Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Akhtar Shirani

اختر شیرانی

1905–1948

Poems

  1. ārzū vasl kī rakhtī hai pareshāñ kyā kiyākyā batā.ūñ ke mire dil meñ haiñ armāñ kyā kiyā
  2. āshnā ho kar taġhāful āshnā kyūñ ho ga.ebāvafā the tum to āḳhir be vafā kyūñ ho ga.e
  3. ā.o be parda tumheñ jalva-e-pinhāñ kī qasamham na chheṛeñge hameñ zulf-e-pareshāñ kī qasam
  4. us mah jabīñ se āj mulāqāt ho ga.ībe dard āsmān ye kyā bāt ho ga.ī
  5. ashk bārī na miṭṭī sīna figārī na ga.īlāla kārī kisī sūrat bhī hamārī na ga.ī
  6. agar ai nasīm-e-sahar tirā! ho guzar dayār-e-hijāz meñmirī chashm-e-tar kā salām kahnā huzūr-e-banda navāz meñ
  7. agar vo apne hasīn chehre ko bhūl kar be naqāb kar detū zarre ko māhtāb aur māhtāb ko āftāb kar de
  8. un ras bharī ānkhoñ meñ hayā khel rahī haido zahr ke pyāloñ pe qazā khel rahī hai
  9. un ko balā.eñ aur vo na ā.eñ to kyā kareñbe kār jā.eñ apnī duā.eñ to kyā kareñ
  10. ai dil vo āshiqī ke fasāne kidhar ga.evo umr kyā huī vo zamāne kidhar ga.e
  11. bajā ke hai pās hashr ham ko kareñge pās-e-shabāb pahlehisāb hotā rahegā yā rab hameñ mangā de sharāb pahle
  12. bahār ā.ī hai mastāna ghaṭā kuchh aur kahtī haimagar un shoḳh nazroñ kī hayā kuchh aur kahtī hai
  13. posṭ men us but kā ḳhat lātā nahīñaur jo lātā hai paṛhā jātā nahīñ
  14. tamannā.oñ ko zinda ārzūoñ ko javāñ kar lūñye sharmīlī nazar kah de to kuchh gustāḳhiyāñ kar lūñ
  15. بستی کی لڑکیوں کے نام
  16. hazīñ hai bekas-o-ranjūr hai dilmohabbat par magar majbūr hai dil
  17. ḳhayālsitān hastī meñ agar ġham hai ḳhushī bhī haikabhī ānkhoñ meñ ānsū haiñ kabhī lab par hañsī bhī hai
  18. dil-e-dīvāna-o-andāz-e-bebākāna rakhte haiñgadā.e mai kada haiñ vaz-e-āzādāna rakhte haiñ
  19. dil-e-shikasta harīf-e-shabāb ho na sakāye jām zarf navāz-e-sharāb ho na sakā
  20. dil-e-mahjūr ko taskīn kā sāmāñ na milāshahr jānāñ meñ hameñ maskan jānāñ na milā
  21. dil meñ ḳhayāl nargis-e-jānāna ā gayāphūloñ se kheltā huā dīvāna ā gayā
  22. dil-o-dimāġh ko ro lūñgā āh kar lūñgātumhāre ishq meñ sab kuchh tabāh kar lūñgā
  23. zamān-e-hijr miṭe daur-e-vasl-e-yār ā.eilāhī ab to ḳhizāñ jā.e aur bahār ā.e
  24. samā kar dil meñ nazroñ se nihāñ haimujhe yād āne vāle to kahāñ hai
  25. sū-e-kilktah jo ham ba dil-e-dīvāna chalegungunāte hue ik shoḳh kā afsāna chale
  26. umr bhar kī talḳh bedārī kā sāmāñ ho ga.īñhā.e vo rāteñ ke jo ḳhvāb-e-pareshāñ ho ga.īñ
  27. ġham ḳhāna-e-hastī meñ hai mehmāñ koī din aurkar le hameñ taqdīr pareshāñ koī din aur
  28. ġham-e-zamāna nahīñ ik azāb hai sāqīsharāb lā mirī hālat ḳharāb hai sāqī
  29. kām ā sakeñ na apnī vafā.eñ to kyā kareñus be vafā ko bhūl na jā.eñ to kyā kareñ
  30. kuchh to tanhā.ī kī rātoñ meñ sahārā hotātum na hote na sahī zikr tumhārā hotā
  31. kis ko dekhā hai ye huā kyā haidil dhaṛaktā hai mājrā kyā hai
  32. kis kī ānkhoñ kā liye dil pe asar jāte haiñmai kade hāth baṛhāte haiñ jidhar jāte haiñ
  33. kyā kah ga.ī kisī kī nazar kuchh na pūchhiyekyā kuchh huā hai dil pe asar kuchh na pūchhiye
  34. gulzār jahāñ meñ gul kī tarah go shād haiñ ham shādāb haiñ hamkahtī hai ye hañs kar sub.h ḳhizāñ sab nāz abas ik ḳhvāb haiñ ham
  35. lā pilā sāqī sharāb-e-arġhavānī phir kahāñzindagānī phir kahāñ nādāñ javānī phir kahāñ
  36. mujhe apnī pastī kī sharm hai tirī rifatoñ kā ḳhayāl haimagar apne dil ko maiñ kyā karūñ use phir bhī shauq-e-visāl hai
  37. mohabbat kī duniyā meñ mashhūr kar dūñmirī sāda dil tujh ko maġhrūr kar dūñ
  38. mirī ānkhoñ se zāhir ḳhūñ fishānī ab bhī hotī hainigāhoñ se bayāñ dil kī kahānī ab bhī hotī hai
  39. maiñ ārzū-e-jāñ likhūñ yā jān-e-ārzū!tū hī batā de nāz se īmān-e-ārzū!
  40. نذر وطن
  41. nik.hat-e-zulf se nīndoñ ko basā de ā karmerī jāgī huī rātoñ ko sulā de ā kar
  42. na bhūl kar bhī tamannā-e-rang-o-bū kartechaman ke phūl agar terī ārzū karte
  43. na tumhārā husn javāñ rahā na hamārā ishq-e-javāñ rahāna vo tum rahe na vo ham rahe jo rahā to ġham kā samāñ rahā
  44. na chheṛ zāhid-e-nādāñ sharāb pīne desharāb pīne de ḳhāna ḳharāb pīne de
  45. na sāz-o-mutrib na jām-o-sāqī na vo bahār-e-chaman hai bāqīnigāh-e-sham-e-sahar ke parde ye naqsha-e-anjuman hai bāqī
  46. na vo ḳhizāñ rahī bāqī na vo bahār rahīrahī to merī kahānī hī yādgār rahī
  47. va.ada is māhrū ke āne kāye nasība siyāh ḳhāne kā
  48. vo kahte haiñ ranjish kī bāteñ bhulā deñmohabbat kareñ ḳhush raheñ muskurā deñ
  49. har ek jalva-e-rangīñ mirī nigāh meñ haiġham-e-firāq kī duniyā-e-dil tabāh meñ hai
  50. hamāre hāth meñ kab sāġhar-e-sharāb nahīñhamāre qadmoñ pe kis roz-e-māhtāb nahīñ