Poet
Bahadur Shah Zafar
بہادر شاہ ظفر1775–1862
Poems
- اتنا نہ اپنے جامے سے باہر نکل کے چلدنیا ہے چل چلاؤ کا رستہ سنبھل کے چلitnā na apne jāme se bāhar nikal ke chalduniyā hai chal chillā.o kā rasta sambhal ke chal
- بات کرنی مجھے مشکل کبھی ایسی تو نہ تھیجیسی اب ہے تری محفل کبھی ایسی تو نہ تھیbāt karnī mujhe mushkil kabhī aisī to na thījaisī ab hai tirī mahfil kabhī aisī to na thī
- بھری ہے دل میں جو حسرت کہوں تو کس سے کہوںسنے ہے کون مصیبت کہوں تو کس سے کہوںbharī hai dil meñ jo hasrat kahūñ to kis se kahūñsune hai kaun musībat kahūñ to kis se kahūñ
- پان کھا کر سرمہ کی تحریر پھر کھینچی تو کیاجب مرا خوں ہو چکا شمشیر پھر کھینچی تو کیاpān khā kar surma kī tahrīr phir khīñchī to kyājab mirā ḳhūñ ho chukā shamshīr phir khīñchī to kyā
- پان کی سرخی نہیں لب پر بت خوں خوار کےلگ گیا ہے خون عاشق منہ کو اس تلوار کےpān kī surḳhī nahīñ lab par but-e-ḳhūñ ḳhvār kelag gayā hai ḳhūn-e-āshiq muñh ko is talvār ke
- تفتہ جانوں کا علاج اے اہل دانش اور ہےعشق کی آتش بلا ہے اس کی سوزش اور ہےtafta jānoñ kā ilāj ai ahl-e-dānish aur haiishq kī ātish balā hai us kī sozish aur hai
- ٹکڑے نہیں ہیں آنسوؤں میں دل کے چار پانچسرخاب بیٹھے پانی میں ہیں مل کے چار پانچṭukṛe nahīñ haiñ ānsūoñ meñ dil ke chār pānchsurḳhāb baiṭhe pānī meñ haiñ mil ke chār pānch
- جب کبھی دریا میں ہوتے سایہ افگن آپ ہیںفلس ماہی کو بتاتے ماہ روشن آپ ہیںjab kabhī dariyā meñ hote sāya afgan āp haiñfals-e-māhī ko batāte māh raushan āp haiñ
- جب کہ پہلو میں ہمارے بت خودکام نہ ہوگریے سے شام و سحر کیوں کہ ہمیں کام نہ ہوjab ke pahlū meñ hamāre but-e-ḳhudkām na hogiriye se shām-o-sahar kyūñ ke hameñ kām na ho
- جگر کے ٹکڑے ہوئے جل کے دل کباب ہوایہ عشق جان کو میرے کوئی عذاب ہواjigar ke ṭukṛe hue jal ke dil kabāb huāye ishq jān ko mere koī azāb huā
- خواہ کر انصاف ظالم خواہ کر بیداد توپر جو فریادی ہیں ان کی سن تو لے فریاد توḳhvāh kar insāf zālim ḳhvāh kar bedād topar jo fariyādī haiñ un kī sun to le fariyād to
- دیکھ دل کو مرے او کافر بے پیر نہ توڑگھر ہے اللہ کا یہ اس کی تو تعمیر نہ توڑdekh dil ko mire o kāfir-e-be pīr na toṛghar hai allāh kā ye us kī to ta.amīr na toṛ
- دیکھو انساں خاک کا پتلا بنا کیا چیز ہےبولتا ہے اس میں کیا وہ بولتا کیا چیز ہےdekho insāñ ḳhāk kā putlā banā kyā chīz haiboltā hai is meñ kyā vo boltā kyā chīz hai
- رخ جو زیر سنبل پر پیچ و تاب آ جائے گاپھر کے برج سنبلہ میں آفتاب آ جائے گاruḳh jo zer-e-sumbul pur pech-o-tāb ā jā.egāphir ke biraj-e-sumbula meñ āftāb ā jā.egā
- زلف جو رخ پر ترے اے مہر طلعت کھل گئیہم کو اپنی تیرہ روزی کی حقیقت کھل گئیzulf jo ruḳh par tire ai mehr talat khul ga.īham ko apnī tīra rozī kī haqīqat khul ga.ī
- سب رنگ میں اس گل کی مرے شان ہے موجودغافل تو ذرا دیکھ وہ ہر آن ہے موجودsab rang meñ us gul kī mire shān hai maujūdġhāfil to zarā dekh vo har ān hai maujūd
- شانے کی ہر زباں سے سنے کوئی لاف زلفچیرے ہے سینہ رات کو یہ موشگاف زلفshāne kī har zabāñ se sune koī lāf-e-zulfchīre hai sīna rāt ko ye mūshigāf-e-zulf
