Poet
Lala Madhav Ram Jauhar
لالہ مادھو رام جوہر1810–1889
Poems
- آ گیا دل جو کہیں اور ہی صورت ہوگیلوگ دیکھیں گے تماشا جو محبت ہوگیā gayā dil jo kahīñ aur hī sūrat hogīlog dekheñge tamāshā jo mohabbat hogī
- آؤ بیٹھو ہنسو مزا ہوکچھ تو فرماؤ کیوں خفا ہوā.o baiṭho hañso mazā hokuchh to farmā.o kyūñ ḳhafā ho
- اس کا مزاج پوچھو جو ہر وقت پاس ہےاس کی بلا سے دل جو ہمارا اداس ہےus kā mizāj pūchho jo har vaqt pās haius kī balā se dil jo hamārā udās hai
- بارہ مہینے ہجر کے گزرے ملال میںلاکھوں ہی رنج ہم نے سہے ایک سال میںbāra mahīne hijr ke guzre malāl meñlākhoñ hī ranj ham ne sahe ek sāl meñ
- بت کدہ میں نہ تجھے کعبے کے اندر پایادونوں عالم سے جدا ہم نے ترا گھر پایاbut kada meñ na tujhe ka.abe ke andar pāyādonoñ ālam se judā ham ne tirā ghar pāyā
- برسات کا مزا ترے گیسو دکھا گئےعکس آسمان پر جو پڑا ابر چھا گئےbarsāt kā mazā tire gesū dikhā ga.eaks āsmān par jo paṛā abr chhā ga.e
- بلبل تو بہت ہیں گل رعنا نہیں کوئیبیمار ہزاروں ہیں مسیحا نہیں کوئیbulbul to bahut haiñ gul-e-ra.anā nahīñ koībīmār hazāroñ haiñ masīhā nahīñ koī
- بوئے گل سونگھ کر بگڑتے ہیںیہ پری رو ہوا سے لڑتے ہیںbū-e-gul sūngh kar bigaṛte haiñye parī rū havā se laṛte haiñ
- پئے گل گشت سنا ہے کہ وہ آج آتے ہیںپھولوں کی بھی یہ خوشی ہے کہ کھلے جاتے ہیںpiye gul gasht sunā hai ke vo āj āte haiñphūloñ kī bhī ye ḳhushī hai ke khule jāte haiñ
- تا دشت عدم آہ رسا لے گئی مجھ کوجب خاک ہوا میں تو ہوا لے گئی مجھ کوtā dasht-e-adam āh-e-rasā le ga.ī mujh kojab ḳhāk havā meñ to huā le ga.ī mujh ko
- تھوڑا ہے جس قدر میں پڑھوں خط حبیب کادیکھا ہے آج آنکھوں سے لکھا نصیب کاthoṛā hai jis qadar meñ paṛhūñ ḳhat habīb kādekhā hai āj ānkhoñ se likhā nasīb kā
- تھے نوالے موتیوں کے جن کے کھانے کے لیےپھرتے ہیں محتاج وہ اک دانے دانے کے لیےthe nivāle motiyoñ ke jin ke khāne ke liyephirte haiñ mohtāj vo ik dāne dāne ke liye
- حرم میں مدتوں ڈھونڈا شوالوں میں پھرا برسوںتلاش یار میں بھٹکا کیا میں بارہا برسوںharam meñ muddatoñ ḍhūñḍā shavvāloñ meñ phirā barsoñtalāsh-e-yār meñ bhaṭkā kiyā maiñ bārhā barsoñ
- حسن پر زیبا نہیں یہ لن ترانی آپ کیچار دن کی چاندنی ہے نوجوانی آپ کیhusn par zebā nahīñ ye lan tarānī āp kīchār din kī chāndnī hai naujavānī āp kī
- دل جب سے ترے ہجر میں بیمار پڑا ہےجینے سے خفا جان سے بے زار پڑا ہےdil jab se tire hijr meñ bīmār paṛā haijīne se ḳhafā jān se be zār paṛā hai
- دل کو سمجھاؤ ذرا عشق میں کیا رکھا ہےکس لیے آپ کو دیوانہ بنا رکھا ہےdil ko samjhā.o zarā ishq meñ kyā rakhā haikis liye āp ko dīvāna banā rakhā hai
