Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Nadeem Bhabha

b. 1977

Poems

Meter
  1. abad hone kā tajriba kyā haius ne sone kā tajriba kyā hai
  2. ek suḳhan ko bhūl kar ek kalām thā zarūrmerā to zikr hī na thā par tirā nām thā zarūr
  3. bas yahī kuchh hai martaba mire pāsek to hai aur ik duā mire pās
  4. bahut shiddat se jo qā.im huā thāvo rishta ham meñ shāyad jhūṭ kā thā
  5. tamām umr jale aur raushnī nahīñ kīye zindagī hai to phir ham ne zindagī nahīñ kī
  6. jaisā hūñ jis hāl meñ hūñ achchhā hūñ maiñtum ne zinda samjhā to zinda hūñ maiñ
  7. hālat-e-hāl meñ ādāb nahīñ bhūltā maiñḳhud ko bhūlūñ bhī to ahbāb nahīñ bhūltā maiñ
  8. dikhā rahā hūñ tamāsha samajh meñ ā jā.eke ek bār use duniyā samajh meñ ā jā.e
  9. dil se ik yād bhulā dī ga.ī haikisī ġhaflat kī sazā dī ga.ī hai
  10. dil mubtalā-e-hijr rifāqat meñ rah gayālagtā hai koī farq-e-mohabbat meñ rah gayā
  11. dekho us kā hijr nibhānā paṛtā haivo jaisā chāhe ho jānā paṛtā hai
  12. rābta mujh se mirā joṛ diyā kartā thāvo jo ik shaḳhs mujhe chhoṛ diyā kartā thā
  13. rāh meñ chhoṛ kar nahīñ jātāsāth hotā agar nahīñ jātā
  14. rūh-e-hāzir hai mire yār koī mastī hohalqa-e-raqs hai tayyār koī mastī ho
  15. safar kī dhūl ko chehre se sāf kartā rahāmaiñ us galī kā musalsal tavāf kartā rahā
  16. suhūlat ho aziyyat ho tumhāre sāth rahnā haike ab koī bhī sūrat ho tumhāre sāth rahnā hai
  17. shadīd girya kā matlab batā rahā thā hameñvo ro rahā thā ke ronā sikhā rahā thā hameñ
  18. ajīb hūñ ke mohabbat shanās ho kar bhīudās lagtā nahīñ hūñ udās ho kar bhī
  19. māñgte māñgte duā mire sāthbujh gayā āḳhirī diyā mire sāth
  20. mohabbat lāzmī hai māntā hūñmagar ham zād ab maiñ thak gayā hūñ
  21. mil rahe ho baṛī aqīdat seḳhauf ātā hai itnī izzat se
  22. maiñ aise moṛ par apnī kahānī chhoṛ āyā hūñkisī kī ānkh meñ pānī hī pānī chhoṛ āyā hūñ
  23. maiñ khajūroñ bhare sahrā.oñ meñ dekhā gayā hūñtaḳht ke ba.ad tire pā.oñ meñ dekhā gayā hūñ
  24. vaqt kī tarah tire hāth se nikle hue haiñham sitāre haiñ magar rāt se nikle hue haiñ
  25. hijr hūñ pūrā hijr hūñ ishq visāl karedil kī dhaṛkan tāl ho jism dhamāl kare
  26. hamāre hāfize be kār ho ga.e sāhabjavāb aur bhī dushvār ho ga.e sāhab