Poet
Ameer Minai
امیر مینائی1829–1900
Poems
- آہوں سے سوز عشق مٹایا نہ جائے گاپھونکوں سے یہ چراغ بجھایا نہ جائے گاāhoñ se soz-e-ishq miṭāyā na jā.egāphūnkoñ se ye charāġh bujhāyā na jā.egā
- آیا نہ ایک بار عیادت کو تو مسیحسو بار میں فریب سے بیمار ہو چکاāyā na ek bār ayādat ko to masīhsau bār meñ fareb se bīmār ho chukā
- ابھی آئے ابھی جاتے ہو جلدی کیا ہے دم لے لونہ چھیڑوں گا میں جیسی چاہے تم مجھ سے قسم لے لوabhī ā.e abhī jāte ho jaldī kyā hai dam le lona chheṛūñgā meñ jaisī chāhe tum mujh se qasam le lo
- الفت میں برابر ہے وفا ہو کہ جفا ہوہر بات میں لذت ہے اگر دل میں مزا ہوulfat meñ barābar hai vafā ho ke jafā hohar bāt meñ lazzat hai agar dil meñ mazā ho
- اللہ رے اس گل کی کلائی کی نزاکتبل کھا گئی جب بوجھ پڑا رنگ حنا کاallāh re us gul kī kalā.ī kī nazākatbal khā ga.ī jab bojh paṛā rang-e-hinā kā
- اللہ رے سادگی نہیں اتنی انہیں خبرمیت پہ آ کے پوچھتے ہیں ان کو کیا ہواallāh re sādgī nahīñ itnī unheñ ḳhabarmayyat pe ā ke pūchhte haiñ un ko kyā huā
- امیرؔ اب ہچکیاں آنے لگی ہیںکہیں میں یاد فرمایا گیا ہوںamīr ab hichkiyāñ āne lagī haiñkahīñ maiñ yād farmāyā gayā hūñ
- باقی نہ دل میں کوئی بھی یا رب ہوس رہےچودہ برس کے سن میں وہ لاکھوں برس رہےbāqī na dil meñ koī bhī yā rab havas rahechauda baras ke sun meñ vo lākhoñ baras rahe
- بوسہ لیا جو اس لب شیریں کا مر گئےدی جان ہم نے چشمۂ آب حیات پرbosa liyā jo us lab shīrīñ kā mar ga.edī jān ham ne chashma-e-āb-e-hayāt par
- پھر بیٹھے بیٹھے وعدۂ وصل اس نے کر لیاپھر اٹھ کھڑا ہوا وہی روگ انتظار کاphir baiṭhe baiṭhe va.ada-e-vasl us ne kar liyāphir uṭh khaṛā huā vahī rog intizār kā
- تم کو آتا ہے پیار پر غصہمجھ کو غصے پہ پیار آتا ہےtum ko ātā hai pyār par ġhussamujh ko ġhusse pe pyār ātā hai
- تیر کھانے کی ہوس ہے تو جگر پیدا کرسرفروشی کی تمنا ہے تو سر پیدا کرtīr khāne kī havas hai to jigar paidā karsarfaroshī kī tamannā hai to sar paidā kar
- تیری مسجد میں واعظ خاص ہیں اوقات رحمت کےہمارے مے کدے میں رات دن رحمت برستی ہےterī masjid meñ vā.iz ḳhās haiñ auqāt rahmat kehamāre mai kade meñ rāt din rahmat barastī hai
- جو چاہئے سو مانگیے اللہ سے امیرؔاس در پہ آبرو نہیں جاتی سوال سےjo chāhiye so māñgiye allāh se amīrus dar pe ābrū nahīñ jātī savāl se
- خدا نے نیک صورت دی تو سیکھو نیک باتیں بھیبرے ہوتے ہو اچھے ہو کے یہ کیا بد زبانی ہےḳhudā ne nek sūrat dī to sīkho nek bāteñ bhībure hote ho achchhe ho ke ye kyā bad zabānī hai
- خنجر چلے کسی پہ تڑپتے ہیں ہم امیرؔسارے جہاں کا درد ہمارے جگر میں ہےḳhanjar chale kisī pe taṛapte haiñ ham amīrsāre jahāñ kā dard hamāre jigar meñ hai