- دل کو کوسو جو چاہتا ہےمیں نے کیا آپ کا لیا ہےdil ko koso jo chāhtā haimaiñ ne kiyā āp kā liyā hai
- دل مرا خواب گاہ دلبر ہےبس یہی ایک سونے کا گھر ہےdil mirā ḳhvāb gāh dilbar haibas yahī ek sone kā ghar hai
- دیں جسے چاہیں دل ہمارا ہےاس میں کیا آپ کا اجارا ہےdeñ jise chāheñ dil hamārā haiis meñ kyā āp kā ijārā hai
- رات دن چین ہم اے رشک قمر رکھتے ہیںشام اودھ کی تو بنارس کی سحر رکھتے ہیںrāt din chain ham ai rashk-e-qamar rakhte haiñshām-e-avadh kī to banāras kī sahar rakhte haiñ
- روز کہتے تھے کبھی غیر کے گھر دیکھ لیاآج تو آنکھ سے اے رشک قمر دیکھ لیاroz kahte the kabhī ġhair ke ghar dekh liyāāj to ānkh se ai rashk-e-qamar dekh liyā
- شوق سے دل کو تہ تیغ نظر ہونے دوجس طرف اس کی طبیعت ہے ادھر ہونے دوshauq se dil ko tah-e-teġh-e-nazar hone dojis taraf us kī tabī.at hai idhar hone do
- فریاد کرے کس سے گنہ گار تمہارااللہ بھی حاکم بھی طرف دار تمہاراfariyād kare kis se gunah gār tumhārāallāh bhī hākim bhī taraf dār tumhārā
- فصل گل آتے ہی وحشت ہو گئیپھر وہی اپنی طبیعت ہو گئیfasl-e-gul āte hī vahshat ho ga.īphir vahī apnī tabī.at ho ga.ī
- کسی کو لاکھ الم ہو ذرا ملال نہیںکوئی مرے کہ جیے کچھ انہیں خیال نہیںkisī ko lākh alam ho zarā malāl nahīñkoī mire ke jiye kuchh unheñ ḳhayāl nahīñ
- کنج قفس سے پہلے گھر اپنا کہاں نہ تھاآئے یہاں تو حوصلۂ آشیاں نہ تھاkunj-e-qafas se pahle ghar apnā kahāñ na thāā.e yahāñ to hausla-e-āshiyāñ na thā
- کون ہوتے ہیں وہ محفل سے اٹھانے والےیوں تو جاتے بھی مگر اب نہیں جانے والےkaun hote haiñ vo mahfil se uṭhāne vāleyūñ to jāte bhī magar ab nahīñ jāne vāle
- کہا مانو محبت میں ضرر ہےطبیعت کو سنبھالو دل کدھر ہےkahā māno mohabbat meñ zarar haitabī.at ko sambhālo dil kidhar hai
- کیا یاد کر کے روؤں کہ کیسا شباب تھاکچھ بھی نہ تھا ہوا تھی کہانی تھی خواب تھاkyā yād kar ke roūñ ke kaisā shabāb thākuchh bhī na thā huā thī kahānī thī ḳhvāb thā
- کیسا ہی دوست ہو نہ کہے راز دل کوئینکلی جو بات منہ سے تو پھیلی جہان میںkaisā hī dost ho na kahe rāz-e-dil koīniklī jo bāt muñh se to phailī jahān meñ
- گل زار میں جو دور گل لالہ رنگ ہووہ بے حجابیاں ہوں کہ نرگس بھی دنگ ہوgul zār meñ jo daur-e-gul-e-lāla rang hovo be hijābiyāñ hūñ ke nargis bhī dang ho
- ملا کر خاک میں پھر خاک کو برباد کرتے ہیںغریبوں پر ستم کیا کیا ستم ایجاد کرتے ہیںmilā kar ḳhāk meñ phir ḳhāk ko barbād karte haiñġharīboñ par sitam kyā kyā sitam ījād karte haiñ
- نوبت گریہ و بے تابی و زاری آئیبڑے ہنگامے سے کل یاد تمہاری آئیnaubat girya-o-be tābī-o-zārī ā.ībaṛe hangāme se kal yād tumhārī ā.ī
- ہم نہ چھوڑیں گے محبت تری اے زلف سیاہسر چڑھایا ہے تو کیا دل سے گرائیں تجھ کوham na chhoṛeñge mohabbat tirī ai zulf-e-siyāhsar chaṛhāyā hai to kyā dil se girā.eñ tujh ko
