تمہارے خواب کی تعبیر ہو جاؤں اجازت ہے
SabeenSaifتمہارے خواب کی تعبیر ہو جاؤں اجازت ہے
محبت کی میں اک تصویر ہو جاؤں اجازت ہے
کہیں جانے نہ دوں تم کو اگر تم میرے ہو جاؤ
تمہارے پاؤں کی زنجیر ہو جاؤں اجازت ہے
کسی کے ہو گئے ہو تم مجھے شکوہ نہیں کوئی
کسی کی میں بھی اب جاگیر ہو جاؤں اجازت ہے
وہ اک تعویذ جو تم نے گلے میں ڈال رکھا ہے
میں اس تعویذ کی تحریر ہو جاؤں اجازت ہے
زمانے کے میں ہر اک وار سے تجھ کو بچا لوں گی
میں تیرے ہاتھ میں شمشیر ہو جاؤں اجازت ہے
تجھے یہ معجزہ بھی میں دکھا سکتی ہوں دنیا میں
جو تو چاہے تری تقدیر ہو جاؤں اجازت ہے
خدا نے یہ کرشمہ چاہتوں کو سونپ رکھا ہے
میں اک پل میں تری توقیر ہو جاؤں اجازت ہے
tumhare khwab ki taabir ho jaun ijazat hai
mohabbat ki main ik taswir ho jaun ijazat hai
kahin jane na dun tum ko agar tum mere ho jao
tumhare paon ki zanjir ho jaun ijazat hai
kisi ke ho gae ho tum mujhe shikwa nahin koi
kisi ki main bhi ab jagir ho jaun ijazat hai
wo ik taawiz jo tum ne gale mein dal rakha hai
main is taawiz ki tahrir ho jaun ijazat hai
zamane ke main har ik war se tujh ko bacha lungi
main tere hath mein shamshir ho jaun ijazat hai
tujhe ye mojiza bhi main dikha sakti hun duniya mein
jo tu chahe tiri taqdir ho jaun ijazat hai
khuda ne ye karishma chahaton ko saunp rakha hai
main ik pal mein tiri tauqir ho jaun ijazat hai