ہے دل ناکام عاشق میں تمہاری یاد بھی
Asghar Gondvi (1884–1936)ہے دل ناکام عاشق میں تمہاری یاد بھی
یہ بھی کیا گھر ہے کہ ہے برباد بھی آباد بھی
دل کے مٹنے کا مجھے کچھ اور ایسا غم نہیں
ہاں مگر اتنا کہ ہے اس میں تمہاری یاد بھی
کس کو یہ سمجھایئے نیرنگ کار عاشقی
تھم گئے اشک مسلسل رک گئی فریاد بھی
سینے میں درد محبت راز بن کر رہ گیا
اب وہ حالت ہے کہ کر سکتے نہیں فریاد بھی
پھاڑ ڈالوں گا گریباں پھوڑ لوں گا اپنا سر
ہے مرے آفت کدے میں قیس بھی فرہاد بھی
کچھ تو اصغرؔ مجھ میں ہے قائم ہے جس سے زندگی
جان بھی کہتے ہیں اس کو اور ان کی یاد بھی
hai dil-e-nakam-e-ashiq mein tumhari yad bhi
ye bhi kya ghar hai ke hai barbad bhi abad bhi
dil ke mitne ka mujhe kuchh aur aisa gham nahin
han magar itna ke hai is mein tumhari yad bhi
kis ko ye samjhaiye nairang kar-e-ashiqi
tham gae ashk-e-musalsal ruk gai fariyad bhi
sine mein dard-e-mohabbat raz ban kar rah gaya
ab wo halat hai ke kar sakte nahin fariyad bhi
phar dalunga gareban phor lunga apna sar
hai mire afat kade mein qais bhi farhad bhi
kuchh to asghar mujh mein hai qaim hai jis se zindagi
jan bhi kahte hain us ko aur un ki yad bhi