- شمشیر برہنہ مانگ غضب بالوں کی مہک پھر ویسی ہیجوڑے کی گندھاوٹ قہر خدا بالوں کی مہک پھر ویسی ہیshamshīr-e-barahna māñg ġhazab bāloñ kī mahak phir vaisī hījoṛe kī gandhoṭ qahr-e-ḳhudā bāloñ kī mahak phir vaisī hī
- طلب ہیں عشقِ بتاں میں جو آبرو کرتےظفر ہیں آگ سے پانی کی آرزو کرتےtalab haiñ ishq-e-butāñ meñ jo ābrū kartezafar haiñ āg se pānī kī ārzū karte
- عشق تو مشکل ہے اے دل کون کہتا سہل ہےلیک نادانی سے اپنی تو نے سمجھا سہل ہےishq to mushkil hai ai dil kaun kahtā sahl hailek nādānī se apnī tū ne samjhā sahl hai
- قاروں اٹھا کے سر پہ سنا گنج لے چلادنیا سے کیا بخیل بجز رنج لے چلاqārūñ uṭhā ke sar pe sunā ganj le chalāduniyā se kyā baḳhīl bajuz ranj le chalā
- کافر تجھے اللہ نے صورت تو پری دیپر حیف ترے دل میں محبت نہ ذری دیkāfir tujhe allāh ne sūrat to parī dīpar haif tire dil meñ mohabbat na zarī dī
- کریں گے قصد ہم جس دم تمہارے گھر میں آویں گےجو ہوگی عمر بھر کی راہ تو دم بھر میں آویں گےkareñge qasd ham jis dam tumhāre ghar meñ āveñgejo hogī umr bhar kī rāh to dam bhar meñ āveñge
- کیا کچھ نہ کیا اور ہیں کیا کچھ نہیں کرتےکچھ کرتے ہیں ایسا بخدا کچھ نہیں کرتےkyā kuchh na kiyā aur haiñ kiyā kuchh nahīñ kartekuchh karte haiñ aisā baḳhudā kuchh nahīñ karte
- کیا کہوں دل مائل زلف دوتا کیونکر ہوایہ بھلا چنگا گرفتار بلا کیونکر ہواkyā kahūñ dil mā.il zulf-e-dūtā kyūñkar huāye bhalā changā giraftār-e-balā kyūñkar huā
- کیونکر نہ خاکسار رہیں اہل کیں سے دوردیکھو زمیں فلک سے فلک ہے زمیں سے دورkyūñkar na ḳhāksār raheñ ahl-e-kīñ se dūrdekho zamīñ falak se falak hai zamīñ se dūr
- کیونکہ ہم دنیا میں آئے کچھ سبب کھلتا نہیںاک سبب کیا بھید واں کا سب کا سب کھلتا نہیںkyūñke ham duniyā meñ ā.e kuchh sabab khultā nahīñik sabab kyā bhed vāñ kā sab kā sab khultā nahīñ
- گالیاں تنخواہ ٹھہری ہے اگر بٹ جائے گیعاشقوں کے گھر مٹھائی لب شکر بٹ جائے گیgāliyāñ tanḳhvāh ṭhahrī hai agar baṭ jā.egīāshiqoñ ke ghar miṭhā.ī lab shakar baṭ jā.egī
- گئی یک بہ یک جو ہوا پلٹ نہیں دل کو میرے قرار ہےکروں اس ستم کو میں کیا بیاں مرا غم سے سینہ فگار ہےga.ī yak ba yak jo huā palaṭ nahīñ dil ko mere qarār haikarūñ us sitam ko maiñ kyā bayāñ mirā ġham se sīna figār hai
- لگتا نہیں ہے دل مرا اجڑے دیار میںکس کی بنی ہے عالم ناپائیدار میںlagtā nahīñ hai dil mirā ujṛe dayār meñkis kī banī hai ālam nāpā.īdār meñ
- محبت چاہیے باہم ہمیں بھی ہو تمہیں بھی ہوخوشی ہو اس میں یا ہو غم ہمیں بھی ہو تمہیں بھی ہوmohabbat chāhiye bāham hameñ bhī ho tumheñ bhī hoḳhushī ho is meñ yā ho ġham hameñ bhī ho tumheñ bhī ho
- مر گئے اے واہ ان کی ناز برداری میں ہمدل کے ہاتھوں سے پڑے کیسی گرفتاری میں ہمmar ga.e ai vāh un kī nāz bardārī meñ hamdil ke hāthoñ se paṛe kaisī giraftārī meñ ham
- میں ہوں عاصی کہ پر خطا کچھ ہوںتیرا بندہ ہوں اے خدا کچھ ہوںmaiñ hūñ āsī ke par ḳhatā kuchh hūñterā banda hūñ ai ḳhudā kuchh hūñ
