Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Ameer Minai

امیر مینائی

1829–1900

Poems

Meter
  1. ānsū mirī ānkhoñ meñ nahīñ ā.e hue haiñdariyā terī rahmat ke ye lahrā.e hue haiñ
  2. achchhe īsā ho marīzoñ kā ḳhayāl achchhā haiham mire jāte haiñ tum kahte ho hāl achchhā hai
  3. us kī hasrat hai jise dil se miṭā bhī na sakūñḍhūñḍne us ko chalā hūñ jise pā bhī na sakūñ
  4. amīr lākh idhar se idhar zamāna huāvo but vafā pe na āyā maiñ be vafā na huā
  5. ai zabt dekh ishq kī un ko ḳhabar na hodil meñ hazār dard uṭhe ānkh tar na ho
  6. bāt karne meñ to jātī hai mulāqāt kī rātkyā burī bāt hai rah jā.o yahīñ rāt kī rāt
  7. ban ā.ī terī shafā.at se ro siyāhoñ kīke fard dāḳhil-e-daftar huī gunāhoñ kī
  8. pilā sāqiyā arġhavānī sharābke pīrī meñ de naujavānī sharāb
  9. pūchhā na jā.egā jo vatan se nikal gayābekār hai jo dānt dahan se nikal gayā
  10. pahle to mujhe kahā nikālophir bole ġharīb hai balā lo
  11. phūloñ meñ agar hai bū tumhārīkānṭoñ meñ bhī hogī ḳhū tumhārī
  12. tirā kyā kām ab dil meñ ġham-e-jānāna ātā hainikal ai sabr is ghar se ke sāhab ḳhāna ātā hai
  13. tum par maiñ lākh jān se qurbān yā rasūlbar ā.eñ mere dil ke bhī armān yā rasūl
  14. tīr par tīr lagā.o tumheñ ḍar kis kā haisīna kis kā hai mirī jān-e-jigar kis kā hai
  15. jab se bāñdhā hai tasavvur us ruḳh pur nūr kāsāre ghar meñ nūr phailā hai charāġh-e-tūr kā
  16. jab se bulbul tū ne do tinke liyeṭūṭṭī haiñ bijliyāñ un ke liye
  17. chānd sā chehra nūr kī chitvan māshā allāh māshā allāhturfa nikālā āp ne joban māshā allāh māshā allāh
  18. chup bhī ho bik rahā hai kyā vā.izmaġhz rindoñ kā khā gayā vā.iz
  19. halqe meñ rasūloñ ke vo māh-e-madanī haikyā chānd kī tanvīr sitāroñ meñ chhannī hai
  20. dil judā māl judā jān judā lete haiñapne sab kām bigaṛ kar vo banā lete haiñ
  21. dil jo sīne meñ zār sā hai kuchhġham se be iḳhtiyār sā hai kuchh
  22. dil ko tarz-e-nigah-e-yār jatāte ā.etīr bhī ā.e to be par kī uṛāte ā.e
  23. saraktī jā.e hai ruḳh se naqāb āhista āhistanikaltā ā rahā hai āftāb āhista āhista
  24. shamshīr hai sināñ hai kise dūñ kise na dūñik jān-e-nātavāñ hai kise dūñ kise na dūñ
  25. sāf kahte ho magar kuchh nahīñ khultā kahnābāt kahnā bhī tumhārā hai muammā kahnā
  26. firāq-e-yār ne be chain mujh ko rāt bhar rakhākabhī takiya idhar rakhā kabhī takiya idhar rakhā
  27. qibla-e-dil ka.aba-e-jāñ aur haisajda gāh-e-ahl-e-irfāñ aur hai
  28. kuchh ḳhār hī nahīñ mire dāman ke yār haiñgardan meñ tauq bhī to laṛakpan ke yār haiñ
  29. kis ke chamke chānd se ruḳhsār qaisar bāġh meñchāndnī hai sāya-e-dīvār qaisar bāġh meñ
  30. kahā jo maiñ ne ke yūsuf ko ye hijāb na thātū hañs ke bole vo muñh qābil-e-naqāb na thā
  31. kyā roke qazā ke vār ta.avīzqila hai na kuchh hisār-e-ta.avīz
  32. guzar ko hai bahut auqāt thoṛīke hai ye tūl-e-qissa rāt thoṛī
  33. gale meñ hāth the shab us parī se rāheñ thīñsahar huī to vo ānkheñ na vo nigāheñ thīñ
  34. mujh mast ko mai kī bū bahut haimotī kī tarah jo ho ḳhudādād
  35. mire bas meñ yā to yārab vo sitam shi.ār hotāye na thā to kāsh dil par mujhe iḳhtiyār hotā
  36. maiñ ro ke āh karūñgā jahāñ rahe na rahezamīñ rahe na rahe āsmāñ rahe na rahe
  37. na be vafā.ī kā ḍar thā na ġham judā.ī kāmazā meñ kyā kahūñ āġhāz-e-āshnā.ī kā
  38. vasl kī shab bhī ḳhafā vo but-e-maġhrūr rahāhausla dil kā jo thā dil meñ badastūr rahā
  39. va.ada-e-vasl aur vo kuchh bāt haiho na ho is meñ bhī koī ghāt hai
  40. haṭā.o ā.īna umīdvār ham bhī haiñtumhāre dekhne vāloñ meñ yār ham bhī haiñ
  41. ham jo mast-e-sharāb hote haiñzarre se āftāb hote haiñ
  42. ham sar-e-zulf-e-qad-e-hūr-e-shamā.il ṭhahrālām kā ḳhūb alif mad-e-muqābil ṭhahrā
  43. ham lauṭṭe haiñ vo so rahe haiñkyā nāz-o-niyāz ho rahe haiñ
  44. hañs ke farmāte haiñ vo dekh ke hālat merīkyūñ tum āsān samajhte the mohabbat merī
  45. havā jo paivand meñ zamīñ kā to dil huā shād mujh hazīñ kābas ab irāda nahīñ kahīñ kā ke rahne vālā hūñ maiñ yahīñ kā
  46. hue nāmvar be nishāñ kaise kaisezamīñ khā ga.ī āsmāñ kaise kaise
  47. haiñ na zindoñ meñ na mardoñ meñ kamar ke āshiqna idhar ke haiñ ilāhī na idhar ke āshiq
  48. hai ḳhamoshī zulm-e-charḳh-e-dev-e-paikar kā javābādmī hotā to ham dete barābar kā javāb
  49. yārab shab-e-visāl ye kaisā gajar bajāagle pahar ke sāth hī pichhlā pahar bajā