- سمجھتا ہوں سبب کافر ترے آنسو نکلنے کادھواں لگتا ہے آنکھوں میں کسی کے دل کے جلنے کاsamajhtā hūñ sabab kāfir tire ānsū nikalne kādhuāñ lagtā hai ānkhoñ meñ kisī ke dil ke jalne kā
- شاعر کو مست کرتی ہے تعریف شعر امیرؔسو بوتلوں کا نشہ ہے اس واہ واہ میںshāyar ko mast kartī hai ta.arīf sher amīrso botaloñ kā nasha hai is vāh vāh meñ
- ضبط دیکھو ادھر نگاہ نہ کیمر گئے مرتے مرتے آہ نہ کیzabt dekho idhar nigāh na kīmar ga.e marte marte āh na kī
- کسی رئیس کی محفل کا ذکر ہی کیا ہےخدا کے گھر بھی نہ جائیں گے بن بلائے ہوئےkisī ra.īs kī mahfil kā zikr hī kyā haiḳhudā ke ghar bhī na jā.eñge bin bulā.e hue
- کشتیاں سب کی کنارے پہ پہنچ جاتی ہیںناخدا جن کا نہیں ان کا خدا ہوتا ہےkashtiyāñ sab kī kināre pe pahuñch jātī haiñnāḳhudā jin kā nahīñ un kā ḳhudā hotā hai
- کون اٹھائے گا تمہاری یہ جفا میرے بعدیاد آئے گی بہت میری وفا میرے بعدkaun uṭhā.egā tumhārī ye jafā mere ba.adyād ā.egī bahut merī vafā mere ba.ad
- کون سی جا ہے جہاں جلوۂ معشوق نہیںشوق دیدار اگر ہے تو نظر پیدا کرkaun sī jā hai jahāñ jalva-e-ma.ashūq nahīñshauq-e-dīdār agar hai to nazar paidā kar
- گاہے گاہے کی ملاقات ہی اچھی ہے امیرؔقدر کھو دیتا ہے ہر روز کا آنا جاناgāhe gāhe kī mulāqāt hī achchhī hai amīrqadr kho detā hai har roz kā ānā jānā
- لطف آنے لگا جفاؤں میںوہ کہیں مہرباں نہ ہو جائےlutf āne lagā jafā.oñ meñvo kahīñ mehrbāñ na ho jā.e
- مانگ لوں تجھ سے تجھی کو کہ سبھی کچھ مل جائےسو سوالوں سے یہی ایک سوال اچھا ہےmāñg lūñ tujh se tujhī ko ke sabhī kuchh mil jā.eso savāloñ se yahī ek savāl achchhā hai
- مانی ہیں میں نے سیکڑوں باتیں تمام عمرآج آپ ایک بات مری مان جائیےmānī haiñ maiñ ne saikṛoñ bāteñ tamām umrāj āp ek bāt mirī mān jā.iye
- مرا خط اس نے پڑھا پڑھ کے نامہ بر سے کہایہی جواب ہے اس کا کوئی جواب نہیںmirā ḳhat us ne paṛhā paṛh ke nāma bar se kahāyahī javāb hai us kā koī javāb nahīñ
- مشکل بہت پڑے گی برابر کی چوٹ ہےآئینہ دیکھئے گا ذرا دیکھ بھال کےmushkil bahut paṛegī barābar kī choṭ haiā.īna dekhiyegā zarā dekh bhāl ke
- وصل ہو جائے یہیں حشر میں کیا رکھا ہےآج کی بات کو کیوں کل پہ اٹھا رکھا ہےvasl ho jā.e yahīñ hashr meñ kyā rakhā haiāj kī bāt ko kyūñ kal pe uṭhā rakhā hai
- وہ دشمنی سے دیکھتے ہیں دیکھتے تو ہیںمیں شاد ہوں کہ ہوں تو کسی کی نگاہ میںvo dushmanī se dekhte haiñ dekhte to haiñmaiñ shād hūñ ke hūñ to kisī kī nigāh meñ
- یہ بھی اک بات ہے عداوت کیروزہ رکھا جو ہم نے دعوت کیye bhī ik bāt hai adāvat kīroza rakhā jo ham ne da.avat kī