Poet
Ameer Minai
امیر مینائی1829–1900
Poems
- آنسو مری آنکھوں میں نہیں آئے ہوئے ہیںدریا تیری رحمت کے یہ لہرائے ہوئے ہیںānsū mirī ānkhoñ meñ nahīñ ā.e hue haiñdariyā terī rahmat ke ye lahrā.e hue haiñ
- اچھے عیسیٰ ہو مریضوں کا خیال اچھا ہےہم مرے جاتے ہیں تم کہتے ہو حال اچھا ہےachchhe īsā ho marīzoñ kā ḳhayāl achchhā haiham mire jāte haiñ tum kahte ho hāl achchhā hai
- اس کی حسرت ہے جسے دل سے مٹا بھی نہ سکوںڈھونڈنے اس کو چلا ہوں جسے پا بھی نہ سکوںus kī hasrat hai jise dil se miṭā bhī na sakūñḍhūñḍne us ko chalā hūñ jise pā bhī na sakūñ
- امیر لاکھ ادھر سے ادھر زمانہ ہواوہ بت وفا پہ نہ آیا میں بے وفا نہ ہواamīr lākh idhar se idhar zamāna huāvo but vafā pe na āyā maiñ be vafā na huā
- اے ضبط دیکھ عشق کی ان کو خبر نہ ہودل میں ہزار درد اٹھے آنکھ تر نہ ہوai zabt dekh ishq kī un ko ḳhabar na hodil meñ hazār dard uṭhe ānkh tar na ho
- بات کرنے میں تو جاتی ہے ملاقات کی راتکیا بری بات ہے رہ جاؤ یہیں رات کی راتbāt karne meñ to jātī hai mulāqāt kī rātkyā burī bāt hai rah jā.o yahīñ rāt kī rāt
- بن آئی تیری شفاعت سے رو سیاہوں کیکہ فرد داخل دفتر ہوئی گناہوں کیban ā.ī terī shafā.at se ro siyāhoñ kīke fard dāḳhil-e-daftar huī gunāhoñ kī
- پلا ساقیا ارغوانی شرابکہ پیری میں دے نوجوانی شرابpilā sāqiyā arġhavānī sharābke pīrī meñ de naujavānī sharāb
- پوچھا نہ جائے گا جو وطن سے نکل گیابیکار ہے جو دانت دہن سے نکل گیاpūchhā na jā.egā jo vatan se nikal gayābekār hai jo dānt dahan se nikal gayā
- پہلے تو مجھے کہا نکالوپھر بولے غریب ہے بلا لوpahle to mujhe kahā nikālophir bole ġharīb hai balā lo
- پھولوں میں اگر ہے بو تمہاریکانٹوں میں بھی ہوگی خو تمہاریphūloñ meñ agar hai bū tumhārīkānṭoñ meñ bhī hogī ḳhū tumhārī
- ترا کیا کام اب دل میں غم جانانہ آتا ہےنکل اے صبر اس گھر سے کہ صاحب خانہ آتا ہےtirā kyā kām ab dil meñ ġham-e-jānāna ātā hainikal ai sabr is ghar se ke sāhab ḳhāna ātā hai
- تم پر میں لاکھ جان سے قربان یا رسولبر آئیں میرے دل کے بھی ارمان یا رسولtum par maiñ lākh jān se qurbān yā rasūlbar ā.eñ mere dil ke bhī armān yā rasūl
- تیر پر تیر لگاؤ تمہیں ڈر کس کا ہےسینہ کس کا ہے مری جان جگر کس کا ہےtīr par tīr lagā.o tumheñ ḍar kis kā haisīna kis kā hai mirī jān-e-jigar kis kā hai
- جب سے باندھا ہے تصور اس رخ پر نور کاسارے گھر میں نور پھیلا ہے چراغ طور کاjab se bāñdhā hai tasavvur us ruḳh pur nūr kāsāre ghar meñ nūr phailā hai charāġh-e-tūr kā
- جب سے بلبل تو نے دو تنکے لیےٹوٹتی ہیں بجلیاں ان کے لیےjab se bulbul tū ne do tinke liyeṭūṭṭī haiñ bijliyāñ un ke liye