- ہوتے خدا کے اس بت کافر کی چاہ کیاتنی تو بات مجھ سے ہوئی ہے گناہ کیhote ḳhudā ke us but-e-kāfir kī chāh kīitnī to bāt mujh se huī hai gunāh kī
- یار نے اس دل ناچیز کو بہتر جاناداغ کو پھول تو قطرے کو سمندر جاناyār ne is dil-e-nāchīz ko behtar jānādāġh ko phūl to qatre ko samundar jānā
- یہ واعظ کیسی بہکی بہکی باتیں ہم سے کرتے ہیںکہیں چڑھ کر شراب عشق کے نشے اترتے ہیںye vā.iz kaisī bahkī bahkī bāteñ ham se karte haiñkahīñ chaṛh kar sharāb-e-ishq ke nashe utarte haiñ
- تیرے کوچے کی ہوا لگ گئی شاید اس کوروز بے پر کی اڑاتا ہے کبوتر ہم سےtere kūche kī havā lag ga.ī shāyad us koroz be par kī uṛātā hai kabūtar ham se
- تیرے گھر خواب میں گیا تھا غیراپنی آنکھوں سے ہم نے دیکھا ہےtere ghar ḳhvāb meñ gayā thā ġhairapnī ānkhoñ se ham ne dekhā hai
- آپ تو منہ پھیر کر کہتے ہیں آنے کے لیےوصل کا وعدہ ذرا آنکھیں ملا کر کیجیےāp to muñh pher kar kahte haiñ āne ke liyevasl kā va.ada zarā ānkheñ milā kar kījiye
- آخر اک روز تو پیوند زمیں ہونا ہےجامۂ زیست نیا اور پرانا کیساāḳhir ik roz to paivand-e-zamīñ honā haijāma-e-zīst nayā aur purānā kaisā
- آ گیا جوہرؔ عجب الٹا زمانہ کیا کہیںدوست وہ کرتے ہیں باتیں جو عدو کرتے نہیںā gayā jauhar ajab ulṭā zamāna kyā kaheñdost vo karte haiñ bāteñ jo adū karte nahīñ
- ارمان وصل کا مری نظروں سے تاڑ کےپہلے ہی سے وہ بیٹھ گئے منہ بگاڑ کےarmān vasl kā mirī nazroñ se tāṛ kepahle hī se vo baiṭh ga.e muñh bigāṛ ke
- اس قمر کو کبھی تو دیکھیں گےتیس دن ہوتے ہیں مہینے کےis qamar ko kabhī to dekheñgetīs din hote haiñ mahīne ke
- اہل جنت مجھے لیتے ہیں نہ دوزخ والےکس جگہ جا کے تمہارا یہ گنہ گار رہےahl-e-jannat mujhe lete haiñ na dozaḳh vālekis jagah jā ke tumhārā ye gunah gār rahe
- اے دوست تجھ کو رحم نہ آئے تو کیا کروںدشمن بھی میرے حال پہ اب آب دیدہ ہےai dost tujh ko rahm na ā.e to kyā karūñdushman bhī mere hāl pe ab āb dīda hai
- بال اپنے اس پری رو نے سنوارے رات بھرسانپ لوٹے سیکڑوں دل پر ہمارے رات بھرbāl apne us parī rū ne sañvāre rāt bharsānp lauṭe saikṛoñ dil par hamāre rāt bhar
- پوری ہوتی ہیں تصور میں امیدیں کیا کیادل میں سب کچھ ہے مگر پیش نظر کچھ بھی نہیںpūrī hotī haiñ tasavvur meñ ummīdeñ kyā kiyādil meñ sab kuchh hai magar pesh-e-nazar kuchh bhī nahīñ
- تجھ سا کوئی جہان میں نازک بدن کہاںیہ پنکھڑی سے ہونٹ یہ گل سا بدن کہاںtujh sā koī jahān meñ nāzuk badan kahāñye pañkhuṛī se honṭ ye gul sā badan kahāñ
- تصور زلف کا ہے اور میں ہوںبلا کا سامنا ہے اور میں ہوںtasavvur zulf kā hai aur maiñ hūñbalā kā sāmnā hai aur maiñ hūñ