Poet
Obaid Siddiqi
1957–2020
Poems
- آنکھوں میں اک خواب ہے اس کو یہیں سجاؤں گاتھوڑی زمیں ملی تو اک دن باغ لگاؤں گاānkhoñ meñ ik ḳhvāb hai us ko yahīñ sajā.ūñgāthoṛī zamīñ milī to ik din bāġh lagā.ūñgā
- اب یہ صفت جہاں میں نایاب ہو گئی ہےململ بدن پہ اس کے کمخواب ہو گئی ہےab ye sifat jahāñ meñ nāyāb ho ga.ī haimalmal badan pe us ke kamḳhvāb ho ga.ī hai
- اپنے بعد حقیقت یا افسانہ چھوڑا تھاپھول کھلے تھے میں نے جب ویرانہ چھوڑا تھاapne ba.ad haqīqat yā afsāna chhoṛā thāphūl khule the maiñ ne jab vīrāna chhoṛā thā
- اس کے پرتو سے ہوا ہے زعفرانی رنگ کاآئینہ تو آج بھی ہے کہکشانی رنگ کاus ke partau se huā hai zāfrānī rang kāā.īna to āj bhī hai kahkashānī rang kā
- اگر اس شہر کی آب و ہوا تبدیل ہو جائےتو پھر سب کچھ بجز نام خدا تبدیل ہو جائےagar is shahr kī āb-o-havā tabdīl ho jā.eto phir sab kuchh bajuz nām-e-ḳhudā tabdīl ho jā.e
- ایسی تن آسانی سےباز آ جا نادانی سےaisī tan āsānī sebāz ā jā nādānī se
- بیٹھے بٹھائے آج پھر کس کا خیال آ گیاچہرے کا رنگ اڑ گیا رنگ ملال آ گیاbaiṭhe biṭhā.e āj phir kis kā ḳhayāl ā gayāchehre kā rang uṛ gayā rang-e-malāl ā gayā
- پہلے اک موج ہوا آتی ہےاور پھر گھر کے گھٹا آتی ہےpahle ik mauj huā ātī haiaur phir ghar ke ghaṭā ātī hai
- تری نسبت سے اپنی ذات کا ادراک کرنے میںبہت عرصہ لگا ہے پیرہن کو چاک کرنے میںtirī nisbat se apnī zāt kā idrāk karne meñbahut arsa lagā hai pairahan ko chāk karne meñ
- تو بھی فریادی ہوا تھا التجا میں نے بھی کیتو نہ تھا مجرم اکیلا ہاں خطا میں نے بھی کیtū bhī fariyādī huā thā iltijā maiñ ne bhī kītū na thā mujrim akelā hāñ ḳhatā maiñ ne bhī kī
- خشک دریاؤں کو پانی دے خدابادبانوں کو روانی دے خداḳhushk dariyā.oñ ko pānī de ḳhudābādbānoñ ko ravānī de ḳhudā
- خواب آنکھوں میں سوالی ہی رہےکاسۂ تعبیر خالی ہی رہےḳhvāb ānkhoñ meñ savālī hī rahekāsa-e-ta.abīr ḳhālī hī rahe
- دریا جو چڑھا ہے وہ اترنے نہیں دینایہ لمحۂ موجود گزرنے نہیں دیناdariyā jo chaṛhā hai vo utarne nahīñ denāye lamha-e-maujūd guzarne nahīñ denā
- دنیا کو اس بار فسانہ کر دوں گاخوابوں کو ہر سمت روانہ کر دوں گاduniyā ko is bār fasāna kar dūñgāḳhvāboñ ko har samt ravāna kar dūñgā
- دیار خواب سے آگے سفر کرنے کا دن ہےتو کیا یہ قصۂ جاں مختصر کرنے کا دن ہےdayār-e-ḳhvāb se āge safar karne kā din haito kyā ye qissa-e-jāñ muḳhtasar karne kā din hai
- رنگ ہوا میں پھیل رہا ہےدیکھو کیسا پھول کھلا ہےrang havā meñ phail rahā haidekho kaisā phūl khulā hai
- زمین بارہا بدلی زماں نہیں بدلااسی لیے تو یہ میرا جہاں نہیں بدلاzamīn bārhā badlī zamāñ nahīñ badlāisī liye to ye merā jahāñ nahīñ badlā
