Poet
Bahadur Shah Zafar
بہادر شاہ ظفر1775–1862
Poems
- اے وائے انقلاب زمانے کے جور سےدلی ظفرؔ کے ہاتھ سے پل میں نکل گئیai vā.e inqilāb zamāne ke jaur sedillī zafar ke hāth se pal meñ nikal ga.ī
- بنایا اے ظفرؔ خالق نے کب انسان سے بہترملک کو دیو کو جن کو پری کو حور و غلماں کوbanāyā ai zafar ḳhāliq ne kab insān se behtarmulk ko dev ko jin ko parī ko hūr-o-ġhilmāñ ko
- تم نے کیا نہ یاد کبھی بھول کر ہمیںہم نے تمہاری یاد میں سب کچھ بھلا دیاtum ne kiyā na yād kabhī bhūl kar hameñham ne tumhārī yād meñ sab kuchh bhulā diyā
- تو کہیں ہو دل دیوانہ وہاں پہنچے گاشمع ہوگی جہاں پروانہ وہاں پہنچے گاtū kahīñ ho dil-e-dīvāna vahāñ pahuñchegāsham.a hogī jahāñ parvāna vahāñ pahuñchegā
- حال دل کیوں کر کریں اپنا بیاں اچھی طرحروبرو ان کے نہیں چلتی زباں اچھی طرحhāl-e-dil kyūñ kar kareñ apnā bayāñ achchhī tarahrūbarū un ke nahīñ chaltī zabāñ achchhī tarah
- غضب ہے کہ دل میں تو رکھو کدورتکرو منہ پہ ہم سے صفائی کی باتیںġhazab hai ke dil meñ to rakho kudūratkaro muñh pe ham se safā.ī kī bāteñ
- کوئی کیوں کسی کا لبھائے دل کوئی کیا کسی سے لگائے دلوہ جو بیچتے تھے دوائے دل وہ دکان اپنی بڑھا گئےkoī kyūñ kisī kā lubhā.e dil koī kyā kisī se lagā.e dilvo jo bechte the davā-e-dil vo dukān apnī baṛhā ga.e
- کیا تاب کیا مجال ہماری کہ بوسہ لیںلب کو تمہارے لب سے ملا کر کہے بغیرkyā tāb kyā majāl hamārī ke bosa leñlab ko tumhāre lab se milā kar kahe baġhair
- لڑا کر آنکھ اس سے ہم نے دشمن کر لیا اپنانگہ کو ناز کو انداز کو ابرو کو مژگاں کوlaṛā kar ānkh us se ham ne dushman kar liyā apnānigah ko nāz ko andāz ko abrū ko mizhgāñ ko
- لوگوں کا احسان ہے مجھ پر اور ترا میں شکر گزارتیر نظر سے تم نے مارا لاش اٹھائی لوگوں نےlogoñ kā ehsān hai mujh par aur tirā meñ shukr guzārtīr-e-nazar se tum ne mārā lāsh uṭhā.ī logoñ ne
- میرے سرخ لہو سے چمکی کتنے ہاتھوں میں مہندیشہر میں جس دن قتل ہوا میں عید منائی لوگوں نےmere surḳh lahū se chamkī kitne hāthoñ meñ mehndīshahr meñ jis din qatl havā meñ e.id manā.ī logoñ ne
- میں سسکتا رہ گیا اور مر گئے فرہاد و قیسکیا انہی دونوں کے حصے میں قضا تھی میں نہ تھاmaiñ sisaktā rah gayā aur mar ga.e farhād-o-qaiskyā unhī donoñ ke hisse meñ qazā thī maiñ na thā
- یار تھا گلزار تھا باد صبا تھی میں نہ تھالائق پابوس جاناں کیا حنا تھی میں نہ تھاyār thā gulzār thā bād-e-sabā thī maiñ na thālā.iq-e-pābos jānāñ kyā hinā thī maiñ na thā
- یہ چمن یونہی رہے گا اور ہزاروں بلبلیںاپنی اپنی بولیاں سب بول کر اڑ جائیں گیye chaman yūñhī rahegā aur hazāroñ bulbuleñapnī apnī boliyāñ sab bol kar uṛ jā.eñgī