Poet
Balbir Rathi
Poems
- ابھی تک تلخیٔ مے میں کمی معلوم ہوتی ہےلبوں پر اک بلا کی تشنگی معلوم ہوتی ہےabhī tak talḳhī-e-mai meñ kamī ma.alūm hotī hailaboñ par ik balā kī tishnagī ma.alūm hotī hai
- احساسات کی بستی میں جب ہر جانب اک سناٹا تھامیں آوازوں کے جنگل میں تب جانے کیا ڈھونڈ رہا تھاehsāsāt kī bastī meñ jab har jānib ik sannāṭā thāmaiñ āvāzoñ ke jangal meñ tab jāne kyā ḍhūñḍ rahā thā
- ایسے گم سم وہ سوچتے کیا تھےجانے یاروں کے فیصلے کیا تھےaise gum sam vo sochte kiyā thejāne yāroñ ke faisle kiyā the
- پھر فضا میں کوئی زہریلا دھواں بھر جائے گاپھر کسی دن اپنے اندر کچھ نہ کچھ مر جائے گاphir fazā meñ koī zahrīlā dhuāñ bhar jā.egāphir kisī din apne andar kuchh na kuchh mar jā.egā
- چاہا جن کو بھی زندگی کی طرحوہ ملے مجھ کو اجنبی کی طرحchāhā jin ko bhī zindagī kī tarahvo mile mujh ko ajnabī kī tarah
- حسرتیں خاموش ہیں اجڑے مزاروں کی طرحولولے روشن ہیں کیوں پھر بھی شراروں کی طرحhasrateñ ḳhāmosh haiñ ujṛe mazāroñ kī tarahvalvale raushan haiñ kyūñ phir bhī sharāroñ kī tarah
- خول سا اوڑھے ہوئے لگتے ہیں لوگبات کیا ہے اتنے چپ کیسے ہیں لوگḳhol sā oṛhe hue lagte haiñ logbāt kyā hai itne chup kaise haiñ log
- ذرہ ذرہ پگھلنے والا تھاسارا منظر بدلنے والا تھاzarra zarra pighalne vālā thāsārā manzar badalne vālā thā
- رات کیا ڈھل گئی سمندر میںگھل گئی تیرگی سمندر میںrāt kyā ḍhal ga.ī samundar meñghul ga.ī tīrgī samundar meñ
- راہرو کو دور سے منزل سمجھ بیٹھے تھے ہمبحر غم میں موج کو ساحل سمجھ بیٹھے تھے ہمrāhrau ko dūr se manzil samajh baiṭhe the hambahr-e-ġham meñ mauj ko sāhil samajh baiṭhe the ham
- راہ میں یوں تو مرحلے ہیں بہتہم سفر پھر بھی آ گئے ہیں بہتrāh meñ yūñ to marhale haiñ bahutham safar phir bhī ā ga.e haiñ bahut
- زندگی اک جال میں الجھی ہوئی ہے آج بھیبے بسی پہلے جو تھی وہ بے بسی ہے آج بھیzindagī ik jāl meñ uljhī huī hai āj bhībe basī pahle jo thī vo be basī hai āj bhī
- شہر بدلا ہوا سا لگتا ہےہر کوئی اوپرا سا لگتا ہےshahr badlā huā sā lagtā haihar koī ūprā sā lagtā hai
- عطا کر دی کسی نے وہ بلا کی تشنگی مجھ کونہ راس آئے گی شاید زندگی بھر زندگی مجھ کوatā kar dī kisī ne vo balā kī tishnagī mujh kona rās ā.egī shāyad zindagī bhar zindagī mujh ko
- کسی بھی خواب میں جب دل کشی باقی نہیں رہتیتو پھر جذبات میں وہ بات ہی باقی نہیں رہتیkisī bhī ḳhvāb meñ jab dil kashī bāqī nahīñ rahtīto phir jazbāt meñ vo bāt hī bāqī nahīñ rahtī
- گو پرانی ہو چکی وہ ہوش میں آنے کی باتلوگ پھر بھی کر رہے ہیں مجھ کو سمجھانے کی باتgo purānī ho chukī vo hosh meñ āne kī bātlog phir bhī kar rahe haiñ mujh ko samjhāne kī bāt
- محبت سے اگر بیزار ہو جاتے تو اچھا تھاہم اس دنیا میں دنیا دار ہو جاتے تو اچھا تھاmohabbat se agar bezār ho jāte to achchhā thāham is duniyā meñ duniyā dār ho jāte to achchhā thā
- محبت سے جنوں کی داستاں تک آ گیا ہوں میںکسی کے عشق میں دیکھو کہاں تک آ گیا ہوں میںmohabbat se junūñ kī dāstāñ tak ā gayā hūñ maiñkisī ke ishq meñ dekho kahāñ tak ā gayā hūñ maiñ