واں ارادہ آج اس قاتل کے دل میں اور ہے
Bahadur Shah Zafar (1775–1862)واں ارادہ آج اس قاتل کے دل میں اور ہے
اور یہاں کچھ آرزو بسمل کے دل میں اور ہے
وصل کی ٹھہراوے ظالم تو کسی صورت سے آج
ورنہ ٹھہری کچھ ترے مائل کے دل میں اور ہے
ہے ہلال و بدر میں اک نور پر جو روشنی
دل میں ناقص کے ہے وہ کامل کے دل میں اور ہے
پہلے تو ملتا ہے دل داری سے کیا کیا دل ربا
باندھتا منصوبے پھر وہ مل کے دل میں اور ہے
ہے مجھے بعد از سوال بوسہ خواہش وصل کی
یہ تمنا ایک اس سائل کے دل میں اور ہے
گو وہ محفل میں نہ بولا پا گئے چتون سے ہم
آج کچھ اس رونق محفل کے دل میں اور ہے
یوں تو ہے وہ ہی دل عالم کے دل میں اے ظفرؔ
اس کا عالم مرد صاحب دل کے دل میں اور ہے
wan irada aj us qatil ke dil mein aur hai
aur yahan kuchh arzu-e-bismil ke dil mein aur hai
wasl ki thahrawe zalim to kisi surat se aj
warna thahri kuchh tire mail ke dil mein aur hai
hai hilal-o-badr mein ik nur par jo raushni
dil mein naqis ke hai wo kamil ke dil mein aur hai
pahle to milta hai dil dari se kya kya dil ruba
bandhta mansube phir wo mil ke dil mein aur hai
hai mujhe baad az sawal-e-bosa khwahish wasl ki
ye tamanna ek is sail ke dil mein aur hai
go wo mahfil mein na bola pa gae chitwan se ham
aj kuchh is raunaq-e-mahfil ke dil mein aur hai
yun to hai wo hi dil-e-alam ke dil mein ai zafar
us ka alam mard-e-sahab dil ke dil mein aur hai