Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Liyaqat Ali Aasim

1951–2019

Poems

Meter
  1. āj kal mere tasarruf meñ nahīñ hai lekinzindagī shahr meñ hogī kahīñ do chār ke pās
  2. bahut zaḳhīm kitāboñ se chun ke lāyā hūñunheñ paṛho varaq-e-intiḳhāb haiñ mire dost
  3. be basī kā zahr sīne meñ utar jātā hai kyāmaiñ jise āvāz detā hūñ vo mar jātā hai kyā
  4. dūr tak sāth chalā ek sag-e-āvāraāj tanhā.ī kī auqāt pe ronā āyā
  5. zamānoñ ba.ad mile haiñ to kaise muñh pherūñmire liye to purānī sharāb haiñ mire dost
  6. qayāmat tak rahegī rūh ābādmohabbat hai to ham zinda raheñge
  7. kashmakash nāḳhun-o-dandāñ kī thame to phir maiñgul-e-ā.īna se khīñchūñ rag-e-hairānī ko
  8. kaisā hujūm-e-kūcha-e-tanhā.ī thā ke maiñāge baṛhā na dast-o-garebāñ hue baġhair
  9. guzishta sāl koī maslahat rahī hogīguzishta sāl ke sukh ab ke sāl de maulā
  10. mujhe dorāhe pe lāne vāloñ ne ye na sochāmaiñ chhoṛ dūñgā ye rāsta bhī vo rāsta bhī
  11. mujhe manā.o nahīñ merā masala samjhoḳhafā nahīñ maiñ pareshān hūñ zamāne se
  12. ham ne tujhe dekhā nahīñ kyā e.id manā.eñjis ne tujhe dekhā ho use e.id mubārak