- کار دنیا کے تقاضوں کو نبھانے میں کٹیزندگی ریت کی دیوار اٹھانے میں کٹیkār-e-duniyā ke taqāzoñ ko nibhāne meñ kaṭīzindagī ret kī dīvār uṭhāne meñ kaṭī
- کب تک اس کا ہجر مناتا صحرا چھوڑ دیاجینے کی امید میں میں نے کیا کیا چھوڑ دیاkab tak us kā hijr manātā sahrā chhoṛ diyājīne kī umīd meñ maiñ ne kiyā kyā chhoṛ diyā
- کبھی کبھی یہ سونا پن کھل جاتا ہےبس اک لمحہ آتا ہے ٹل جاتا ہےkabhī kabhī ye sonā pan khul jātā haibas ik lamha ātā hai ṭal jātā hai
- کوئی کچھ بتائے گا کیا ہو گیایہاں کیسے ہر بت خدا ہو گیاkoī kuchh batā.egā kyā ho gayāyahāñ kaise har but ḳhudā ho gayā
- کیا پھر زمین دل کی نمناک ہو رہی ہےاک بیل آرزو کی پیچاک ہو رہی ہےkyā phir zamīn-e-dil kī namnāk ho rahī haiik bel ārzū kī pechāk ho rahī hai
- کیا سنے کوئی زبانی میریاور پھر وہ بھی کہانی میریkyā sune koī zabānī merīaur phir vo bhī kahānī merī
- کیسے بدل رہے ہو بتاتا نہیں ہے کیاآئینہ کوئی تم کو دکھاتا نہیں ہے کیاkaise badal rahe ho batātā nahīñ hai kyāā.īna koī tum ko dikhātā nahīñ hai kyā
- مجھے اب نیا اک بدن چاہیئےاور اس کے لیے بانکپن چاہیئےmujhe ab nayā ik badan chāhiyeaur us ke liye bānkpan chāhiye
- منظر روز بدل دیتا ہوں اپنی نرم خیالی سےشام شفق میں ڈھل جاتی ہے رنگ حنا کی لالی سےmanzar roz badal detā hūñ apnī narm ḳhayālī seshām shafaq meñ ḍhal jātī hai rang-e-hinā kī lālī se
- میں خواب اپنے سارے نیلام کر رہا ہوںاور یہ بھی جان لو کہ بے دام کر رہا ہوںmaiñ ḳhvāb apne sāre nīlām kar rahā hūñaur ye bhī jān lo ke be dām kar rahā hūñ
- میں فرد جرم تیری تیار کر رہا ہوںاے آسمان سن لے ہشیار کر رہا ہوںmaiñ fard-e-jurm terī tayyār kar rahā hūñai āsmān sun le hushyār kar rahā hūñ
- نقصان کیا بتائیں ہمارا کیا بہتاس کاروبار دل نے خسارا کیا بہتnuqsān kyā batā.eñ hamārā kiyā bahutis kārobār-e-dil ne ḳhasārā kiyā bahut
- ہمیں کچھ اور جینا ہے تو دل کو شاد رکھیں گےبہت کچھ بھول جائیں گے بہت کچھ یاد رکھیں گےhameñ kuchh aur jīnā hai to dil ko shād rakheñgebahut kuchh bhūl jā.eñge bahut kuchh yād rakheñge
- ہوائے شام نہ جانے کہاں سے آتی ہےوہاں گلاب بہت ہیں جہاں سے آتی ہےhavā-e-shām na jāne kahāñ se ātī haivahāñ gulāb bahut haiñ jahāñ se ātī hai
- ہونٹ کھلیں تو نکلے واہدنیا ایک تماشا گاہhonṭ khuleñ to nikle vāhduniyā ek tamāshā gāh
- یقیناً ہم کو گھر اچھے لگے تھےمکیں پہلے مگر اچھے لگے تھےyaqīnan ham ko ghar achchhe lage themakīñ pahle magar achchhe lage the
- یہ شہر طرب دیکھ بیابان میں کیا ہےاے طائر وحشت ترے امکان میں کیا ہےye shahr-e-tarab dekh bayābān meñ kyā haiai tā.ir-e-vahshat tire imkān meñ kyā hai