Poet
Mir Anees
میر انیس1803–1874
Poems
- ٹھوکر بھی نہ ماریں گے اگر خود سر ہےزردار کو بھی فروتنی بہتر ہےṭhokar bhī na māreñge agar ḳhud sar haizardār ko bhī farotanī behtar hai
- جس پر کہ نظر لطف کی شبیر کریںادنیٰ اعلیٰ سب اس کی توقیر کریںjis par ke nazar lutf kī shabbīr kareñadnā a.alā sab us kī tauqīr kareñ
- جو چشم غم شہ میں سدا روتی ہےہر لمحہ فزوں اس میں ضیا ہوتی ہےjo chashm-e-ġham-e-shah meñ sadā rotī haihar lamha fuzūñ is meñ ziyā hotī hai
- جو مرتبہ احمد کے وصی کا دیکھاہم نے نہیں رتبہ یہ کسی کا دیکھاjo martaba ahmad ke vassī kā dekhāham ne nahīñ rutba ye kisī kā dekhā
- داماد رسول کی شہادت ہے آجمعصوموں پہ فاطمہ کے آفت ہے آجdāmād rasūl kī shahādat hai ājma.asūmoñ pe fātima ke āfat hai āj
- دشمن کو بھی دے خدا نہ اولاد کا داغجاتا نہیں ہرگز دل ناشاد کا داغdushman ko bhī de ḳhudā na aulād kā dāġhjātā nahīñ hargiz dil nāshād kā dāġh
- دکھ میں ہر شب کراہتا ہوں یارباب زیست کے دن نباہتا ہوں یاربdukh meñ har shab karāhattā hūñ yārabab zīst ke din nibāhtā hūñ yārab
- دل نے غم بے حساب کیا کیا دیکھاآنکھوں سے جہاں میں خواب کیا کیا دیکھاdil ne ġham be hisāb kyā kyā dekhāānkhoñ se jahāñ meñ ḳhvāb kyā kyā dekhā
- دنیا بھی عجب سرائے فانی دیکھیہر چیز یہاں کی آنی جانی دیکھیduniyā bhī ajab sarā.e fānī dekhīhar chīz yahāñ kī ānī jānī dekhī
- راہی طرف عالم بالا ہوں میںدنیا سے عدم کو جانے والا ہوں میںrāhī taraf ālam-e-bālā hūñ maiñduniyā se adam ko jāne vālā hūñ maiñ
- رتبہ جسے دنیا میں خدا دیتا ہےوہ دل میں فروتنی کو جا دیتا ہےrutba jise duniyā meñ ḳhudā detā haivo dil meñ farotanī ko jā detā hai
- سر کھینچ نہ شمشیر کشیدہ کی طرحہر ایک سے جھک قوس خمیدہ کی طرحsar khīñch na shamshīr kashīda kī tarahhar ek se jhuk qaus ḳhamīda kī tarah
- شبیر کا غم یہ جس کے دل پر ہوگاآنسو جو گرے گا شکل گوہر ہوگاshabbīr kā ġham ye jis ke dil par hogāānsū jo giregā shakl-e-gauhar hogā
- ظاہر وہی الفت کے اثر ہیں اب تکقربان شہہ جن و بشر ہیں اب تکzāhir vahī ulfat ke asar haiñ ab takqurbān shah jin-o-bashar haiñ ab tak
- عریاں سر خاتون زمن ہے اب تکناموس پہ ایذا و محن ہے اب تکuryāñ sar ḳhātūn zaman hai ab taknāmūs pe īzā-o-mehan hai ab tak
- غفلت میں نہ کھو عمر کہ پچھتائے گارونا ہی غم شاہ میں کام آئے گاġhaflat meñ na kho umr ke pachhtā.egāronā hī ġham shāh meñ kām ā.egā
- فرصت کوئی ساعت نہ زمانے سے ملیبیگانے سے راحت نہ یگانے سے ملیfursat koī sā.at na zamāne se milībegāne se rāhat na yagāne se milī
- کچھ ملک عدم میں رنج کا نام نہ تھامعلوم ہمیں اپنا سرانجام نہ تھاkuchh mulk-e-adam meñ ranj kā nām na thāma.alūm hameñ apnā saranjām na thā
- کس طرح کرے نہ ایک عالم افسوسجی بھر کے کیا نہ شہ کا ماتم افسوسkis tarah kare na ek ālam afsosjī bhar ke kyā na shah kā mātam afsos
- کیا دست مژہ کو ہاتھ آئی تسبیحسبحان اللہ کیا بنائی تسبیحkyā dast-e-mizha ko hāth ā.ī tasbīhsub.hān allāh kiyā banā.ī tasbīh
