Poet
مرزا اظفری
Poems
- آتے آتے طرف میرے مڑ کے پھر کیدھر چلےجان صاحب! بن تمہارے کھا کے غم ہم مر چلےāte āte taraf mere muṛ ke phir kīdhar chalejān sāhab! bin tumhāre khā ke ġham ham mar chale
- اس کی صورت کو دیکھ کر بھولےہائے ہم بھولے سر بسر بھولےus kī sūrat ko dekh kar bhūlehā.e ham bhūle sar basar bhūle
- ایک برچھی سے مار جاتے ہودر پر آ جب پکار جاتے ہوek barchhī se mār jāte hodar par ā jab pukār jāte ho
- بارک اللہ میں ترے حسن کی کیا بات کہوںسج کہوں دھج کہوں چھب تختی کہوں گات کہوںbārak allāh meñ tire husn kī kyā bāt kahūñsaj kahūñ dhaj kahūñ chhab taḳhtī kahūñ gāt kahūñ
- بھویں چڑھی ہیں اور ہے تیور جھکا ہواکچھ آج بولتا ہے وہ ہم سے رکا ہواbhuveñ chaṛhī haiñ aur hai tevar jhukā huākuchh āj boltā hai vo ham se rukā huā
- تجھ میں جس دم دھیان جاتا ہےہوش آیا اس آن جاتا ہےtujh meñ jis dam-e-dhyān jātā haihosh āyā is ān jātā hai
- تری تیغ ابرو کی ٹک سامنے کر دیکھیں توبچے خورشید بھی رکھ منہ پہ سپر دیکھیں توtirī teġh-e-abrū kī ṭuk sāmne kar dekheñ tobachche ḳhurshīd bhī rakh muñh pe sipar dekheñ to
- تم کھل رہے تھے غیر سے چھاؤں تلے کھڑےہم دست رشک دھوپ میں اپنے ملے کھڑےtum khul rahe the ġhair se chhā.oñ tale khaṛeham dast rashk dhūp maiñ apne mile khaṛe
- تو باتوں میں بگڑ جاتا ہے مجھ سےپرائی پچ پہ لڑ جاتا ہے مجھ سےtū bātoñ meñ bigaṛ jātā hai mujh separā.ī pich pe laṛ jātā hai mujh se
- تو عاشقوں کے تئیں جب سے قتل ناز کیاخوشی ہیں منت جاں سے تو بے نیاز کیاtū āshiqoñ ke ta.īñ jab se qatl-e-nāz kiyāḳhushī haiñ minnat jāñ se to be niyāz kiyā
- جان آ بر میں کہ پھر کچھ غم و وسواس نہیںتو نہیں پاس تو پھر کچھ بھی مرے پاس نہیںjān ā bar meñ ke phir kuchh ġham-o-vasvās nahīñto nahīñ pās to phir kuchh bhī mire pās nahīñ
- جب کہ زلف اس کی گلے کھا بل پڑیلشکر عشاق میں ہلچل پڑیjab ke zulf us kī gale khā bal paṛīlashkar-e-ushshāq meñ halchal paṛī
- جبکہ غصے کے بیچ آتے ہولاکھ لاکھ ایک کی سناتے ہوjabke ġhusse ke bīch āte holākh lākh ek kī sunāte ho
- جی میں کیا کیا مری اماہا تھاپر ہوا وہ جو حق کا چاہا تھاjī meñ kyā kyā mirī umahhā thāpar huā vo jo haq kā chāhā thā
- خزاں تنہا نہ سیر بوستاں کو جا بگاڑ آئیصبا بھی چل کے واں اے بلبلو پھولوں کو جھاڑ آئیḳhizāñ tanhā na sair-e-bostāñ ko jā bigāṛ ā.īsabā bhī chal ke vāñ ai bulbulo phūloñ ko jhāṛ ā.ī
- دوستی میں تری بس ہم نے بہت دکھ جھیلےکون نت اٹھ کے مری جان یہ پاپڑ بیلےdostī meñ tirī bas ham ne bahut dukh jhelekaun nit uṭh ke mirī jān ye pāpaṛ bele
- دیکھ اپنے مائلوں کو کہ ہیں دل جلے پڑےپژمردہ، دل فسردہ در اوپر ڈھلے پڑےdekh apne mā.iloñ ko ke haiñ dil jale paṛepazhmurda, dil fasurda dar ūpar ḍhale paṛe