- چاند سا چہرہ نور کی چتون ماشاء اللہ ماشاء اللہطرفہ نکالا آپ نے جوبن ماشاء اللہ ماشاء اللہchānd sā chehra nūr kī chitvan māshā allāh māshā allāhturfa nikālā āp ne joban māshā allāh māshā allāh
- چپ بھی ہو بک رہا ہے کیا واعظمغز رندوں کا کھا گیا واعظchup bhī ho bik rahā hai kyā vā.izmaġhz rindoñ kā khā gayā vā.iz
- حلقے میں رسولوں کے وہ ماہِ مدنی ہےکیا چاند کی تنویر ستاروں میں چھنی ہےhalqe meñ rasūloñ ke vo māh-e-madanī haikyā chānd kī tanvīr sitāroñ meñ chhannī hai
- دل جدا مال جدا جان جدا لیتے ہیںاپنے سب کام بگڑ کر وہ بنا لیتے ہیںdil judā māl judā jān judā lete haiñapne sab kām bigaṛ kar vo banā lete haiñ
- دل جو سینے میں زار سا ہے کچھغم سے بے اختیار سا ہے کچھdil jo sīne meñ zār sā hai kuchhġham se be iḳhtiyār sā hai kuchh
- دل کو طرز نگۂ یار جتاتے آئےتیر بھی آئے تو بے پر کی اڑاتے آئےdil ko tarz-e-nigah-e-yār jatāte ā.etīr bhī ā.e to be par kī uṛāte ā.e
- سرکتی جائے ہے رخ سے نقاب آہستہ آہستہنکلتا آ رہا ہے آفتاب آہستہ آہستہsaraktī jā.e hai ruḳh se naqāb āhista āhistanikaltā ā rahā hai āftāb āhista āhista
- شمشیر ہے سناں ہے کسے دوں کسے نہ دوںاک جان ناتواں ہے کسے دوں کسے نہ دوںshamshīr hai sināñ hai kise dūñ kise na dūñik jān-e-nātavāñ hai kise dūñ kise na dūñ
- صاف کہتے ہو مگر کچھ نہیں کھلتا کہنابات کہنا بھی تمہارا ہے معما کہناsāf kahte ho magar kuchh nahīñ khultā kahnābāt kahnā bhī tumhārā hai muammā kahnā
- فراق یار نے بے چین مجھ کو رات بھر رکھاکبھی تکیہ ادھر رکھا کبھی تکیہ ادھر رکھاfirāq-e-yār ne be chain mujh ko rāt bhar rakhākabhī takiya idhar rakhā kabhī takiya idhar rakhā
- قبلۂ دل کعبۂ جاں اور ہےسجدہ گاہ اہل عرفاں اور ہےqibla-e-dil ka.aba-e-jāñ aur haisajda gāh-e-ahl-e-irfāñ aur hai
- کچھ خار ہی نہیں مرے دامن کے یار ہیںگردن میں طوق بھی تو لڑکپن کے یار ہیںkuchh ḳhār hī nahīñ mire dāman ke yār haiñgardan meñ tauq bhī to laṛakpan ke yār haiñ
- کس کے چمکے چاند سے رخسار قیصر باغ میںچاندنی ہے سایۂ دیوار قیصر باغ میںkis ke chamke chānd se ruḳhsār qaisar bāġh meñchāndnī hai sāya-e-dīvār qaisar bāġh meñ
- کہا جو میں نے کہ یوسف کو یہ حجاب نہ تھاتو ہنس کے بولے وہ منہ قابل نقاب نہ تھاkahā jo maiñ ne ke yūsuf ko ye hijāb na thātū hañs ke bole vo muñh qābil-e-naqāb na thā
- کیا روکے قضا کے وار تعویذقلعہ ہے نہ کچھ حصار تعویذkyā roke qazā ke vār ta.avīzqila hai na kuchh hisār-e-ta.avīz
- گزر کو ہے بہت اوقات تھوڑیکہ ہے یہ طول قصہ رات تھوڑیguzar ko hai bahut auqāt thoṛīke hai ye tūl-e-qissa rāt thoṛī
- گلے میں ہاتھ تھے شب اس پری سے راہیں تھیںسحر ہوئی تو وہ آنکھیں نہ وہ نگاہیں تھیںgale meñ hāth the shab us parī se rāheñ thīñsahar huī to vo ānkheñ na vo nigāheñ thīñ
