مری آنکھوں سے ظاہر خوں فشانی اب بھی ہوتی ہے
Akhtar Shirani (1905–1948)مری آنکھوں سے ظاہر خوں فشانی اب بھی ہوتی ہے
نگاہوں سے بیاں دل کی کہانی اب بھی ہوتی ہے
سرور آرا شراب ارغوانی اب بھی ہوتی ہے
مرے قدموں میں دنیا کی جوانی اب بھی ہوتی ہے
کوئی جھونکا تو لاتی اے نسیم اطراف کنعاں تک
سواد مصر میں عنبر فشانی اب بھی ہوتی ہے
وہ شب کو مشک بو پردوں میں چھپ کر آ ہی جاتے ہیں
مرے خوابوں پر ان کی مہربانی اب بھی ہوتی ہے
کہیں سے ہاتھ آ جائے تو ہم کو بھی کوئی لا دے
سنا ہے اس جہاں میں شادمانی اب بھی ہوتی ہے
ہلال و بدر کے نقشے سبق دیتے ہیں انساں کو
کہ ناکامی بنائے کامرانی اب بھی ہوتی ہے
کہیں اغیار کے خوابوں میں چھپ چھپ کر نہ جاتے ہوں
وہ پہلو میں ہیں لیکن بدگمانی اب بھی ہوتی ہے
سمجھتا ہے شکست توبہ اشک توبہ کو زاہد
مری آنکھوں کی رنگت ارغوانی اب بھی ہوتی ہے
وہ برساتیں وہ باتیں وہ ملاقاتیں کہاں ہمدم
وطن کی رات ہونے کو سہانی اب بھی ہوتی ہے
خفا ہیں پھر بھی آ کر چھیڑ جاتے ہیں تصور میں
ہمارے حال پر کچھ مہربانی اب بھی ہوتی ہے
زباں ہی میں نہ ہو تاثیر تو میں کیا کروں ناصح
تری باتوں سے پیدا سرگرانی اب بھی ہوتی ہے
تمہارے گیسوؤں کی چھاؤں میں اک رات گزری تھی
ستاروں کی زباں پر یہ کہانی اب بھی ہوتی ہے
پس توبہ بھی پی لیتے ہیں جام غنچہ و گل سے
بہاروں میں جنوں کی مہمانی اب بھی ہوتی ہے
کوئی خوش ہو مری مایوسیاں فریاد کرتی ہیں
الٰہی کیا جہاں میں شادمانی اب بھی ہوتی ہے
بتوں کو کر دیا تھا جس نے مجبور سخن اخترؔ
لبوں پر وہ نوائے آسمانی اب بھی ہوتی ہے
miri ankhon se zahir khun fishani ab bhi hoti hai
nigahon se bayan dil ki kahani ab bhi hoti hai
surur ara sharab-e-arghawani ab bhi hoti hai
mire qadmon mein duniya ki jawani ab bhi hoti hai
koi jhonka to lati ai nasim-e-atraf kanan tak
sawad-e-misr mein ambar fishani ab bhi hoti hai
wo shab ko mushk bu pardon mein chhup kar a hi jate hain
mire khwabon par un ki mehrbani ab bhi hoti hai
kahin se hath a jae to ham ko bhi koi la de
suna hai is jahan mein shadmani ab bhi hoti hai
hilal-o-badr ke naqshe sabaq dete hain insan ko
ke nakami banae kamrani ab bhi hoti hai
kahin aghyar ke khwabon mein chhup chhup kar na jate hun
wo pahlu mein hain lekin badgumani ab bhi hoti hai
samajhta hai shikast-e-tauba ashk-e-tauba ko zahid
miri ankhon ki rangat arghawani ab bhi hoti hai
wo barsaten wo baten wo mulaqaten kahan hamdam
watan ki rat hone ko suhani ab bhi hoti hai
khafa hain phir bhi a kar chher jate hain tasawwur mein
hamare hal par kuchh mehrbani ab bhi hoti hai
zaban hi mein na ho tasir to main kya karun naseh
tiri baton se paida sargirani ab bhi hoti hai
tumhare gesuon ki chhaon mein ik rat guzri thi
sitaron ki zaban par ye kahani ab bhi hoti hai
pas tauba bhi pi lete hain jam-e-ghuncha-o-gul se
baharon mein junun ki mehmani ab bhi hoti hai
koi khush ho miri mayusiyan fariyad karti hain
ilahi kya jahan mein shadmani ab bhi hoti hai
buton ko kar diya tha jis ne majbur-e-sukhan akhtar
labon par wo nawa-e-asmani ab bhi hoti hai