Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

SabeenSaif

Poems

Meter
  1. āp dānista jo katrā ke guzar jāte haiñmere ehsās meñ so dard utar jāte haiñ
  2. ik be hunar hūñ aur hunar chāhtī hūñ maiñab dhūp ke safar meñ shajar chāhtī hūñ maiñ
  3. bāt kyā hai ye batā.eñ to sahīguftugū āge baṛhā.eñ to sahī
  4. bahut qarīb thā par mehrbāñ na thā merābharī bahār meñ ik āshiyāñ na thā merā
  5. pūchhiye mat kyā huā kaise huābut koī merā ḳhudā kaise huā
  6. tujhe bhulāne kī ab justujū nahīñ karteke ab kisī se tirī guftugū nahīñ karte
  7. tumhāre ḳhvāb kī ta.abīr ho jā.ūñ ijāzat haimohabbat kī maiñ ik tasvīr ho jā.ūñ ijāzat hai
  8. jin ke hāthoñ meñ sar hamāre haiñvo hameñ jān se bhī pyāre haiñ
  9. raushnī ban kar bikharne ke liyezindagī hai ishq karne ke liye
  10. ishq ne mere jise alqāb kā daftar diyāus ne sone ko mujhe kānṭoñ bharā bistar diyā
  11. umr bhar bojh uṭhāyā to nahīñ jā saktāhar ta.alluq ko nibhāyā to nahīñ jā saktā
  12. kab diyā ye jalā havā ke liyeishq hotā nahīñ fanā ke liye
  13. likhā thā nām jo ik shām kore kāġhaz parvo nām kyūñ huā badnām kore kāġhaz par
  14. merā kitnā ḳhayāl karte hosāns lenā muhāl karte ho
  15. merī jab us se āshnā.ī thīmere ham rāh ik ḳhudā.ī thī
  16. yād terī dilā rahe haiñ mujhechānd tāre jalā rahe haiñ mujhe