نہ دائم غم ہے نے عشرت کبھی یوں ہے کبھی ووں ہے
Bahadur Shah Zafar (1775–1862)نہ دائم غم ہے نے عشرت کبھی یوں ہے کبھی ووں ہے
تبدل یاں ہے ہر ساعت کبھی یوں ہے کبھی ووں ہے
گریباں چاک ہوں گاہے اڑاتا خاک ہوں گاہے
لیے پھرتی مجھے وحشت کبھی یوں ہے کبھی ووں ہے
ابھی ہیں وہ مرے ہم دم ابھی ہو جائیں گے دشمن
نہیں اک وضع پر صحبت کبھی یوں ہے کبھی ووں ہے
جو شکل شیشہ گریاں ہوں تو مثل جام خنداں ہوں
یہی ہے یاں کی کیفیت کبھی یوں ہے کبھی ووں ہے
کسی وقت اشک ہیں جاری کسی وقت آہ اور زاری
غرض حال غم فرقت کبھی یوں ہے کبھی ووں ہے
کوئی دن ہے بہار گل پھر آخر ہے خزاں بالکل
چمن ہے منزل عبرت کبھی یوں ہے کبھی ووں ہے
ظفرؔ اک بات پر دائم وہ ہووے کس طرح قائم
جو اپنی پھیرتا نیت کبھی یوں ہے کبھی ووں ہے
na daim gham hai ne ishrat kabhi yun hai kabhi wun hai
tabaddul yan hai har saat kabhi yun hai kabhi wun hai
gareban chak hun gahe urata khak hun gahe
liye phirti mujhe wahshat kabhi yun hai kabhi wun hai
abhi hain wo mire ham dam abhi ho jaenge dushman
nahin ik waza par sohbat kabhi yun hai kabhi wun hai
jo shakl-e-shisha giryan hun to misl-e-jam-e-khandan hun
yahi hai yan ki kaifiyat kabhi yun hai kabhi wun hai
kisi waqt-e-ashk hain jari kisi waqt ah aur zari
gharaz hal-e-gham-e-furqat kabhi yun hai kabhi wun hai
koi din hai bahar-e-gul phir akhir hai khizan bilkul
chaman hai manzil-e-ibrat kabhi yun hai kabhi wun hai
zafar ik bat par daim wo howe kis tarah qaim
jo apni pherta niyyat kabhi yun hai kabhi wun hai