- کیوں کر دل غمزدہ نہ فریاد کرےجب ملک کو چرخ پیر برباد کرےkyūñ kar dil ġhamzada na fariyād karejab mulk ko charḳh-e-pīr barbād kare
- گلزار جہاں سے باغ جنت میں گئےمرحوم ہوئے جوار رحمت میں گئےgulzār jahāñ se bāġh-e-jannat meñ ga.emarhūm hue javār-e-rahmat meñ ga.e
- گلشن میں پھروں کہ سیر صحرا دیکھوںیا معدن و کوہ و دشت و دریا دیکھوںgulshan meñ phirūñ ke sair-e-sahrā dekhūñyā ma.adin-o-koh-o-dasht-o-dariyā dekhūñ
- گلشن میں صبا کو جستجو تیری ہےبلبل کی زبان پہ گفتگو تیری ہےgulshan meñ sabā ko justujū terī haibulbul kī zabān pe guftugū terī hai
- مے خانۂ کوثر کا شرابی ہوں میںکیا قبر کا خوف بو ترابی ہوں میںmai ḳhāna-e-kausar kā sharābī hūñ maiñkyā qabr kā ḳhauf bū turābī hūñ maiñ
- ہر چند کہ خستہ و حزیں ہے آوازپر تعزیہ دار شاہ دیں ہے آوازhar chand ke ḳhasta-o-hazīñ hai āvāzpar ta.aziya dār shāh deñ hai āvāz
- ہر غنچے سے شاخ گل ہے کیوں نذر بکفہے روز خلافت شہنشاہ نجفhar ġhunche se shāḳh-e-gul hai kyūñ nazr-e-bakafhai roz ḳhilāfat shahanshāh-e-najaf
- ہشیار ہے سب سے با خبر ہے جب تکبیدار ہے عالم پہ نظر ہے جب تکhushyār hai sab se bā ḳhabar hai jab takbedār hai ālam pe nazar hai jab tak
- ہو جاتی ہے سہل پیش دانا مشکلدل نے نہ کسی امر کو جانا مشکلho jātī hai sahl pesh-e-dānā mushkildil ne na kisī amar ko jānā mushkil
- جب قطع کی مسافتِ شب آفتاب نےجلوہ کیاسحر کے رخِ بے حجاب نےjab qat.a kī masāfat-e-shab āftāb nejalva kayāsahar ke ruḳh-e-be hijāb ne
- دشت وغا میں نور خدا کا ظہور ہےذروں میں روشنئ تجلئ طور ہےdasht-e-vaġhā meñ nūr-e-ḳhudā kā zuhūr haizarroñ meñ raushnī-e-tajallī-e-tūr hai
- آج شبیرؔ پہ کیا عالمِ تنہائی ہےظلم کی چاند پہ زہراؔ کی گھٹا چھائی ہےāj shabbīr pe kyā ālam-e-tanhā.ī haizulm kī chānd pe zahrā kī ghaṭā chhā.ī hai
- آمد آمد حرمِ شاہ کی دربار میں ہےصبح سے جشن کا غل شام کے بازار میں ہےāmad āmad haram-e-shāh kī darbār meñ haisub.h se jashn kā ġhul shām ke bāzār meñ hai
- بخدا فارسِ میدانِ تہور تھا حُرؔایک دو لاکھ سواروں میں بہادر تھا حُرؔbaḳhudā fāris-e-maidān-e-tahvar thā hurek do lākh savāroñ meñ bahādur thā hur
- جب رن میں سر بلند علی کا علم ہوافوجِ خدا پہ سایۂ ابرِ کرم ہواjab ran meñ sar buland alī kā alam huāfauj-e-ḳhudā pe sāya-e-abr-e-karam huā
- جب زلف کو کھولے ہوئے لیلائے شب آئیپردیس میں سادات پہ، آفت عجب آئیjab zulf ko khole hue līlā-e-shab ā.īpardes meñ sādāt pe, āfat ajab ā.ī
- فرزند پیمبر کا مدینے سے سفر ہےسادات کی بستی کے اجڑنے کی خبر ہےfarzand payambar kā madīne se safar haisādāt kī bastī ke ujaṛne kī ḳhabar hai
- کیا غازیانِ فوجِ خدا نام کر گئےلاکھوں سے تشنہ کام لڑے کام کر گئےkyā ġhāzīin-e-fauj-e-ḳhudā nām kar ga.elākhoñ se tishna kām laṛe kām kar ga.e
- نمک خوان تکلم ہے، فصاحت میریناطقے بند ہیں سن سن کے بلاغت میریnamak ḳhvān-e-takallum hai, fasāhat merīnātiqe band haiñ sun sun ke balāġhat merī
- یارب چمنِ نظم کو گلزارِ اِرم کراے ابرِ کرم خشک زراعت پہ کرم کرyārab chaman-e-nazm ko gulzār-e-iram karai abr-e-karam ḳhushk zirā.at pe karam kar