کس کے چمکے چاند سے رخسار قیصر باغ میں
Ameer Minai (1829–1900)کس کے چمکے چاند سے رخسار قیصر باغ میں
چاندنی ہے سایۂ دیوار قیصر باغ میں
فی الحقیقت یہ بھی کم گلزار جنت سے نہیں
حوریں پھرتی ہیں سر بازار قیصر باغ میں
پاؤں کا یاں ذکر کیسا صاف ہے ایسی زمیں
دل پھسلتے ہیں دم رفتار قیصر باغ میں
زیر شاخ گل اگر سبزہ کبھی سونے لگا
شور بلبل نے کیا بیدار قیصر باغ میں
اتنے پتے بھی نہ ہوں گے گلشن فردوس میں
جس قدر پھولوں کے ہیں انبار قیصر باغ میں
تشنگان شوق ہیں شیریں لبوں کے میہماں
بٹ رہا ہے شربت دیدار قیصر باغ میں
قطرے شبنم کے رگ گل پر دکھاتے ہیں بہار
گندھ رہے ہیں موتیوں کے ہار قیصر باغ میں
سایۂ بال ہما کیا ڈھونڈھتا ہے اے امیرؔ
بیٹھ زیر سایۂ دیوار قیصر باغ میں
kis ke chamke chand se rukhsar qaisar bagh mein
chandni hai saya-e-diwar qaisar bagh mein
fi alhaqiqat ye bhi kam gulzar jannat se nahin
huren phirti hain sar-e-bazar qaisar bagh mein
paon ka yan zikr kaisa saf hai aisi zamin
dil phisalte hain dam-e-raftar qaisar bagh mein
zer-e-shakh-e-gul agar sabza kabhi sone laga
shor-e-bulbul ne kiya bedar qaisar bagh mein
itne patte bhi na honge gulshan-e-firdaus mein
jis qadar phulon ke hain ambar qaisar bagh mein
tashnagan-e-shauq hain shirin labon ke mehman
bat raha hai sharbat-e-didar qaisar bagh mein
qatre shabnam ke rag-e-gul par dikhate hain bahar
gandh rahe hain motiyon ke har qaisar bagh mein
saya-e-bal-e-huma kya dhundhta hai ai amir
baith zer-e-saya-e-diwar qaisar bagh mein