Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Ahmad Nadeem Qasmi

احمد ندیم قاسمی

1916–2006Born in AngaDied in Lahore

Ahmad Shah, known as Ahmad Nadeem Qasmi, was a poet, short-story writer and journalist. He edited journals including Adab-e-Latif and Naqoosh, founded the magazine Funoon and edited the daily Imroze. He was secretary-general of the Progressive Writers' Association in Pakistan and was arrested more than once. His stories depict rural life; his poetry collections include Jalal-o-Jamal, Shola-e-Gul and Dasht-e-Wafa, and he received the Pride of Performance and Sitara-e-Imtiaz.

Writes about

  • Humanism
  • Rural life
  • Progressive ideals

Poems

  1. āḳhirī bār andhere ke pujārī sun leñmaiñ sahar hūñ maiñ ujālā hūñ haqīqat hūñ maiñ
  2. ab to shahroñ se ḳhabar ātī hai dīvānoñ kīkoī pahchān hī bāqī nahīñ vīrānoñ kī
  3. apne māhaul se the qais ke rishte kyā kiyādasht meñ āj bhī uṭhte haiñ bagūle kyā kiyā
  4. itne bedār zamāne meñ ye sāzish bharī rātmerī tārīḳh ke sīne pe utar ā.ī thī
  5. ehsās meñ phūl khul rahe haiñpat jhaṛ ke ajīb silsile haiñ
  6. ik mohabbat ke evaz arz-o-samā de dūñgātujh se kāfir ko to maiñ apnā ḳhudā de dūñgā
  7. andāz ho bahū tirī āvāz-e-pā kā thādekhā nikal ke ghar se to jhonkā havā kā thā
  8. bārish kī rut thī rāt thī pahlū-e-yār thāye bhī tilism-e-gardish-e-lail-o-nahār thā
  9. phir bhayānak tīrgī meñ ā ga.eham gajar bajne se dhokā khā ga.e
  10. tujhe kho kar bhī tujhe pā.oñ jahāñ tak dekhūñhusn-e-yazdāñ se tujhe husn-e-butāñ tak dekhūñ
  11. tang ā jāte haiñ dariyā jo kuhistānoñ meñsāns lene ko nikal jāte haiñ maidānoñ meñ
  12. tū bigaṛtā bhī hai ḳhās apne hī andāz ke sāthphūl khulte haiñ tire shola-e-āvāz ke sāth
  13. tū jo badlā to zamāna bhī badal jā.egāghar jo sulgā to bharā shahr bhī jal jā.egā
  14. terī mahfil bhī mudāvā nahīñ tanhā.ī kākitnā charchā thā tirī anjuman ārā.ī kā
  15. jāne kahāñ the aur chale the kahāñ se hambedār ho ga.e kisī ḳhvāb-e-girāñ se ham
  16. jab bhī ānkhoñ meñ tirī ruḳhsat kā manzar ā gayāāftāb-e-vaqt neze ke barābar ā gayā
  17. jab tirā hukm milā tark-e-mohabbat kar dīdil magar us pe vo dhaṛkā ke qayāmat kar dī
  18. jo log dushman-e-jāñ the vahī sahāre themunāfa.e the mohabbat maiñ ne ḳhasāre the
  19. jī chāhtā hai falak pe jā.ūñsūraj ko ġhurūb se bachā.ūñ
  20. chānd is rāt bhī niklā thā magar us kā vajūditnā ḳhūñ rang thā jaise kisī ma.asūm kī lāsh
  21. da.avā to kiyā husn-e-jahāñ soz kā sab neduniyā kā magar rūp baṛhāyā tirī chhab ne
  22. zīst āzār huī jātī haisāns talvār huī jātī hai
  23. sāns lenā bhī sazā lagtā haiab to marnā bhī ravā lagtā hai
  24. sūraj ko nikalnā hai so niklegā dobāraab dekhiye kab ḍūbtā hai sub.h kā tāra
  25. shām ko sub.h-e-chaman yād ā.īkis kī ḳhushbū-e-badan yād ā.ī
  26. shuūr meñ kabhī ehsās meñ basā.ūñ usemagar maiñ chār taraf be hijāb pā.oñ use
  27. ajab surūr milā hai mujhe duā kar keke muskurāyā ḳhudā bhī sitāra vā kar ke
  28. ajīb rang tire husn kā lagā.o meñ thāgulāb jaise kaṛī dhūp ke alā.o meñ thā
  29. umr bhar us ne isī tarah lubhāyā hai mujhevo jo is dasht ke us pār se lāyā hai mujhe
  30. fāsle ke ma.anī kā kyūñ fareb khāte hojitne dūr jāte ho itne pās āte ho
  31. قرار جاں بھی تمہی اضطراب جاں بھی تمہیمرا یقیں بھی تمہی ہو مرا گماں بھی تمہی
  32. qalam dil meñ ḍuboyā jā rahā hainayā manshūr likhā jā rahā hai
  33. kaun kahtā hai ke maut ā.ī to mar jā.ūñgāmaiñ to dariyā hūñ samundar meñ utar jā.ūñgā
  34. kahīñ vo merī mohabbat meñ ghul rahā hī na hoḳhudā kare use ye tajriba huā hī na ho
  35. khaṛā thā kab se zamīñ pīṭh par uṭhā.e hueāb ādmī hai qayāmat se lo lagā.e hue
  36. gul tirā rang churā lā.e haiñ gulzāroñ meñjal rahā hūñ bharī barsāt kī bauchhāroñ meñ
  37. go mire dil ke zaḳhm zātī haiñun kī ṭīseñ to kā.inātī haiñ
  38. lab-e-ḳhāmosh se ifshā hogārāz har rang meñ rusvā hogā
  39. mudāvā habs kā hone lagā āhista āhistachalī ātī hai vo mauj-e-sabā āhista āhista
  40. mirā ġhurūr tujhe kho ke hār mān gayāmaiñ choṭ khā ke magar apnī qadr jān gayā
  41. marūñ to maiñ kisī chehre meñ rang bhar jā.ūñnadīm kāsh yahī ek kām kar jā.ūñ
  42. merī mahdūd basārat kā natīja niklāāsmāñ mere tasavvur se bhī halkā niklā
  43. maiñ kisī shaḳhs se bezār nahīñ ho saktāek zarra bhī to bekār nahīñ ho saktā
  44. maiñ vo shāyar hūñ jo shāhoñ kā sanā ḳhvāñ na huāye hai vo jurm jo mujh se kisī unvāñ na huā
  45. vo jo ik umr se masrūf ubbādāt meñ theānkh kholī to abhī arsa-e-zulmāt meñ the
  46. vo koī aur na thā chand ḳhushk patte theshajar se ṭūṭ ke jo fasl-e-gul pe roe the
  47. har lamha agar gurez pā haito kyūñ mire dil meñ bas gayā hai
  48. ham din ke payāmī haiñ magar kushta-e-shab haiñis hāl meñ bhī raunaq-e-ālam kā sabab haiñ
  49. ham kabhī ishq ko vahshat nahīñ banne detedil kī tahzīb ko tohmat nahīñ banne dete
  50. hamesha zulm ke manzar hameñ dikhā.e ga.epahāṛ toṛe ga.e aur mahal banā.e ga.e