گم کر دیا ہے دید نے یوں سر بہ سر مجھے
Asghar Gondvi (1884–1936)گم کر دیا ہے دید نے یوں سر بہ سر مجھے
ملتی ہے اب انہیں سے کچھ اپنی خبر مجھے
نالوں سے میں نے آگ لگا دی جہان میں
صیاد جانتا تھا فقط مشت پر مجھے
اللہ رے ان کے جلوے کی حیرت فزائیاں
یہ حال ہے کہ کچھ نہیں آتا نظر مجھے
مانا حریم ناز کا پایہ بلند ہے
لے جائے گا اچھال کے درد جگر مجھے
ایسا کہ بت کدے کا جسے راز ہو سپرد
اہل حرم میں کوئی نہ آیا نظر مجھے
کیا درد ہجر اور یہ کیا لذت وصال
اس سے بھی کچھ بلند ملی ہے نظر مجھے
مست شباب وہ ہیں میں سرشار عشق ہوں
میری خبر انہیں ہے نہ ان کی خبر مجھے
جب اصل اس مجاز و حقیقت کی ایک ہے
پھر کیوں پھرا رہے ہیں ادھر سے ادھر مجھے
gum kar diya hai did ne yun sar ba sar mujhe
milti hai ab unhen se kuchh apni khabar mujhe
nalon se main ne ag laga di jahan mein
sayyad janta tha faqat musht par mujhe
allah re un ke jalwe ki hairat fizaiyan
ye hal hai ke kuchh nahin ata nazar mujhe
mana harim-e-naz ka paya buland hai
le jaega uchhal ke dard-e-jigar mujhe
aisa ke but kade ka jise raz ho supurd
ahl-e-haram mein koi na aya nazar mujhe
kya dard-e-hijr aur ye kya lazzat-e-wisal
us se bhi kuchh buland mili hai nazar mujhe
mast-e-shabab wo hain main sarshar-e-ishq hun
meri khabar unhen hai na un ki khabar mujhe
jab asl is majaz-o-haqiqat ki ek hai
phir kyun phira rahe hain idhar se idhar mujhe