Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Balraj Hairat

1930–1995

Poems

Meter
  1. ānkh meñ ānsū nazar meñ dard paidā kar gayāmerā hañsne kā irāda kyā ġhazab ḍhā kar gayā
  2. apne ranj-o-ġham bāñṭe ham se bā ḳhabar niklesāth chalne vāloñ meñ koī ham safar nikle
  3. ik fāḳhta ye pūchh rahī hai havā.oñ sekab tak chalegā kām tumhārī duā.oñ se
  4. tark-o-talab ke hangāmoñ ko ishq samajhnā vahshat haiishq tahayyur be pāyāñ hai ishq mujassam hairat hai
  5. taslīm in ānkhoñ kā ejāz-e-masīhā.īlekin ye batā āḳhir kis kis ne shifā pā.ī
  6. chhoṛ de karb-e-anā mauja-e-pur ḳham bannāzindagī sīkh ga.ī gesū-e-bar.ham bannā
  7. hassās dil thā sharm se nam dīda ho gayānāhaq meñ us kī bāt pe ranjīda ho gayā
  8. ḳhud hī apnā rāz ḳhud hī rāz dāñ ban jā.ūñgāek lamhe kā yaqīñ hūñ phir gumāñ ban jā.ūñgā
  9. saḳht nā hamvār-o-mushkil thā magar aisā na thāmaiñ ne jab rāheñ tarāshī thīñ safar aisā na thā
  10. aql ke dushman bhī ham ṭhahre dil kā bhī nuqsān kiyāzauq-e-talab kī āṛ meñ hairat nafas ne kyā hairān kyā
  11. qarnoñ purānā vaqt ko lalkārtā huāik shahr hai hamāre bhī andar basā huā
  12. karishma kyā na huā bāt kaun sī na huīmagar charāġh tale raushnī kabhī na huī
  13. kisī nashe se beshtar to na thārishta-e-ġham bhī motabar to na thā
  14. kal āsmān jaise koī shola zār thāsūraj ke ḍūbne meñ bhī kitnā vaqār thā
  15. kahīñ ḳhalā meñ koī rūh chīḳhtī hogīmirā ḳhayāl hai ab shām ḍhal chukī hogī
  16. khaṛe haiñ sāmne ahbāb ajgaroñ kī tarahbalā rahā hai bayābāñ khule darūñ kī tarah
  17. nādāniyoñ ko ek nayā rang de diyādānista maiñ ne hāth tah-e-sang de diyā
  18. na terī shakl se vāqif na terī bās se logshanāḳht kaise kareñge tujhe qayās se log