Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Liyaqat Ali Aasim

1951–2019

Poems

Meter
  1. bahut chup ho shikāyat chhoṛ dī kyārah-o-rasm-e-mohabbat chhoṛ dī kyā
  2. phir vahī be dilī phir vahī ma.azaratbas bahut ho chukā zindagī ma.azarat
  3. talḳhī-e-mai talḳhī-e-hālāt kī tauhīn hainashe meñ sach bolnā sach bāt kī tauhīn hai
  4. tū na thā terī tamannā dekhne kī chīz thīdil na mānā varna duniyā dekhne kī chīz thī
  5. ḳhvāb ta.abīr meñ ḍhalte haiñ yahāñ se āgeā nikal jā.eñ shab-e-vahm-o-gumāñ se āge
  6. dasht kī tez havā.oñ meñ bikhar jā.oge kyāek din ghar nahīñ jā.oge to mar jā.oge kyā
  7. reza reza hue yūñ sub.h ke āsār ke basaise ḳhvāboñ pe chillā.ī ga.ī talvār ke bas
  8. suḳhan suḳhan vahī goyā dikhā.ī detā haiqabā-e-surḳh meñ kyā hai ke dekhte rahiye
  9. sūrat-e-mauj samundar meñ kahāñ se āyāmaiñ musāfir kī tarah ghar meñ kahāñ se āyā
  10. ājiz thā be ijz nibhā.ī rasm-e-judā.ī maiñ ne bhīus ne mujh se hāth chhuṛāyā jān chhuṛā.ī maiñ ne bhī
  11. adū kā zikr nahīñ dostoñ kā nām nahīñzabāñ pe āj koī harf-e-intiqām nahīñ
  12. ishq bār-e-digar huā hī nahīñdil lagāyā thā dil lagā hī nahīñ
  13. kisht-e-ummīd bārvar na huīlākh sūraj uge sahar na huī
  14. koī ās pās nahīñ rahā to ḳhayāl terī taraf gayāmujhe apnā hāth bhī chhū gayā to ḳhayāl terī taraf gayā
  15. kahīñ aisā na ho dāman jalā lohamāre ānsūoñ par ḳhāk ḍālo
  16. kyā ḳhūb ye anā hai ke kashkol toṛ karab tak khaṛe hue haiñ vahīñ hāth joṛ kar
  17. kaisī mahak kahāñ kā koī phūl bāġh meñbas rang be vafā.ī hai maqbūl bāġh meñ
  18. ka.ī aks māh-e-tamām the mujhe khā ga.evo jo ḳhvāb se lab-e-bām the mujhe khā ga.e
  19. mehrāb-e-ḳhush qayām se āge nikal ga.īḳhushbū diye kī shām se āge nikal ga.ī
  20. mile to kāsh mirā hāth thām kar le jā.evo apne ghar na sahī mujh ko mere ghar le jā.e
  21. na ab mujh ko sadā do thak gayā maiñtumhī jā.o arādo thak gayā hūñ
  22. hijr se marhala-e-zīst adam hai ham kofāsla itnā ziyāda hai ke kam hai ham ko
  23. hijr hijrat se sivā ho gayā ghar āte hīmaiñ to ḳhud se bhī judā ho gayā ghar āte hī
  24. āj kal mere tasarruf meñ nahīñ hai lekinzindagī shahr meñ hogī kahīñ do chār ke pās
  25. bahut zaḳhīm kitāboñ se chun ke lāyā hūñunheñ paṛho varaq-e-intiḳhāb haiñ mire dost
  26. be basī kā zahr sīne meñ utar jātā hai kyāmaiñ jise āvāz detā hūñ vo mar jātā hai kyā
  27. dūr tak sāth chalā ek sag-e-āvāraāj tanhā.ī kī auqāt pe ronā āyā
  28. zamānoñ ba.ad mile haiñ to kaise muñh pherūñmire liye to purānī sharāb haiñ mire dost
  29. qayāmat tak rahegī rūh ābādmohabbat hai to ham zinda raheñge
  30. kashmakash nāḳhun-o-dandāñ kī thame to phir maiñgul-e-ā.īna se khīñchūñ rag-e-hairānī ko
  31. kaisā hujūm-e-kūcha-e-tanhā.ī thā ke maiñāge baṛhā na dast-o-garebāñ hue baġhair
  32. guzishta sāl koī maslahat rahī hogīguzishta sāl ke sukh ab ke sāl de maulā
  33. mujhe dorāhe pe lāne vāloñ ne ye na sochāmaiñ chhoṛ dūñgā ye rāsta bhī vo rāsta bhī
  34. mujhe manā.o nahīñ merā masala samjhoḳhafā nahīñ maiñ pareshān hūñ zamāne se
  35. ham ne tujhe dekhā nahīñ kyā e.id manā.eñjis ne tujhe dekhā ho use e.id mubārak