Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Gaurav Trivedi

b. 1990

Poems

Meter
  1. āp ko ye bhale āsān safar lagtā haisher kahne meñ magar ḳhūn-e-jigar lagtā hai
  2. us ko jin ānkhoñ se duniyā dikhtī haimaiñ ne in ānkhoñ meñ duniyā dekhī hai
  3. aur phir ham ne bhī apne dil kā saudā kar liyāba.ad tere ham ne apnā dil khilaunā kar liyā
  4. pyār kar pā.oñ meñ ab aisā nahīñ ho pā.ūñgāchāhtā to hūñ magar terā nahīñ ho pā.ūñgā
  5. tujhe pāne kī ḳhvāhish phir juggī haimagar afsos ye to ḳhudkushī hai
  6. tumhārī yād meñ roeñ na jab takmaza ātā nahīñ jīne kā tab tak
  7. toṛ dī sāre jahāñ se dostī achchhā kiyāaur ḳhud se bhī koī ḳhvāhish na kī achchhā kiyā
  8. jism thaktā rahā magar nikleik safar se ka.ī safar nikle
  9. jangal pahāṛ khet bhī bhāte nahīñ mujheapnī nazar se tum jo dikhāte nahīñ mujhe
  10. jī bhī chuke haiñ ḳhvāb jo ab dekhte haiñ hamkuchh ik baras to sāth bhī us ke rahe haiñ ham
  11. jī liye par man nahīñ bhar pā.e hamek ḳhālī pan nahīñ bhar pā.e ham
  12. dochār dostoñ kī nazar lag ga.ī mujhevarna kisī ke sāth kī ādat na thī mujhe
  13. sach hai tum ko milā nahīñ hūñ maiñhāñ magar gumshuda nahīñ hūñ maiñ
  14. mirī ānkhoñ ke jo raushan diye haiñtumhārī yād meñ bujhne lage haiñ
  15. maiñ thak chukā hūñ zamāna ke chonchloñ se abso chun rahā hūñ kuchh ik dost dushmanoñ se ab
  16. maiñ ne chāhā hī nahīñ mujh ko safā.ī do tumapnī yādoñ se magar mujh ko rihā.ī do tum
  17. yād meñ terī aisā karne lagte haiñham aksar ḳhud se hī laṛne lagte haiñ
  18. ye zindagī ḳhayāl hai aur ham ḳhayāl toapnā le mujh ko yūñ na mirī jāñ nikāl to