Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Asghar Gondvi

اصغر گونڈوی

1884–1936

Poems

Meter
  1. āshob-e-husn kī bhī koī dāstāñ rahemiṭne ko yūñ miṭeñ ke abad tak nishāñ rahe
  2. ālām-e-rozgār ko āsāñ banā diyājo ġham huā use ġham-e-jānāñ banā diyā
  3. asrār-e-ishq hai dil-e-muztar liye hueqatra hai be qarār samundar liye hue
  4. ik ālam-e-hairat hai fanā hai na baqā haihairat bhī ye hairat hai ke kyā jāniye kyā hai
  5. ek aisī bhī tajallī āj mai ḳhāne meñ hailutf pīne meñ nahīñ hai balke kho jāne meñ hai
  6. pātā nahīñ jo lazzat āh-e-sahar ko maiñphir kyā karūñgā le ke ilāhī asar ko maiñ
  7. pās-e-adab meñ josh-e-tamannā liye huemaiñ bhī hūñ ik habāb meñ dariyā liye hue
  8. tire jalvoñ ke āge himmat sharh-o-bayāñ rakh dīzabān-e-be nigah rakh dī nigāh-e-be zabāñ rakh dī
  9. to ek nām hai magar sadā-e-ḳhvāb kī tarahmaiñ ek harf hūñ magar nishān āb kī tarah
  10. jān-e-nishāt-e-husn kī duniyā kahīñ jisejannat hai ek ḳhūn-e-tamannā kahīñ jise
  11. jīne kā na kuchh hosh na marne kī ḳhabar haiai shobada pardāz ye kyā tarz-e-nazar hai
  12. ḳhudā jāne kahāñ hai asġhar-e-dīvāna barsoñ seke us ko ḍhūñḍhte haiñ ka.aba-o-but ḳhāna barsoñ se
  13. zauq-e-sarmastī ko mahv-e-roe jānāñ kar diyākufr ko is tarah chamkāyā ke īmāñ kar diyā
  14. raqs-e-mastī dekhte josh-e-tamannā dekhtesāmne lā kar tujhe apnā tamāshā dekhte
  15. sāmne un ke taṛap kar is tarah fariyād kīmaiñ ne pūrī shakl dikhlā dī dil-e-nāshād kī
  16. sirf ik soz to mujh meñ hai magar sāz nahīñmaiñ faqat dard hūñ jis meñ koī āvāz nahīñ
  17. ishq hai ik kaif-e-pinhānī magar ranjūr haihusn-e-be pardā nahīñ hotā magar dastūr hai
  18. ashouñ kī hai na us nigah-e-fitna zā kī haisārī ḳhatā mire dil-e-shorish adā kī hai
  19. aks kis chīz kā ā.īna-e-hairat meñ nahīñterī sūrat meñ hai kyā jo merī sūrat meñ nahīñ
  20. kaun thā us ke huā ḳhvāhoñ meñ jo shāmil na thāab huā ma.alūm mujh ko dil bhī merā dil na thā
  21. koī mahmil nashīñ kyūñ shād yā nāshād hotā haiġhubār-e-qais ḳhud uṭhtā hai ḳhud barbād hotā hai
  22. garm-e-talāsh-o-justujū ab hai tirī nazar kahāñḳhūn hai kuchh jamā huā qalb kahāñ jigar kahāñ
  23. gum kar diyā hai dīd ne yūñ sar ba sar mujhemiltī hai ab unheñ se kuchh apnī ḳhabar mujhe
  24. matā-e-zīst kyā ham zīst kā hāsil samajhte haiñjise sab dard kahte haiñ use ham dil samajhte haiñ
  25. majāz kaisā kahāñ haqīqat abhī tujhe kuchh ḳhabar nahīñ haiye sab hai ik ḳhvāb kī sī hālat, jo dekhtā hai sahar nahīñ hai
  26. mastī meñ faroġh-e-ruḳh jānāñ nahīñ dekhāsunte haiñ bahār ā.ī gulistāñ nahīñ dekhā
  27. maujoñ kā aks hai ḳhat-e-jām-e-sharāb meñyā ḳhūn uchhal rahā hai rag-e-māhtāb meñ
  28. mai be rang kā sau rang se rusvā honākabhī maikash kabhī sāqī kabhī mīnā honā
  29. na khule aqd hā-e-nāz-o-niyāzhusn bhī rāz aur ishq bhī rāz
  30. na ye shīsha na ye sāġhar na ye paimāna banejān-e-mai ḳhāna tirī nargis-e-mastāna bane
  31. vo naġhma bulbul-e-rangīñ navā ik bār ho jā.ekalī kī ānkh khul jā.e chaman bedār ho jā.e
  32. hai dil-e-nākām-e-āshiq meñ tumhārī yād bhīye bhī kyā ghar hai ke hai barbād bhī ābād bhī
  33. yūñ na māyūs ho ai shorish-e-nākām abhīmerī rag rag meñ hai ik ātish-e-be nām abhī
  34. ye ishq ne dekhā hai ye aql se pinhāñ haiqatra meñ samundar hai zarra meñ bayābāñ hai
  35. ye kyā kahā ke ġham-e-ishq nāgavār huāmujhe to jura-e-talḳh aur sāzgār huā
  36. ye nang-e-āshiqī hai sūd-o-hāsil dekhne vāleyahāñ gumrāh kahlāte haiñ manzil dekhne vāle
  37. jo naqsh hai hastī kā dhokā nazar ātā haiparde pe musavvir hī tanhā nazar ātā hai
  38. husn ko vusateñ jo deñ ishq ko hausla diyājo na mile na miṭ sake vo mujhe mudda.ā diyā
  39. shikva na chāhiye ke taqāzā na chāhiyejab jān par banī ho to kyā kyā na chāhiye