کی بنیاد نہ ہووےجب تک کہ ادھر ہی سے کچھ امداد نہ ہووےham se to kisī kām kī buniyād na hovejab tak ke idhar hī se kuchh imdād na hove
- ہم سے کر تو کہ یا نہ کر اخلاصہم کو ہے تجھ سے یار پر اخلاصham se kar to ke yā na kar iḳhlāsham ko hai tujh se yār par iḳhlās
- ہم قتل ہو گئے نہیں تجھ کو خبر ہنوزباندھے پھرے ہے ہم پہ میاں تو کمر ہنوزham qatl ho ga.e nahīñ tujh ko ḳhabar hanozbāñdhe phire hai ham pe miyāñ to kamar hanoz
- ہم نہ تنہا اس گلی سے جاں کو کھو کر اٹھ گئےسیکڑوں یاں زندگی سے ہاتھ دھو کر اٹھ گئےham na tanhā us galī se jāñ ko kho kar uṭh ga.esaikṛoñ yāñ zindagī se hāth dho kar uṭh ga.e
- ہم نہ نکہت ہیں نہ گل ہیں جو مہکتے جاویںآگ کی طرح جدھر جاویں دہکتے جاویںham na nik.hat haiñ na gul haiñ jo mahakte jāveñāg kī tarah jidhar jāveñ dahakte jāveñ
- ہے دھیان جو اپنا کہیں اے ماہ جبیں اورجانا ہے کہیں اور تو جاتا ہوں کہیں اورhai dhyān jo apnā kahīñ ai māh-e-jabīñ aurjānā hai kahīñ aur to jātā hūñ kahīñ aur
- یار کا دھیان ہم نہ چھوڑیں گےاپنی یہ آن ہم نہ چھوڑیں گےyār kā dhyān ham na chhoṛeñgeapnī ye ān ham na chhoṛeñge
- یا صبر ہو ہمیں کو اس طرف جو نہ نکلیںیا اپنے گھر سے بن بن یہ خوبرو نہ نکلیںyā sabr ho hameñ ko is taraf jo na nikleñyā apne ghar se ban ban ye ḳhūbrū na nikleñ
- یاں سے پیغام جو لے کر گئے معقول گئےاس کی باتوں میں لگے ایسے کہ سب بھول گئےyāñ se paiġhām jo le kar ga.e ma.aqūl ga.eus kī bātoñ meñ lage aise ke sab bhūl ga.e
- یوں غیر کچھ کہیں تو بلا کو بری لگےتو کچھ نہ کہہ کہ ہم غربا کو بری لگےyūñ ġhair kuchh kahīñ to balā ko burī lageto kuchh na kah ke ham ġhurabā ko burī lage