Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Ejaz Gul

Poems

  1. itnā tilism yād ke chaqmāq meñ rahāraushan charāġh dūr kisī tāq meñ rahā
  2. istāda hai jab sāmne dīvār kahūñ kyāhāsil bhī nahīñ rauzan darkār kahūñ kyā
  3. isī jannat jahannam meñ marūñgāga.e mausam ko āvāzeñ na dūñgā
  4. pechāk umr apne sañvār ā.īne ke sāthbāqī ke chār din bhī guzār ā.īne ke sāth
  5. peshtar jumbish-e-lab bāt se pahle kyā thāzehn meñ safar kī auqāt se pahle kyā thā
  6. jo qissa go ne sunāyā vahī sunā gayā haiagar thā us se sivā to nahīñ kahā gayā hai
  7. chal rahā hūñ pesh-o-pas manzar se uktāyā huāek se din rāt ke chakkar se uktāyā huā
  8. ḳhāshāk se ḳhizāñ meñ rahā nām bāġh kāvarna to har daraḳht pe qabza hai zāġh kā
  9. dar khol ke dekhūñ zarā idrāk se bāharye shor sā kaisā hai mirī ḳhāk se bāhar
  10. dushvār hai ab rāstā āsān se āgerakh umr-e-kuhan pichhlā qadam dhyān se āge
  11. sūrat-e-sahar jā.ūñ aur dar badar jā.ūñab to faisla ṭhahrā rāt se guzar jā.ūñ
  12. aks ubhrā na thā ā.īna-e-dil dārī kāhijr ne khīñch diyā dā.ira zangārī kā
  13. qāfila utrā sahrā meñ aur pesh vahī manzar ā.erākh uṛī ḳhema gāhoñ kī ḳhūn meñ lithṛe sar ā.e
  14. kabhī qatār se bāhar kabhī qatār ke bīchmaiñ hijr zād huā ḳharch intizār ke bīch
  15. kise ḳhayāl thā aisī bhī sā.ateñ hoñgīke mere nām se bhī tujh ko vahshateñ hoñgī
  16. galī se apnī uṭhātā hai vo bahāne semaiñ be ḳhabar rahūñ duniyā ke āne jāne se
  17. galiyoñ meñ bhaṭaknā rah ālām meñ rahnāyāñ sab ko hai nākāmī-e-yak gām meñ rahnā
  18. mahmil hai matlūb na lailā māñgtā haichāk-e-garebāñ qais to sahrā māñgtā hai
  19. ham tum jab bhī pyār kareñge jān-o-dil sadqe hoñgerūhoñ kī ḳhushbū meñ hoñgī bāhoñ ke gajre hoñge
  20. ye ghūmtā huā ā.īna apnā ṭhahrā kezarā dikhā mirā rafta to charḳh palṭā ke
  21. yahīñ thā baiṭhā huā darmiyāñ kahāñ gayā maiñke mil rahā nahīñ apnā nishāñ kahāñ gayā maiñ
  22. barg-e-āvāra sadā ā.e haiñkoī āvāza-e-pā lā.e haiñ
  23. kis ne khīñchī haiñ lakīreñ mire darvāze parkaun hai jo ke dabe pā.oñ chalā āyā hai
  24. guzarte vaqt ke vīrāñ jazīroñ kī sazā peshāniyoñ par sabt haiāzurdagī ke kīl jismoñ meñ gaṛe haiñ
  25. sust ro musāfir kī qismatoñ pe kyā ronātez chalne vālā bhī dasht-e-be amāñ meñ hai
  26. nahīñ khultā ke āḳhir ye tilismātī tamāshā sāzamīñ ke is taraf aur āsmāñ ke is taraf kyā hai