Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Shah Mubarak Abru

شاہ مبارک آبرو

1683–1733

Poems

Meter
  1. āj yāroñ ko mubārak ho ke sub.h-e-e.id hairāg hai mai hai chaman hai dil rubā hai dīd hai
  2. āshnā.ī bazor nahīñ hotīmat karo shar-o-shor nahīñ hotī
  3. āyā hai sub.h nīnd sūñ uṭh rasmasā huājāma gale meñ rāt ke phūlūñ basā huā
  4. is zulf-e-jāñ kūñ sanam kī balā kahoafī kaho siyāh kaho azhdahā kaho
  5. agar ankhiyoñ sīñ ankhiyoñ ko milā.oge to kyā hogānazar kar lutf kī ham kūñ jalā.oge to kyā hogā
  6. agar dil ishq sīñ ġhāfil rahā haitū apne fan meñ nā qābil rahā hai
  7. insān hai to kibr sīñ kahtā hai kyūñ anāādam to ham sunā hai ke vo ḳhāk se banā
  8. aur vā.iz ke sāth mil le shaiḳhkhol āpas ke bīch kalle shaiḳh
  9. baṛhe hai din badan tujh mukh kī tāb āhista āhistake jūñ kar garm ho hai āftāb āhista āhista
  10. bahār ā.ī galī kī tarah dil kholguloñ kī bhānt hañs bulbul ke jūñ bol
  11. palang kūñ chhoṛ ḳhālī god sīñ jab uṭh gayā metāchatar kārī lagī khāne haman kūñ ghar huā chītā
  12. tumhārī jab sīñ ā.ī haiñ sajan dikhne ko lāl ankhiyāñhuī haiñ tab sīñ dūnī ḳhush numā sāhab-e-jamāl-e-ankhiyāñ
  13. tumhāre log kahte haiñ kamar haikahāñ hai kis tarah kī hai kidhar hai
  14. tīra rangoñ ke huā haq meñ ye tap karnā davātīrgī jātī rahī chehre kī aur apchī safā
  15. jāl meñ jis ke shauq ā.ī haius ke dil kūñ taṛaph kamahhī hai
  16. jalte the tum kūñ dekh ke ġhair anjuman meñ hampahuñche the rāt sham.a ke ho kar baran meñ ham
  17. chunchillāhaṭ meñ to mamolā haijhaljhallāhaṭ meñ dar umolā hai
  18. husn par hai ḳhūb raviyāñ meñ vafā kī ḳhū nahīñphūl haiñ ye sab pe in phūloñ meñ hargiz bū nahīñ
  19. ḳhudā ke vāste ai yār ham sīñ ā mil jādiloñ kī khol ghinḍī ġhunche kī tarah khul jā
  20. ḳhurshīd rū ke āge ho nūr kā savālīkāsa liye gadā kā āyā hai chānd ḳhālī
  21. dushman-e-jāñ hai tishna-e-ḳhūñ haishoḳh hai bānk hai nakat bhauñ hai
  22. dil naiñ pakṛī hai yār kī sūratgul huā hai bahār kī sūrat
  23. dil hai tire pyār karne kūñjī hai tujh par nisār karne kūñ
  24. dillī ke bīch hā.e akele mareñge hamtum āgre chale ho sajan kyā kareñge ham
  25. dekh to be rahm āshiq naiñ tujhe chhoṛā nahīñkis qadar be rūiyāñ dekheñ pe muñh moṛā nahīñ
  26. dekho to jān tum kūñ manāte haiñ kab saitībolo ḳhudā ke vāste ṭuk lāl lab saitī
  27. ratā hai abrvāñ par hāth aksar lāvabālī kāhunar sīkhā hai is shamshīr zan ne baid mālī kā
  28. rakhe koī is tarah ke lālchī ko kab talak bahlāchalī jātī hai farmā.ish kabhī ye lā kabhī vo lā
  29. zindagānī sarāb kī sī tarahbād bandī habāb kī sī tarah
  30. sarsoñ lagā ke pā.oñ talak dil huā hūñ maiñyāñ lag hunar meñ ishq ke kāmil huā hūñ maiñ
  31. sair-e-bahār-e-husn hī ankhiyoñ kā kām jāndil kūñ sharāb-e-shauq kā sāġhar mudām jān
  32. shab-e-siyāh huā roz ai sajan tujh binmisāl-e-sham.a jale ahl-e-anjuman tujh bin
  33. shauq baṛhtā hai mire dil kā dil afgāroñ ke bīchjosh kartā hai junūñ majnūñ kā gulzāroñ ke bīch
  34. طوفاں ہے شیخ قہریا ہےجو حرف ہے تس کے تہریا ہے
  35. āshiq bapat ke māre rote hue jidhar jāñpānī sīñ is taraf kī rāheñ tamām bhar jāñ
  36. ishq hai iḳhtiyār kā dushmansabr-o-hosh-o-qarār kā dushman
  37. fajr uṭh ḳhvāb sīñ gulshan meñ jab tum ne milī ankhiyāñga.īñ mand sharm sūñ nargis kī pyāre jūñ kalī ankhiyāñ
  38. qayāmat rāg zālim bhā.o kāfir gat hai ai pannātumhāre husn so dekhe so ik āfat hai ai pannā
  39. kis kī rakhtī haiñ ye majāl ankhiyāñke dekheñ mukh tirā sambhāl ankhiyāñ
  40. kamāñ huā hai qad abrū ke gosha gīroñ kātabāhai hāl tirī zulf ke asīroñ kā
  41. kunhayyā kī tarah pyāre tirī ankhiyāñ ye sānoriyāñkareñgī hind meñ da.avā ḳhudā.ī kā ham aṭkaliyāñ
  42. koyal naiñ ā ke kok sunā.ī basant rutborā-e-ḳhās-o-ām ke ā.ī basant rut
  43. kaho tum kis sabab rūṭhe ho pyāre be gunah ham sīñchurāne kyūñ lagī haiñ yūñ tirī ankhiyāñ nigah ham sīñ
  44. kaheñ kyā tum sūñ be dard logo kisī se jī kā maram na pāyākabhī na būjhī yathā hamārī bira naiñ kyā ab hameñ satāyā
  45. kyā burī tarah bhauñ maṭaktī haike mire dil meñ ā khaṭaktī hai
  46. kyā shoḳh achpale haiñ tere nain mamolājin kūñ narakh jale haiñ sab man hiran mamolā
  47. kyūñ band sab khule haiñ kyūñ chīr aṭpiṭā haikyā qatl kūñ hamāre ab ṭhāṭh yūñ ṭhaṭhā hai
  48. kyūñ malāmat is qadar karte ho be hāsil hai yelag chukā ab chhūṭnā mushkil hai us kā dil hai ye
  49. garche is buniyād hastī ke anāsir chār haiñlekin apne nīst ho jāne meñ sab nāchār haiñ
  50. galī akelī hai pyāre andherī rāteñ haiñagar milo to sajan sau tarah kī ghāteñ haiñ