- نباہ بات کا اس حیلہ گر سے کچھ نہ ہواادھر سے کیا نہ ہوا پر ادھر سے کچھ نہ ہواnibāh bāt kā is hīla gar se kuchh na huāidhar se kyā na havā par idhar se kuchh na huā
- نہ اس کا بھید یاری سے نہ عیاری سے ہاتھ آیاخدا آگاہ ہے دل کی خبرداری سے ہاتھ آیاna us kā bhed yārī se na ayyārī se hāth āyāḳhudā āgāh hai dil kī ḳhabardārī se hāth āyā
- نہ دائم غم ہے نے عشرت کبھی یوں ہے کبھی ووں ہےتبدل یاں ہے ہر ساعت کبھی یوں ہے کبھی ووں ہےna dā.im ġham hai ne ishrat kabhī yūñ hai kabhī vūñ haitabaddul yāñ hai har sā.at kabhī yūñ hai kabhī vūñ hai
- نہ درویشوں کا خرقہ چاہیئے نہ تاج شاہانامجھے تو ہوش دے اتنا رہوں میں تجھ پہ دیواناna darveshoñ kā ḳhirqa chāhiye na tāj-e-shāhanāmujhe to hosh de itnā rahoñ maiñ tujh pe dīvānā
- نہ دو دشنام ہم کو اتنی بد خوئی سے کیا حاصلتمہیں دینا ہی ہوگا بوسہ خم روئی سے کیا حاصلna do dushnām ham ko itnī bad ḳhūī se kyā hāsiltumheñ denā hī hogā bosa ḳham roī se kyā hāsil
- نہیں عشق میں اس کا تو رنج ہمیں کہ قرار و شکیب ذرا نہ رہاغم عشق تو اپنا رفیق رہا کوئی اور بلا سے رہا نہ رہاnahīñ ishq meñ us kā to ranj hameñ ke qarār-o-shakeb zarā na rahāġham ishq to apnā rafīq rahā koī aur balā se rahā na rahā
- واقف ہیں ہم کہ حضرت غم ایسے شخص ہیںاور پھر ہم ان کے یار ہیں ہم ایسے شخص ہیںvāqif haiñ ham ke hazrat-e-ġham aise shaḳhs haiñaur phir ham un ke yār haiñ ham aise shaḳhs haiñ
- واں ارادہ آج اس قاتل کے دل میں اور ہےاور یہاں کچھ آرزو بسمل کے دل میں اور ہےvāñ irāda āj us qātil ke dil meñ aur haiaur yahāñ kuchh ārzū-e-bismil ke dil meñ aur hai
- واں رسائی نہیں تو پھر کیا ہےیہ جدائی نہیں تو پھر کیا ہےvāñ rasā.ī nahīñ to phir kyā haiye judā.ī nahīñ to phir kyā hai
- وہ سو سو اٹھکھٹوں سے گھر سے باہر دو قدم نکلےبلا سے اس کی گر اس میں کسی مضطر کا دم نکلےvo sau sau uṭhkhaṭṭoñ se ghar se bāhar do qadam niklebalā se us kī gar is meñ kisī muztar kā dam nikle
- ہجر کے ہاتھ سے اب خاک پڑے جینے میںدرد اک اور اٹھا آہ نیا سینے میںhijr ke hāth se ab ḳhāk paṛe jīne meñdard ik aur uṭhā āh nayā sīne meñ
- ہم نے تری خاطر سے دل زار بھی چھوڑاتو بھی نہ ہوا یار اور اک یار بھی چھوڑاham ne tirī ḳhātir se dil-e-zār bhī chhoṛātū bhī na huā yār aur ik yār bhī chhoṛā
- ہم یہ تو نہیں کہتے کہ غم کہہ نہیں سکتےپر جو سبب غم ہے وہ ہم کہہ نہیں سکتےham ye to nahīñ kahte ke ġham kah nahīñ saktepar jo sabab-e-ġham hai vo ham kah nahīñ sakte
- ہوا میں پھرتے ہو کیا حرص اور ہوا کے لیےغرور چھوڑ دو اے غافلو خدا کے لیےhavā meñ phirte ho kyā hirs aur havā ke liyeġhurūr chhoṛ do ai ġhāfilo ḳhudā ke liye
- ہوتے ہوتے چشم سے آج اشک باری رہ گئیآبرو بارے تری ابر بہاری رہ گئیhote hote chashm se āj ashk bārī rah ga.īābrū bāre tirī abr-e-bahārī rah ga.ī
- ہے دل کو جو یاد آئی فلک پیر کسی کیآنکھوں کے تلے پھرتی ہے تصویر کسی کیhai dil ko jo yād ā.ī falak pīr kisī kīānkhoñ ke tale phirtī hai tasvīr kisī kī
- یا مجھے افسر شاہانہ بنایا ہوتایا مرا تاج گدایانہ بنایا ہوتاyā mujhe afsar-e-shāhāna banāyā hotāyā mirā tāj gadāyāna banāyā hotā