Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Bahadur Shah Zafar

بہادر شاہ ظفر

1775–1862

Poems

Meter
  1. itnā na apne jāme se bāhar nikal ke chalduniyā hai chal chillā.o kā rasta sambhal ke chal
  2. bāt karnī mujhe mushkil kabhī aisī to na thījaisī ab hai tirī mahfil kabhī aisī to na thī
  3. bharī hai dil meñ jo hasrat kahūñ to kis se kahūñsune hai kaun musībat kahūñ to kis se kahūñ
  4. pān khā kar surma kī tahrīr phir khīñchī to kyājab mirā ḳhūñ ho chukā shamshīr phir khīñchī to kyā
  5. pān kī surḳhī nahīñ lab par but-e-ḳhūñ ḳhvār kelag gayā hai ḳhūn-e-āshiq muñh ko is talvār ke
  6. tafta jānoñ kā ilāj ai ahl-e-dānish aur haiishq kī ātish balā hai us kī sozish aur hai
  7. ṭukṛe nahīñ haiñ ānsūoñ meñ dil ke chār pānchsurḳhāb baiṭhe pānī meñ haiñ mil ke chār pānch
  8. jab kabhī dariyā meñ hote sāya afgan āp haiñfals-e-māhī ko batāte māh raushan āp haiñ
  9. jab ke pahlū meñ hamāre but-e-ḳhudkām na hogiriye se shām-o-sahar kyūñ ke hameñ kām na ho
  10. jigar ke ṭukṛe hue jal ke dil kabāb huāye ishq jān ko mere koī azāb huā
  11. ḳhvāh kar insāf zālim ḳhvāh kar bedād topar jo fariyādī haiñ un kī sun to le fariyād to
  12. dekh dil ko mire o kāfir-e-be pīr na toṛghar hai allāh kā ye us kī to ta.amīr na toṛ
  13. dekho insāñ ḳhāk kā putlā banā kyā chīz haiboltā hai is meñ kyā vo boltā kyā chīz hai
  14. ruḳh jo zer-e-sumbul pur pech-o-tāb ā jā.egāphir ke biraj-e-sumbula meñ āftāb ā jā.egā
  15. zulf jo ruḳh par tire ai mehr talat khul ga.īham ko apnī tīra rozī kī haqīqat khul ga.ī
  16. sab rang meñ us gul kī mire shān hai maujūdġhāfil to zarā dekh vo har ān hai maujūd
  17. shāne kī har zabāñ se sune koī lāf-e-zulfchīre hai sīna rāt ko ye mūshigāf-e-zulf
  18. shamshīr-e-barahna māñg ġhazab bāloñ kī mahak phir vaisī hījoṛe kī gandhoṭ qahr-e-ḳhudā bāloñ kī mahak phir vaisī hī
  19. talab haiñ ishq-e-butāñ meñ jo ābrū kartezafar haiñ āg se pānī kī ārzū karte
  20. ishq to mushkil hai ai dil kaun kahtā sahl hailek nādānī se apnī tū ne samjhā sahl hai
  21. qārūñ uṭhā ke sar pe sunā ganj le chalāduniyā se kyā baḳhīl bajuz ranj le chalā
  22. kāfir tujhe allāh ne sūrat to parī dīpar haif tire dil meñ mohabbat na zarī dī
  23. kareñge qasd ham jis dam tumhāre ghar meñ āveñgejo hogī umr bhar kī rāh to dam bhar meñ āveñge
  24. kyā kuchh na kiyā aur haiñ kiyā kuchh nahīñ kartekuchh karte haiñ aisā baḳhudā kuchh nahīñ karte
  25. kyā kahūñ dil mā.il zulf-e-dūtā kyūñkar huāye bhalā changā giraftār-e-balā kyūñkar huā
  26. kyūñkar na ḳhāksār raheñ ahl-e-kīñ se dūrdekho zamīñ falak se falak hai zamīñ se dūr
  27. kyūñke ham duniyā meñ ā.e kuchh sabab khultā nahīñik sabab kyā bhed vāñ kā sab kā sab khultā nahīñ
  28. gāliyāñ tanḳhvāh ṭhahrī hai agar baṭ jā.egīāshiqoñ ke ghar miṭhā.ī lab shakar baṭ jā.egī
  29. ga.ī yak ba yak jo huā palaṭ nahīñ dil ko mere qarār haikarūñ us sitam ko maiñ kyā bayāñ mirā ġham se sīna figār hai
  30. lagtā nahīñ hai dil mirā ujṛe dayār meñkis kī banī hai ālam nāpā.īdār meñ
  31. mohabbat chāhiye bāham hameñ bhī ho tumheñ bhī hoḳhushī ho is meñ yā ho ġham hameñ bhī ho tumheñ bhī ho
  32. mar ga.e ai vāh un kī nāz bardārī meñ hamdil ke hāthoñ se paṛe kaisī giraftārī meñ ham
  33. maiñ hūñ āsī ke par ḳhatā kuchh hūñterā banda hūñ ai ḳhudā kuchh hūñ
  34. nibāh bāt kā is hīla gar se kuchh na huāidhar se kyā na havā par idhar se kuchh na huā
  35. na us kā bhed yārī se na ayyārī se hāth āyāḳhudā āgāh hai dil kī ḳhabardārī se hāth āyā
  36. na dā.im ġham hai ne ishrat kabhī yūñ hai kabhī vūñ haitabaddul yāñ hai har sā.at kabhī yūñ hai kabhī vūñ hai
  37. na darveshoñ kā ḳhirqa chāhiye na tāj-e-shāhanāmujhe to hosh de itnā rahoñ maiñ tujh pe dīvānā
  38. na do dushnām ham ko itnī bad ḳhūī se kyā hāsiltumheñ denā hī hogā bosa ḳham roī se kyā hāsil
  39. nahīñ ishq meñ us kā to ranj hameñ ke qarār-o-shakeb zarā na rahāġham ishq to apnā rafīq rahā koī aur balā se rahā na rahā
  40. vāqif haiñ ham ke hazrat-e-ġham aise shaḳhs haiñaur phir ham un ke yār haiñ ham aise shaḳhs haiñ
  41. vāñ irāda āj us qātil ke dil meñ aur haiaur yahāñ kuchh ārzū-e-bismil ke dil meñ aur hai
  42. vāñ rasā.ī nahīñ to phir kyā haiye judā.ī nahīñ to phir kyā hai
  43. vo sau sau uṭhkhaṭṭoñ se ghar se bāhar do qadam niklebalā se us kī gar is meñ kisī muztar kā dam nikle
  44. hijr ke hāth se ab ḳhāk paṛe jīne meñdard ik aur uṭhā āh nayā sīne meñ
  45. ham ne tirī ḳhātir se dil-e-zār bhī chhoṛātū bhī na huā yār aur ik yār bhī chhoṛā
  46. ham ye to nahīñ kahte ke ġham kah nahīñ saktepar jo sabab-e-ġham hai vo ham kah nahīñ sakte
  47. havā meñ phirte ho kyā hirs aur havā ke liyeġhurūr chhoṛ do ai ġhāfilo ḳhudā ke liye
  48. hote hote chashm se āj ashk bārī rah ga.īābrū bāre tirī abr-e-bahārī rah ga.ī
  49. hai dil ko jo yād ā.ī falak pīr kisī kīānkhoñ ke tale phirtī hai tasvīr kisī kī
  50. yā mujhe afsar-e-shāhāna banāyā hotāyā mirā tāj gadāyāna banāyā hotā