- مجھ مست کو مے کی بو بہت ہےموتی کی طرح جو ہو خدادادmujh mast ko mai kī bū bahut haimotī kī tarah jo ho ḳhudādād
- مرے بس میں یا تو یارب وہ ستم شعار ہوتایہ نہ تھا تو کاش دل پر مجھے اختیار ہوتاmire bas meñ yā to yārab vo sitam shi.ār hotāye na thā to kāsh dil par mujhe iḳhtiyār hotā
- میں رو کے آہ کروں گا جہاں رہے نہ رہےزمیں رہے نہ رہے آسماں رہے نہ رہےmaiñ ro ke āh karūñgā jahāñ rahe na rahezamīñ rahe na rahe āsmāñ rahe na rahe
- نہ بے وفائی کا ڈر تھا نہ غم جدائی کامزا میں کیا کہوں آغاز آشنائی کاna be vafā.ī kā ḍar thā na ġham judā.ī kāmazā meñ kyā kahūñ āġhāz-e-āshnā.ī kā
- وصل کی شب بھی خفا وہ بت مغرور رہاحوصلہ دل کا جو تھا دل میں بدستور رہاvasl kī shab bhī ḳhafā vo but-e-maġhrūr rahāhausla dil kā jo thā dil meñ badastūr rahā
- وعدۂ وصل اور وہ کچھ بات ہےہو نہ ہو اس میں بھی کوئی گھات ہےva.ada-e-vasl aur vo kuchh bāt haiho na ho is meñ bhī koī ghāt hai
- ہٹاؤ آئنہ امیدوار ہم بھی ہیںتمہارے دیکھنے والوں میں یار ہم بھی ہیںhaṭā.o ā.īna umīdvār ham bhī haiñtumhāre dekhne vāloñ meñ yār ham bhī haiñ
- ہم جو مست شراب ہوتے ہیںذرے سے آفتاب ہوتے ہیںham jo mast-e-sharāb hote haiñzarre se āftāb hote haiñ
- ہم سر زلف قد حور شمائل ٹھہرالام کا خوب الف مد مقابل ٹھہراham sar-e-zulf-e-qad-e-hūr-e-shamā.il ṭhahrālām kā ḳhūb alif mad-e-muqābil ṭhahrā
- ہم لوٹتے ہیں وہ سو رہے ہیںکیا ناز و نیاز ہو رہے ہیںham lauṭṭe haiñ vo so rahe haiñkyā nāz-o-niyāz ho rahe haiñ
- ہنس کے فرماتے ہیں وہ دیکھ کے حالت میریکیوں تم آسان سمجھتے تھے محبت میریhañs ke farmāte haiñ vo dekh ke hālat merīkyūñ tum āsān samajhte the mohabbat merī
- ہوا جو پیوند میں زمیں کا تو دل ہوا شاد مجھ حزیں کابس اب ارادہ نہیں کہیں کا کہ رہنے والا ہوں میں یہیں کاhavā jo paivand meñ zamīñ kā to dil huā shād mujh hazīñ kābas ab irāda nahīñ kahīñ kā ke rahne vālā hūñ maiñ yahīñ kā
- ہوئے نامور بے نشاں کیسے کیسےزمیں کھا گئی آسماں کیسے کیسےhue nāmvar be nishāñ kaise kaisezamīñ khā ga.ī āsmāñ kaise kaise
- ہیں نہ زندوں میں نہ مردوں میں کمر کے عاشقنہ ادھر کے ہیں الٰہی نہ ادھر کے عاشقhaiñ na zindoñ meñ na mardoñ meñ kamar ke āshiqna idhar ke haiñ ilāhī na idhar ke āshiq
- ہے خموشی ظلم چرخ دیو پیکر کا جوابآدمی ہوتا تو ہم دیتے برابر کا جوابhai ḳhamoshī zulm-e-charḳh-e-dev-e-paikar kā javābādmī hotā to ham dete barābar kā javāb
- یارب شب وصال یہ کیسا گجر بجااگلے پہر کے ساتھ ہی پچھلا پہر بجاyārab shab-e-visāl ye kaisā gajar bajāagle pahar ke sāth hī pichhlā pahar bajā
- آفت تو ہے وہ ناز بھی انداز بھی لیکنمرتا ہوں میں جس پر وہ ادا اور ہی کچھ ہےāfat to hai vo nāz bhī andāz bhī lekinmartā hūñ maiñ jis par vo adā aur hī kuchh hai