Poet
Gaurav Trivedi
b. 1990
Poems
- آپ کو یہ بھلے آسان سفر لگتا ہےشعر کہنے میں مگر خون جگر لگتا ہےāp ko ye bhale āsān safar lagtā haisher kahne meñ magar ḳhūn-e-jigar lagtā hai
- اس کو جن آنکھوں سے دنیا دکھتی ہےمیں نے ان آنکھوں میں دنیا دیکھی ہےus ko jin ānkhoñ se duniyā dikhtī haimaiñ ne in ānkhoñ meñ duniyā dekhī hai
- اور پھر ہم نے بھی اپنے دل کا سودا کر لیابعد تیرے ہم نے اپنا دل کھلونا کر لیاaur phir ham ne bhī apne dil kā saudā kar liyāba.ad tere ham ne apnā dil khilaunā kar liyā
- پیار کر پاؤں میں اب ایسا نہیں ہو پاؤں گاچاہتا تو ہوں مگر تیرا نہیں ہو پاؤں گاpyār kar pā.oñ meñ ab aisā nahīñ ho pā.ūñgāchāhtā to hūñ magar terā nahīñ ho pā.ūñgā
- تجھے پانے کی خواہش پھر جگی ہےمگر افسوس یہ تو خودکشی ہےtujhe pāne kī ḳhvāhish phir juggī haimagar afsos ye to ḳhudkushī hai
- تمہاری یاد میں روئیں نہ جب تکمزہ آتا نہیں جینے کا تب تکtumhārī yād meñ roeñ na jab takmaza ātā nahīñ jīne kā tab tak
- توڑ دی سارے جہاں سے دوستی اچھا کیااور خود سے بھی کوئی خواہش نہ کی اچھا کیاtoṛ dī sāre jahāñ se dostī achchhā kiyāaur ḳhud se bhī koī ḳhvāhish na kī achchhā kiyā
- جسم تھکتا رہا مگر نکلےاک سفر سے کئی سفر نکلےjism thaktā rahā magar nikleik safar se ka.ī safar nikle
- جنگل پہاڑ کھیت بھی بھاتے نہیں مجھےاپنی نظر سے تم جو دکھاتے نہیں مجھےjangal pahāṛ khet bhī bhāte nahīñ mujheapnī nazar se tum jo dikhāte nahīñ mujhe
- جی بھی چکے ہیں خواب جو اب دیکھتے ہیں ہمکچھ اک برس تو ساتھ بھی اس کے رہے ہیں ہمjī bhī chuke haiñ ḳhvāb jo ab dekhte haiñ hamkuchh ik baras to sāth bhī us ke rahe haiñ ham
- جی لیے پر من نہیں بھر پائے ہمایک خالی پن نہیں بھر پائے ہمjī liye par man nahīñ bhar pā.e hamek ḳhālī pan nahīñ bhar pā.e ham
- دوچار دوستوں کی نظر لگ گئی مجھےورنہ کسی کے ساتھ کی عادت نہ تھی مجھےdochār dostoñ kī nazar lag ga.ī mujhevarna kisī ke sāth kī ādat na thī mujhe
- سچ ہے تم کو ملا نہیں ہوں میںہاں مگر گمشدہ نہیں ہوں میںsach hai tum ko milā nahīñ hūñ maiñhāñ magar gumshuda nahīñ hūñ maiñ
- مری آنکھوں کے جو روشن دیے ہیںتمہاری یاد میں بجھنے لگے ہیںmirī ānkhoñ ke jo raushan diye haiñtumhārī yād meñ bujhne lage haiñ
- میں تھک چکا ہوں زمانہ کے چونچلوں سے ابسو چن رہا ہوں کچھ اک دوست دشمنوں سے ابmaiñ thak chukā hūñ zamāna ke chonchloñ se abso chun rahā hūñ kuchh ik dost dushmanoñ se ab
- میں نے چاہا ہی نہیں مجھ کو صفائی دو تماپنی یادوں سے مگر مجھ کو رہائی دو تمmaiñ ne chāhā hī nahīñ mujh ko safā.ī do tumapnī yādoñ se magar mujh ko rihā.ī do tum
- یاد میں تیری ایسا کرنے لگتے ہیںہم اکثر خود سے ہی لڑنے لگتے ہیںyād meñ terī aisā karne lagte haiñham aksar ḳhud se hī laṛne lagte haiñ
- یہ زندگی خیال ہے اور ہم خیال تواپنا لے مجھ کو یوں نہ مری جاں نکال توye zindagī ḳhayāl hai aur ham ḳhayāl toapnā le mujh ko yūñ na mirī jāñ nikāl to