- ڈھولکی دھم دھمی خنجری بھی بجانی جانیتان کی جان مگر تم نے نہ جانی جانیḍholkī dham dhamī ḳhanjarī bhī bajānī jānītān kī jān magar tum ne na jānī jānī
- سمجھ گھر یار کا میں شہ نشین دل کو دھوتا ہوںکہیں ہیں لوگ دیوانے کہ دیوانہ ہوں روتا ہوںsamajh ghar yār kā maiñ shah nashīn-e-dil ko dhotā hūñkahīñ haiñ log dīvāne ke dīvāna hūñ rotā hūñ
- سوچ میں تیرے سنا رات جو کھٹکا پٹکاسر کو تکیے سے اٹھا پٹی پہ دے دے پٹکاsoch meñ tere sunā rāt jo khaṭkā paṭkāsar ko takiye se uṭhā piṭī pe de de paṭkā
- سوز شمع ہجر سے شب جل گئےڈھلتے ڈھلتے آنسو ہم خود ڈھل گئےsoz-e-sham-e-hijr se shab jal ga.eḍhalte ḍhalte ānsū ham ḳhud ḍhal ga.e
- سینے کا اب تک ہے زخم آلا میاںہے انی مژگاں کی یا بھالا میاںsīne kā ab tak hai zaḳhm ālā miyāñhai anī mizhgāñ kī yā bhālā miyāñ
- شتابی اپنے دیوانے کو کر بندمسلسل زلف سے کر یا نظر بندshitābī apne dīvāne ko kar bandmusalsal zulf se kar yā nazar band
- غبار دل میں بھرا کرکری سلام علیکہے کس کے کام کی یہ ظاہری سلام علیکġhubār-e-dil meñ bharā kirkirī salām alaikhai kis ke kām kī ye zāhirī salām alaik
- غیروں کے ساتھ گاتے جاتے ہوچٹکیوں میں ہمیں اڑاتے ہوġhairoñ ke sāth gāte jāte hochuṭkiyoñ meñ hameñ uṛāte ho
- کہا کس نے کہ تم یہ وو نہ بولومیں جاؤں اور نہیں جی دو نہ بولوkahā kis ne ke tum ye vo na bolomaiñ jā.ūñ aur nahīñ jī do na bolo
- کیا ہے تو نے تو جان جہاں جہاں تسخیرہوا ہے حسن کا شہرہ ترا تو عالم گیرkyā hai tū ne to jān-e-jahāñ jahāñ tasḳhīrhuā hai husn kā shohra tirā to ālam gīr
- گرہ جو کام میں ڈالے ہے پنجۂ تقدیرمجال کیا کہ کھلے وہ بہ ناخن تدبیرgirah jo kām meñ ḍāle hai panja-e-taqdīrmajāl kyā ke khule vo ba nāḳhun-e-tadbīr
- مہ رو نہ ہو اور چاندنی وہ رات ہے کس کام کیہو وہ بھی پر خلوت نہ ہو یہ بات ہے کس کام کیmah rū na ho aur chāndnī vo rāt hai kis kām kīho vo bhī par ḳhalvat na ho ye bāt hai kis kām kī
- نم اشک آنکھوں سے ڈھلنے لگا ہےکہ فوارہ خوں کا اچھلنے لگا ہےnam-e-ashk ānkhoñ se ḍhalne lagā haike favvāra ḳhūñ kā uchhalne lagā hai
- ہمیں چھوڑ کیدھر سدھارے پیارےہیں مشتاق دیدے تمہارے پیارےhameñ chhoṛ kīdhar sidhāre pyārehaiñ mushtāq dīde tumhāre pyāre
- ہیں جانے بوجھے یار ہم، ہم ساتھ انجانی نہ کردر سے ہمیں درکار نا جانی یہ نادانی نہ کرhaiñ jāne būjhe yār ham, ham sāth anjānī na kardar se hameñ darkār nā jānī ye nādānī na kar
- یہ دل وہ ہے کہ غموں سے جسے فراغ نہیںمثال لالہ سے کیا دوں کچھ ایک داغ نہیںye dil vo hai ke ġhamoñ se jise farāġh nahīñmisāl-e-lāla se kyā dūñ kuchh ek dāġh nahīñ