Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Ameer Minai

امیر مینائی

1829–1900

Poems

Meter
  1. āfat to hai vo nāz bhī andāz bhī lekinmartā hūñ maiñ jis par vo adā aur hī kuchh hai
  2. āhoñ se soz-e-ishq miṭāyā na jā.egāphūnkoñ se ye charāġh bujhāyā na jā.egā
  3. āyā na ek bār ayādat ko to masīhsau bār meñ fareb se bīmār ho chukā
  4. abhī ā.e abhī jāte ho jaldī kyā hai dam le lona chheṛūñgā meñ jaisī chāhe tum mujh se qasam le lo
  5. ulfat meñ barābar hai vafā ho ke jafā hohar bāt meñ lazzat hai agar dil meñ mazā ho
  6. allāh re us gul kī kalā.ī kī nazākatbal khā ga.ī jab bojh paṛā rang-e-hinā kā
  7. allāh re sādgī nahīñ itnī unheñ ḳhabarmayyat pe ā ke pūchhte haiñ un ko kyā huā
  8. amīr ab hichkiyāñ āne lagī haiñkahīñ maiñ yād farmāyā gayā hūñ
  9. bāqī na dil meñ koī bhī yā rab havas rahechauda baras ke sun meñ vo lākhoñ baras rahe
  10. bosa liyā jo us lab shīrīñ kā mar ga.edī jān ham ne chashma-e-āb-e-hayāt par
  11. phir baiṭhe baiṭhe va.ada-e-vasl us ne kar liyāphir uṭh khaṛā huā vahī rog intizār kā
  12. tum ko ātā hai pyār par ġhussamujh ko ġhusse pe pyār ātā hai
  13. tīr khāne kī havas hai to jigar paidā karsarfaroshī kī tamannā hai to sar paidā kar
  14. terī masjid meñ vā.iz ḳhās haiñ auqāt rahmat kehamāre mai kade meñ rāt din rahmat barastī hai
  15. jo chāhiye so māñgiye allāh se amīrus dar pe ābrū nahīñ jātī savāl se
  16. ḳhudā ne nek sūrat dī to sīkho nek bāteñ bhībure hote ho achchhe ho ke ye kyā bad zabānī hai
  17. ḳhanjar chale kisī pe taṛapte haiñ ham amīrsāre jahāñ kā dard hamāre jigar meñ hai
  18. samajhtā hūñ sabab kāfir tire ānsū nikalne kādhuāñ lagtā hai ānkhoñ meñ kisī ke dil ke jalne kā
  19. shāyar ko mast kartī hai ta.arīf sher amīrso botaloñ kā nasha hai is vāh vāh meñ
  20. zabt dekho idhar nigāh na kīmar ga.e marte marte āh na kī
  21. kisī ra.īs kī mahfil kā zikr hī kyā haiḳhudā ke ghar bhī na jā.eñge bin bulā.e hue
  22. kashtiyāñ sab kī kināre pe pahuñch jātī haiñnāḳhudā jin kā nahīñ un kā ḳhudā hotā hai
  23. kaun uṭhā.egā tumhārī ye jafā mere ba.adyād ā.egī bahut merī vafā mere ba.ad
  24. kaun sī jā hai jahāñ jalva-e-ma.ashūq nahīñshauq-e-dīdār agar hai to nazar paidā kar
  25. gāhe gāhe kī mulāqāt hī achchhī hai amīrqadr kho detā hai har roz kā ānā jānā
  26. lutf āne lagā jafā.oñ meñvo kahīñ mehrbāñ na ho jā.e
  27. māñg lūñ tujh se tujhī ko ke sabhī kuchh mil jā.eso savāloñ se yahī ek savāl achchhā hai
  28. mānī haiñ maiñ ne saikṛoñ bāteñ tamām umrāj āp ek bāt mirī mān jā.iye
  29. mirā ḳhat us ne paṛhā paṛh ke nāma bar se kahāyahī javāb hai us kā koī javāb nahīñ
  30. mushkil bahut paṛegī barābar kī choṭ haiā.īna dekhiyegā zarā dekh bhāl ke
  31. vasl ho jā.e yahīñ hashr meñ kyā rakhā haiāj kī bāt ko kyūñ kal pe uṭhā rakhā hai
  32. vo dushmanī se dekhte haiñ dekhte to haiñmaiñ shād hūñ ke hūñ to kisī kī nigāh meñ
  33. ye bhī ik bāt hai adāvat kīroza rakhā jo ham ne da.avat kī